Thursday, January 15, 2009

Ya rab! gam-e-hijran mein itna to kiya hota – Charag Hasan Hasrat



Ya rab! gam-e-hijran mein itna to kiya hota
jo hath jigar pe hai wo dast-e-dua hota


ik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota
gairon se kaha tum ne gairon se suna tum ne
kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota
umeed to bandh jati taskin to ho jati
wada na wafa karte wada to kiya hota
nakam-e-tamanna dil is soch mein rehta hai
yun hota to kya hota yun hota to kya hota


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Charag Hasan Hasrat



No comments:

Post a Comment