Friday, May 11, 2007

Dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya – Mirza Ghalib



Dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya
aatish-e-khamosh ke manind goya jal gaya
dil mein zauq-e-vasl-o-yad-e-yar tak baqi nahi
aag is ghar mein lagi aisi ki jo tha jal gaya
main adam se bhi pare hun warna gafil! barha
meri aah-e-atashin se bal-e-anqa jal gaya
arz kije jauhar-e-andesha ke garmi kahan
kuch khayal aaya tha vahshat ka ki sehra jal gaya
dil nahin, tujh ko dikhata warna dagon ke bahar
is charagan ka, karun kya, karafarma jal gaya
main hun aur afsurdagi ke aarzoo “ghalib”! ke dil
dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib




No comments:

Post a Comment