Kaheen chat thi divar-o-dar the kaheen
mila mujhko ghar ka pata der se
diya to bahut zindagi ne mujhe
magar jo diya wo diya der se
hua na koi kam mamul se
guzri shab-o-roz kuch is tarah
kabhi chand chamaka galat waqt par
kabhi ghar mein suraj uga der se
kabhi ruk gaye reh mein besabab
kabhi waqt se pahale ghir aayi shab
huye band daravaze khul khul ke sab
jahan bhi gaya main gaya der se
ye sab ittifaqat ka khel hai
yahi hai judai yahi mel hai
main mud mud ke dekha kiya dur tak
bani wo khamoshi sada der se
saja din bhi raushan hui raat bhi
bhare jam laharai barsat bhi
rahe sath kuch aise halat bhi
jo hona tha jaldi hua der se
bhatakati rahi yun hi har bandagi
mili na kaheen se koi roshni
chupa tha kaheen bheed mein aadmi
hua mujh mein raushan khuda der se
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli
No comments:
Post a Comment