Friday, February 20, 2009

Mere dukh ke koi dawa na karo – Sudarshan Faakir



mere dukh ke koi dawa na karo
mujh ko mujh se abhi juda na karo
nakhuda ko khuda kaha hai to phir
dub jao, khuda khuda na karo
ye sikhaya hai dosti ne hamen
dost banakar kabhi wafa na karo
ishq hai ishq, ye mazak nahi
chand lamhon mein faisala na karo
ashiqi ho ya bandagi ‘fakir’
be-dilli se to ibatida na karo


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sudarshan Faakir



No comments:

Post a Comment