Tuesday, December 2, 2014

Zinda kiyo ho

Aaj Ajeeb Sa Usne Sawaal Kiya


Agar Mujhpe Marrte Ho.


To Zinda Kiiun Hoo?

Karun na yaad agar kis tarah bhulaun use – Ahmed Faraz



Karun na yaad agar kis tarah bhulaun use
gazal bahana karun aur gungunaun use
wo khar-khar hai shakh-e-gulab ke manind
main zakhm-zakhm hun phir bhi gale lagaun use


ye log tazakare karte hain apne logon se
main kaise baat karun aur kahan se laun use


magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yaad kuch dilaun use
wohi jo daulat-e-dil hai wohi jo rahat-e-jan
tumhari baat pe ae nasiho ganvaun use
jo hamsafar sar-e-manzil bichad raha hai ‘faraz’
ajab nahi ki agar yaad bhi na aaun use


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Hum Bury Hamain Tasleem Magar

Hum Bury Hamain Tasleem Magar
Tum Kehte Ho To Bura Lagta Hai...

Hum Bury Hamain

Dil Behlany K Liye

Dil Behlany K Liye Guftugu Krte Hain Loog Hum Se,,,


Maloom To Mujhy Bhi Hai K Hum Kisi ko Achay Nahi Lagte.

Monday, December 1, 2014

Meri Aawargi Logo, Nahi Be Jaa Qasam Le Lo..!

aawargi-dard-shayari

2 Lines Poetry

Meri Aawargi Logo, Nahi Be Jaa Qasam Le Lo…!
Ager Tum Dekhte Usko, To Mere Ham_Qadam Hote…

Ab b bheegi barish mei wo

Kaafi arsa beet gya hai,
Janay ab wo kaisa ho ga?
Waqt ki sari karwi baatein,
Chupke chupke sehta hoga
Ab b bheegi barish mei wo,
Bin chatri ke chalta hoga
Muj se bichray arsa beeta,
Ab wo kis se larta hoga?
Acha tha jo sath hi rehtay,
Baad mein us ne socha hoga
Apne dil ki sari baaten
Khud se khud hi kehta hoga
Kaafi arsa beet gya ha,
Janay ab wo kaisa hoga???

Sajdon Men Sar Jhukany Ki Fursat Nhi Rahi

Aisa Nhi K Nafs Ka Shetaan Mar Gya


Shetaan To Hy Zinda, Haa’n Insaan Mar Gya ,


Sajdon Men Sar Jhukany Ki Fursat Nhi Rahi ,


Momin Ki Rooh Men Basa Musalman Mar Gya ,


Masjid To Pakki Ban Gai Or Shaan’daar Bhi ,


Kacchi Hen “RABB” Se Chahaten Aur Emaan Mar Gya ,


Baatil Ko Jhoot Kehny Ki Taqat Nhi Rahi


Ho Haq Sar Buland Ye Armaan Mar


Gya Ay Insaan Herat Hy Teri Qismat Pe!


Kis Tarah Peda Howa Tha Khush Numa


Aur Viraan Mar Gya.