Friday, March 21, 2008

Aisi hi sard sham thi wo bhi – Amjad Islam Amjad



Aisi hi sard sham thi wo bhi
jab wo mahandi rachaye hathon mai
apani aahat ke khauf se larazan
surkh aanchal mai muh chipaye hue
apne khat mujh se lene aayi thi
us ke sahami hui nigahon mai
kitni khamosh iltijayen thin
us ke chehare ke zard rangat mai
kitni majaburiyon ke saye the
mere hathon se khat pakadate hi
jane kya soch kar achanak wo
mera shana pakad kar roi thi
us ke yaqut rang honton ke
kapkapate hue kinaron par
saikadon ankahe fasane the
sard shamon mai der tak aksar
jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai hathon se
mujh ko apani taraf bulata hai
hum nasheen ruth kar na ja mujh se
aisi hi sard sham thi wo bhi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Amjad Islam Amjad



No comments:

Post a Comment