Friday, June 8, 2007

Punjabi Sher o Shayari



Ik Chit Karda Teri Yaad Ch Ro Ro
Es Zindgi Di Raat Nu Guzaar Main Deyan
Mar Mukian Sadhran Di Raakh Nu V Dil Kare
Ehnde Hanjua Di Naddi Vich Taar Main Deyan
Es Jhalle Te Masoom Dil Piche Tabaah Keeti Zindgi
Daso Ohnu Kinj Keh Kasoorvaar Main Deyan
Khushian Ch Range Hoye Kuj Pal Mile Sajna Ton
Ohna Pallan Nu Kive Manno Visaar Main Deyan
Ohdi Ta Saari Zindgi Beete Hasdi Vasdi
Jashan Da Ta Hun Bas Eho Chit Karda
Bas Ro Ro K Hi Zindgi Di Raat Nu Guzaar Main Deyan



Na socha na samajha na sikha na jana – Meer Taqi Meer



Na socha na samajha na sikha na jana
mujhe aa gaya khudbakhud dil lagana
zara dekh kar apna jalwa dikhana
simat kar yahin aa na jaye zamana
zuban par lagi hain wafaon ki muharen
khamoshi meri kah rahi hai fasana
gulon tak lagayi to aasan hai lekin
hai dushwar kanton se daman bachana
karo lakh tum matam-e-naujavani
pa ‘mir’ ab nahi aayega woh zamana


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



raqeeb se



“Raqeeb Se’
aa ki vaabasta hai us husn ki yaadeN tujhse
jisne is dil ko pariiKhaana banaa rakhaa thaa
jiski ulfat meN bhula rakhii thii duniaa hamne
dahar ko dahar ka afsaana banaa rakhaa thaa


aashnaa haiN tere qadmoN se voh raheN jin par
uskii mad’hosh javaani ne inaayat kii hai
karvaaN guzre haiN jinse isii ra’anaaii ke
jiskii in aankhoN ne be-suud ibaadat kii hai


tujh se khelii haiN voh mahbuub havaayeN jin meN
uske malbuus kii afsurda mahak baaqii hai
tujh pe bhii barsaa hai us baam se mehtaab ka nuur
jis meN biitii hu’ii raatoN ki kasak baaqii hai


tuune dekhii hai voh peshaani, voh rukhsaar, voh hont
zindgi jinke tasavvur meN luTaa di hamne
tujh pe uThi haiN voh kho’ii kho’ii saahir aankheN
tujh ko ma’aluum hai kyoN umr ganvaa dii hamne


ham pe mushtarak haiN ehsaan Gham-e-ulfat ke
itne ehsaan ki ginvaauuN to ginvaa na sakuuN
hamne is ishq meN kya khoyaa hai kyaa siikhaa hai
juz tere aur ko samjhaauN to samjhaa na sakuN



Jo Shamma Jalai Thi Us K Intazar Main

Jo Shamma Jalai Thi Us K Intazar Main
Na Jane Us Main Kitne Parwany Jal K Rakh Ho Gaye...

Submitted By: Usman

Jo Shamma Jalai

Dard Minnat Kashe-Dawa Na Hua



Dard Minnat Kashe-Dawa Na Hua
Main Na Acha Hua, Bura Na Hua


Jama Karte Ho Kyon Raqibon Ko
Ik Tamasha Hua Gila Na Hua


Ham Kahan Qismat Azmane Jayen
Tu Hi Jab Khanjar Azma Na Hua


Kitne Shirin Hain Tere Lab K Raqib
Galiyan Khak Bemaza Na Hua

Hai Khabar Garm Un K Ane Ki
Aj Hi Ghar Mein Boriya Na Hua


Kya Wo Namard Ki Khudai Thi
Bandagi Mein Mera Bhala Na Hua


Jan Di, Di Hui Usi Ki Thi
Haq To Yun Hai K Haq Ada Na Hua


Zakhm Gar Dab Gaya Lahu Na Thama
Kam Gar Ruk Gaya Rawa Na Hua


Rahzani Hai K Dilsitanee Hai
Lek Dil, Dilsitan Rawa Na Hua


Kuch To Parhiye K Log Kahte Hain
Aj ‘Ghalib’ Gazalsara Na Hua


By Mirza Ghalib



Geele Kagaz Ki Tarah Hai Zindagi

Meri Ankhon se kabhi utro dil mein,
Ke main dharkan mein Basa lon tumko,


Jaan se b barh kr chahun tumhen,
Apni zindgi hi Bana lon tumko,


Mere khuwabon mein Sirf tum hi baso,
Apni Neendon mein saja lon tumko ,


Logon ki bheer mein
kho na jana kahin,


Zamane se hi main
chura lon tum ko

Thursday, June 7, 2007

Nigah-e-Mard-E-Moman Sy

Nigah-e-Mard-E-Moman Sy | Urdu Shayari, Hindi poetry & Sher o Shaeri SMS
























Nigah-e-Mard-E-Moman Sy Badal Jaati Hain Taqderain


Joo Ho Zooq E Yaqen Paida To Kaat Jaati Hain Zanjerain