Dasht-e-shab par dikhai kya dengi
silavaten roshani mein ubharengi
ghar ki divaren mere jane par
apni tanhaiyon ko sochengi
ungaliyon ko tarash dun phir bhi
aadatan us ka naam likkhengi
rang-o-bu se kaheen panah nahi
khvahishen bhi kahan aman dengi
ek khushbu se bach bhi jaun agar
dusari nikahaten jakad lengi
khidakiyon par dabiz parde hon
barishen phir bhi dastaken dengi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment