Monday, August 31, 2009

Wafa ke bhes mein koi raqib-e-shahar bhi hai – Ahmed Faraz



wafa ke bhes mein koi raqib-e-shahar bhi hai
hazar! ke shahar ke qatil tabib-e-shahar bhi hai
wohi sipah-e-sitam khemazan hai charon taraf
jo mere bakht mein tha ab nasib-e-shahar bhi hai
udhar ke aag idhar bhi pahunch na jaye kaheen
hawa bhi tez hai jangal qarib-e-shahar bhi hai
ab us ke hijr mein rote hain us ke ghayal bhi
khabar na thi ke wo zalim habib-e-shahar bhi hai
ye raz nara-e-mansur hi se hum pe khula
ke chub-e-mimbar-e-masjid salib-e-shahar bhi hai
kadi hai jang ke ab ke muqabile pe ‘faraz’
amir-e-shahar bhi hai aur khatib-e-shahar bhi hai


Poet of the Poem/Ghazal or Nazam: Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment