Lab-e-khamosh se izhar-e-tamanna chahe
baat karne ko bhi tasvir ka lahaja chahe
tu chale sath to aahat bhi na aaye apni
daramiyan hum bhi na ho yun tujhe tanha chahe
zahiri aankhon se kya dekh sakega koi
apne baton pe bhi hum fash hona chahe
jism-poshi ko mile chadar-e-aflak hamen
sar chupane ke liye vusa’at -e-sehara chahe
khwab mein roye to ehasas ho sairabi ka
ret par soyen magar aankh mein dariya chahe
bhent chad jaun na main apne hi khair-o-shar ke
khun-e-dil zabt kare zakhm tamasha chahe
zindagi aankh se ojhal ho magar khatm na ho
ek jahan aur pas-e-parda-e-duniya chahe
aj ka din to chalo kat hi gaya jaise bhi kata
ab khuda-band se khairiyat-e-farda chahe
aise tairak bhi dekhe hain ‘muzaffar’ hum ne
garq hone ke liye bhi jo sahara chahe
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Muzaffar Warsi
No comments:
Post a Comment