As the Fajar azan begins
And the 1st holy fast begins
May Allah bless you with happiness
and grace your home with warmth & peace.
Tuesday, July 3, 2007
1st Holy Fast Begins
Khona Mat
Zindgi Sukh Dukh
Ki Paheli hy
Sukh me to Sabhi
Pyar Jatate hain
par jo Dukh me
Pyar kare Wohi
Apka Sacha Dost hy
Wo na Mile to Rona Mat
Or
Mile to Khona Mat.
DOSTI Nibhana Poetry
PHOOL Bn k
Muskurana
“Zindagi” hai.
Muskura k Ghum
Bhulana “Zindagi”
hai.
Paas reh kr Dost
Bany to kya
Maza,
Door reh kr
“DOSTI” Nibhana
“ZINDAGI” hai.
Kahate ho na denge hum dil agar pada paya – Mirza Ghalib
Kahate ho na denge hum dil agar pada paya
dil kahan ki gum kije hum ne muddaa paya
ishq se tabiat ne zist ka maza paya
dard ke dawa pai dard-e-bedava paya
dostadar-e-dushman hai etimad-e-dil malum
aah beasar dekhi nala narasa paya
sadagi-o-purkari bekhudi-o-hoshiyari
husn ko tagaful mein juraat aazama paya
guncha phir laga khilane aj hum ne apna dil
khoon kiya hua dekha gum kiya hua paya
hal-e-dil nahi malum lekin is qadar yani
hum ne barha dhundha tum ne barha paya
shor-e-pand-e-naseh ne zakhm par namak chidaka
aap se koi puche tum ne kya maza paya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Mera Bharat Dukhi Hai
Kyun Aaj Mein Dukhi Hun,
Mujhe Gham Kiska Sata Raha Hai.
Uss Mor Par Jo Andhra Chaya Hai,
Kyun Mujhe Woh Daraa Raha Hai
Kyun Unchayiyana Mere Mulk Ki,
Mujhe Khokhli Dikhai De Rahi Hain,
Kyun Woh Jo Gehra Ander Sama Raha Hai
Woh Hai Meri Zami Ka Dil
Jo Aaj Dukh Mana Raha Hai,
Noch Rahe Hai Zamane Wale,
Har Ek Apna Jeevan Sawar Raha Hai
Mere Mulk Ka Kya Hoga Ae Jan..
Mera Bharat Dukhi Hai , Dukh Mana Raha Hai.
Likh Diya Hai Naam Mere Naam Ki Tarah
Likh Diya Hai Naam Mere Naam Ki Tarah
Kr Gya Yeh Kam Bhi Hr Kam Ki Tarhan
Mein Bhi Katib Tha Aik Zamanee Ka Adeeb
Tohfee Mein Dy Gya Kalum Aan Baan Ki Tarhan
Usney Chhed Dyi Mujhe Ghazlon Ki Waar Sy
Takrata Raha Hr Waar Daro Deewar Sy
Likh Deita Shahro Saj Aik Shaam Ki Tarhan
Tha Dil Mein Pukhtgi Mere Iman Ki Tarhan
Nfrat Nhi Tha Mujhko Kbhi Us Daur Mein
Yeh Sila Mila Hay Chahat Mein Jam Ki Tarhan
Qeemti Waqt Deikar Kharidey The Kuch Khuwab
Bik Gya Hr Khuwab Sajo Saman Ki Tarhan
