Rait Se But Na Bana Aye Mere Ache Fankaar
Aik Lamhay Ko Theher, Me Tujhe Pathar La Doon
Me tere Samny Ambaar Laga Doon Lekin
Kon Se Rung Ka Pathar Tere Kaam Aega?
Surkh Pathar, Jise Dil Kehti Hai Be-DIL Duniya
Ya Wo Pathrai Hui Aankh Ka Neela Pathar?
Jis Me Sadiyon Se Tahreer K Pare Hon Doray
Ya Tujhe Rooh K Pathar Ki Zaroorat Hogi?
Jis Pe Haq Baat Bhi Pathar Ki Tarha Girti Hai
Aik Wo Pathar Hai Jise Kehte Hain Tehzeeb Sufaid
Is K Mar Mar Me Siyah Khoon Jhalak Jata Hai
Aik Insaaf Ka Pathar Bhi To Hota Hai Magar
Hath Me Teesha-e-Zar Ho To Wo Hath Aata Hai
Jitne Mayyar Hain Is Daur K Sab Pathar Hain
Jitne Afkaar Hain Is Daur K Sab Pathar Hain
Shair Bhi Husn Bhi, Tasveer-o-Ghina Bhi Pathar
Mera Ilhaam, Tera Zehan Rasa Bhi Pathar
Is Zamany Me To Har Fun Ka Nishaan Pathar Hai
Hath Pathar Hain Tere, Meri Zubaan Pathar Hai...
No comments:
Post a Comment