Friday, May 11, 2007

Agarchey Waqt Marham Hai



Agarchey Waqt Marham Hai


Abhi Woh Dard Baqi Hai
Agarche Waqt Marham Hai
Magar Kuch Waqt Lagta Hai
Kisi Ko Bhool Janey Mein


Dobara Dil Basaney Mein
Abhi Kuch Waqt Lagna Hai


Abhi Woh Dard Baqi Hai
Mein Kaise Naii Ulfat Mein


Apni Zaat Ko Gum Kar Doon
Ke Mere Jism-O-Wajdaan Mein


Abhi Woh Fard Baqi Hai
Abhi Us Shakhs Ki Mujh Per


Nigah-E-Sard Baqi Hai
Abhi To Ishq Ke Raston Ki
Mujh Per Gard Baqi Hai
Abhi Woh Dard Baqi Hai..
Sach
Abhi Woh Dard Baqi Hay..



aurat kam kapry

Hazøor (S.A.W.W) ne farmaya:
Jo aurat kam kapry,bareek ya tang (tight) libas pehnegi wo 500 saal tak jannat ki khushbu tk nai sungh skegi…Aur uski QABAR us k jaty he yu dbaeygi k ek trf ki pasliyan dusri tarf k pasliyu mai ghus jain gi. “ASTAGHFIRULLLAH”


4wd this msg 2 all girls!!

Udas sher



Kitabon Ke Panne Palat Ke Sochte Hai,
Yu Palat Jaye Zindagi To Kya Baat Hai,



Tamanna Jo Puri Ho Khwabon Mein,
Haqikat Ban Jaye To Kya Baat Hai,


Kuch Log Matlab Ke Liye Dhundte Hai Mujhe,
Bin Matlab Koi Aye To Kya Baat Hai,



Katal Kar Ke To Sab Le Jayenge Dil Mera,
Koi Baaton Se Le Jaye To Kya Baat Hai,


Jo Sharifon Ki Sharafqt Mein Baat Na Ho,
1 Sharabi Keh Jaye To Kya Baat Hai,



Zinda Rehne Tak To Khushi Denge Sabko,
Kisiko Hamari Maut Pe Khushi Mil Jaye To Kya Baat Hai.



Share with us more Udas sher in Comments Section below.



Dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya – Mirza Ghalib



Dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya
aatish-e-khamosh ke manind goya jal gaya
dil mein zauq-e-vasl-o-yad-e-yar tak baqi nahi
aag is ghar mein lagi aisi ki jo tha jal gaya
main adam se bhi pare hun warna gafil! barha
meri aah-e-atashin se bal-e-anqa jal gaya
arz kije jauhar-e-andesha ke garmi kahan
kuch khayal aaya tha vahshat ka ki sehra jal gaya
dil nahin, tujh ko dikhata warna dagon ke bahar
is charagan ka, karun kya, karafarma jal gaya
main hun aur afsurdagi ke aarzoo “ghalib”! ke dil
dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib




Sab ko Raas Aye

Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi Ke Paas Aye,


Khuda Kray Ke Naya Saal Sab Ko Raas Aye

Kahane ko bahut kuch tha magar kah nahi paye – Sajan Bihari



Kahane ko bahut kuch tha magar kah nahi paye
samajha na mera gham koi is baat ka gham hai
phir bhi mere dil kuch to vafaon ke kasam hai
aankhon mein hon aansu bhi magar bah nahi paye
phoolon se chaman aasman taron se bhara hai
umeed ka daman mera yadon se bhara hai
qismat ne sitam aise kiye sah nahi paye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sajan Bihari



Faqat itni Guzarish Hai - 2 line poetry


Faqat itni Guzaarish hai,  Mohabbat me mere moula,
Mujhe Nakaam hone se zara pehle Uthaa Laina....!