Tuesday, January 13, 2009

Tere khushbu mein base khat main jalta kaise – Rajendranath Rahbar



Tere khushbu mein base khat main jalta kaise
jin ko duniya ke nigahon se chupaye rakha
jin ko ik umr kaleje se lagaye rakha
din jin ko, jinhen iman banaye rakha
jin ka har lafz mujhe yaad tha pani ke tarah
yaad the mujh ko jo paigam-e-zubani ke tarah
mujh ko pyare the jo anmol nishani ke tarah
tune duniya ke nigahon se jo bachakar likhe
salaha-sal mere naam barabar likhe
kabhi din mein to kabhi raat mein uthakar likhe
tere khushbu mein base khat main jalta kaise
pyar mein dube huye khat main jalta kaise
tere hathon ke likhe khat main jalta kaise
tere khat aj main ganga mein baha aaya hun
aag behte huye pani mein laga aaya hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rajendranath Rahbar



No comments:

Post a Comment