Monday, April 2, 2007

Aankhein Shayari – Nazara Teri Aankhe

Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko


Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti


Wo Kehti Hai Sada Aisay Hi
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nahi Sakti


Main Kehta Hoon
Mohabbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Mohabbat K Siwa
Kuch bhi Nahi Aata


Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab


Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Bohat Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Mohabbat Main
Judai Saath Chalti Hai


Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye


Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nahi main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhien mujh say
mohabbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon


main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi


wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko bohat
keemti mehsoos kerti hoon


main kehta hoon
Mata-e-jaan bohat anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon


wo kehti hai mujay alfaz k jugno nahi miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhabbat hai


main kehta hoon
mohabbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi mujh say
tumhari baat kerti hai


wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darte ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain


Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya


wo kehti hai
suno!! bohat baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
bohat hi shaad rakhti hain


main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kuch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

Dil ke ujale kagaz par hum kaisa geet likhen – Rahi Masoom Reza



Dil ke ujale kagaz par hum kaisa geet likhen
bolo tum ko gair likhen ya apana mit likhen
nile ambar ke anganai mein taron ke phul
mere pyase honton par hain angaron ke phul
in phoolon ko aakhir apni har ya jit likhen
koi purana sapana de do aur kuch mithe bol
lekar hum nikle hain apni aankhon ke kash-kol
hum banjare prit ke mare kya sangit likhen
sham khadi hai ek chameli ke pyale mein shabanam
jamuna jee ke ungali pakade khel raha hai madhuban
aise mein ganga jal se radha ke prit likhen




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahi Masoom Reza



Sunday, April 1, 2007

Mere fitart mein ni

Mere fitart mein nahi hai kisi se naraz h0na


Naraz w0 h0ty hEin jin k0 apny aap per gur00r h0ta hai

Tal Navami sms Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Tal Navami sms  Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Tal Navami sms  2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Tal Navami sms  sms greeting.



Bhaji mann Ram siyapati Raghukul


eese Deen bandhu dukh taaran Kosaladhees


Ram kisi bhaanti bhaji,


Ravan ki reeti taji. Jai Shri Ram!


———————————————-


Happy Tal Navami sms  Mubarak to all of you from shayari Online Team



Dajjal’s fitna z known 2 be

Dajjal’s fitna z known 2 be the greatest fitna of all times. Commonly known as the Antichrist by the christians, ‘Dajjal’ wil gv entrance with da killing of thousands of muslims across the globe.Our beloved Prophet Muhammad (s.aw.) has gvn us a shield against Dajjal. And dat shield is ‘the first 10 ayats of surah KAHAF,those who MEMORIZE these first 10 ayats, wil be safe frm Dajjal.Spread dis beautiful knowledge as we r in need…

Woh Hamara Hai Is Tarah Se Faiz



Woh Hamara Hai Is Tarah Se Faiz


Qurab K Na Wafa K Hotey Hain.
Sare Jhagre Anna Ky Hotey Hain.


Baat Niyaat Ki Sirf Hy Warnna.
Waaqt Sare Duaa Ky Hotey Hain.


Bhool Jaate Hain, Maat Buraa Kehnna.
Log Putley Khata Ky Hotey Hain.


Woh Bazaahir Ju Kch Nhi Lagty.
Un Sy Rishty Balaa Ky Hote Hain.


Woh Hamara Hai Is Tarah Se Faiz.
Jaisy Bandy Khuda Ky Hotey Hain….!!!



Bahut mila na mila zindagi se gam kya hai – Faiz Ahmed Faiz



Bahut mila na mila zindagi se gam kya hai
mata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai


hum ek umr se vaqif hain ab na samajhao
ke lutf kya hai mere meharaban sitam kya hai


kare na jag mai alav to sher kis maqasad
kare na shahar mai jal-thal to chashm-e-nam kya hai


ajal ke hath koi aa raha hai paravana
na jane aj ke feharist mai raqam kya hai


sajao bazm gazal gao jam taza karo
bahut sahi gam-e-geti sharab kam kya hai


lihaz mai koi kuch dur sath chalata hai
vagarna dahar mai ab khizr ka bharam kya hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz