Friday, June 3, 2016

Mana ke un ke nezon pe ab sar nahi koi – Sagar Azmi



mana ke un ke nezon pe ab sar nahi koi
kya un ke aastin mein bhi khanjar nahi koi
majaburiyon ne ghar se nikalne na diya
duniya samajh rahi hai mera ghar nahi koi
ab kya karenge hum naye surajki roshani
jab dekhane ke vaste manzar nahi koi
dil ho raha hai der se khamosh jhil sa
kya doston ke hath mein pathar nahi koi
qismat sabhi ke waqt ke hathon mein rahati hai
is daur mein kisi ka muqaddar nahi koi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sagar Azmi



1 Arbi Bathroom Me

1 Arbi Bath Room me phone pr BAT kr ra tha,
PATHAN ne suna to andar jakr arbi ko boht mara,
logo ne pucha to Bola. ye kameena Bath Room me TILAWAT kar rha ta.

Kehte Hain Tujh Ko Log Maseeha Magar

Kehte Hain Tujh Ko Log Maseeha Magar Yahan

Ek Shakhs Marr Gaya Tujhe Dekhne K Baad...

Kehte Hain Tujh

Destroy my own life

I could be a Doctor and save lives..!!


I could be a Lawyer and defend lives..!!


I could be a Soldier and protect lives..!!


But why to play with lives of others??


So I chose to do CA and destroy my own life…!!—

punjabi shayari words sms



Soh rab di tenu pyar kita
hor kise nu kade bulaya vi nayi
tenu apni samaj ke dil dita
hor kise te dil kade aaya hii nahi
pyar tere de butte nu pani laya
hor butta pyar da laya hi nayi
teri yaad vich rehnda main sher likhda
hor aj tak sher banaya hi nahi
tu keh pagal ya keh chhalla
gusa gallaa teriya da kade aaya hii nahi



Thursday, June 2, 2016

Uss Nay Khat Main



Uss Nay Khat Main
Ishq Ka Matlab Pooch Liya Hai
Mein Nay Likha Hai
Jab Koi Chehra
Dhiyaan Mein Aa Kar
Maan Angan Mein Phool Khila Dey
Jab Koi Naam Labon Ko Choo Kar
Dharkano Ki Tarteeb Bhula Day
Jab Koi Jazba Kar-E-Junoon Se
Atish Ko Gulzar Bana Day
Laikin Itna Dhiyaan Mein Rakhna
Koi Siraat-E-Ishq Se Guzry Tab Khulta Hai
Ishq Se Pehlle Ishq Ka Matlab Kab Khulta Hai



I Am Pakistani

I’m not just bombs, poverty &corruption. I’m Edhi’s philanthropy. I’m AQ Khan’s brilliance. I’m Afridi’s exuberance. I’m Miandad’s six. I’m Nusrat fateh’s vocal chords. I’m fastest growing IT industry. I’m in four weathers. I’ve 2nd highest mountain. I’ve 8 of 20 highest peaks. I ve world’s best cancer hospital. I’m 7th nuclear power. I’m 4th nation to build cruise missiles. I broke Soviet Union. I’m hospitality. I’m epitome of resilience. I’m one of the few bravest nation of world. Yes, I’m Pakistan ! Please spread optimism instead of negativity about me. Sincerely, Pakistan.

Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga



Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga
Jaan Chahiye To Jaan Bhi Doonga


Pyar Chahiye To Pyar Doonga Main
Dil Ka Qaraar Tujhko Main Hi Doonga


Tere Paas Pass Main Rahoonga
Pyar Chahiye To Pyar Doonga Main


Teri Dharkano Mein Rahoon Mein
Teri Thandhi Thandhi Aahoon Mein



Teri Bahaki Bahaki Sansoon Mein Ma Rahoonga
Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga


Jaan Chahiye To Jaan Bhi Doonga
Pyar Chahiye To Pyar Doonga Mai


Ek Pyaas Hi Ahsaas Hai Sawal Hai
Jawab Ki Taslaash Hai


Ab Ke Liye Ab Jine Do
Mujhe Zindagi Ko Peene Do


Maut Se Milkar Yeh Dil Ab Chikahta Hai Jiney Ko
Ab Bhi Rahoon Mein Bahoon Mein


Tere Sapnoon Mein Khawaboon Mein
Teri Dil Ke Kuch Kahyalo Mein Ma Rahoonga


Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga
Jaan Chahiye To Jaan Bhi Doonga


Pyar Chahiye To Pyar Doonga Main
Do Diloon Hai Iss Jahan Se


Dard Aaya Yeh Kahan Se
Bhool Bhi Jaoo Pas Aaoo Na


Kah Sakey Na Aaj Tak Jo
Mujhse Tum Woh Baat Keh Do


Na Chuapaoo Maan Jaoo Na
Mujhko Dil Ka Haal Tum Sunaoo Na


Tera Tan Mein Jhal Raatoon Mein
Tere Mann Mein Bhi Baatoon Mein


Tere Pyar Ki Saugatoon Mein Ma Rahoonga
Tujhe Chaand Chahiye To Chand Doonga


Jaan Chahiye To Jaan Bhi Doonga
Pyar Chahiye To Pyar Doonga Main



International Family Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest International Family Day l Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate International Family Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy International Family Day l sms greeting


The anniversary is a time of reflection of the event that was experienced. It is healthy and natural to remember an event on the anniversary of the day it occurred. Moments of joy should be celebrated with joy.


Memories of our family and childhood are what shape our personality and who we are. We take the traditions we grew up with us into adulthood. Our childhood home, in our subconscious is like our mothers womb. It will always be our true home and the home against which all future homes will be judged.

The main goal of a family Day is to spread knowledge about families’ problems. The holiday is focusing on a special role of a family as the main cell of society and its emphasizing the meaning of pro-family politics.

Contemporary family is in crisis, many marriages are breaking apart. The number of big families with many children is lowering. Statistical European family has one or two children. Currently, Europe is the only continent, where more people is dying than being born.


Join the celebration and wish happy Family Day. Send family cards and ecards with family quotes, wishes, family poems and greetings


Happy International Family Day Mubarak to all of you from shayari Online Team




Wednesday, June 1, 2016

Tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai – Qateel Shifai



tune ye phul jo zulfon mein laga rakha hai
ik diya hai jo andheron mein jala rakha hai
jit le jaye koi mujhko nasibon vala
zindagi ne mujhe da o pe laga rakha hai
jane kab aaye koi dil mein jhankane vala
is liye main ne gireban ko khula rakha hai
imtehan aur meri zabt ka tum kya loge
main ne dhadakan ko bhi sine mein chupa rakha hai


Poet of the Poem/Ghazal or Nazam: Qateel Shifai



Raat ka Khana

Hadis Sharif


1.Raat ka Khana na chhoro


chahe 1 methi khajoor Q na ho,


Q k raat ka khana chhorna


admi ko zaeef kar deta hai


(IBN-e-MAJA)


2-Khouf Se Tanhai Mei Rone K Siwa Koi b Cheez Allah Ki Nrazgi Ko Nahi Mita Skti


3-Allah Us Shkhs Ko Abad Rakhta Hai Jo Hades Sun K Dosro ko Pohnchye


“Assalam.o.Alaikum”Subha Bakhair

Jis Shakhs Ki Muhabbat Ka Mehwar

Jis Shakhs Ki Muhabbat Ka Mehwar Koi Aur Ho,
Hum Us Shakhs Se Wafa Ka Taqaaza Nahi Karte...

Jis Shakhs Ki Muhabbat Ka

Rehne Do Ab K Tum Bhi Mujhe Parh Na

Rehne Do Ab K Tum Bhi Mujhe Parh Na Sako Ge
Barsat Me Kaghaz Ki Tarha Bheeg Gaya Hun...

Rehne Do Ab

Hamain Bujha De, Hamari Anaa Ko Qatal Na Kar - Sad Poetry

Sad Poetry

Roman Urdu Sad Poetry

Hamain Bujha De, Hamari Anaa Ko Qatal Na Kar..!
Ke Be-Zarar Hi Sahi, Be-Zameer Ham bhi Nahi…!

Urdu Poetry

ہمیں  بجھا  دے،  ہماری  انا  کو  قتل  نہ  کر
کے بے ضرر ہی سہی، بے ضمیر ہم بھی نہیں