Tuesday, June 30, 2015
Sahil Pe La k Dabona
Mujhay Bhanwar Men Hi Chhor Aatay To Baat Tum Pr Kabhi Na Aati,
Ye Tera Sahil Pe La k Dabona, Koi Sunay Ga To Kya Kahay Ga..??
Sensible Line
One of the most sensible lines:
“I Have Learned To Give, Not Bcoz I Have Too Much, But Bcoz I Knew The Feeling Of Not Having.”:-
Monday, June 29, 2015
Dabi hui hai mere labon mein kaheen pe wo aah bhi jo ab tak – Akhtar ul Iman
Dabi hui hai mere labon mein kaheen pe wo aah bhi jo ab tak
na shola ban ke bhadak saki hai na ashk-e-besud ban ke nikali
ghuti hui hai nafas ke had mein jala diya jo jala saki hai
na shama ban kar pighal saki hai na aj tak dud ban ke nikali
diya hai beshak meri nazar ko wo paratau jo dard bakhshe
na mujh par galib hi aa saki hai na mera masjud ban ke nikali
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar ul Iman
Na Chair Qissa E Ulfat Bari Lambi Kahani Hai
Na Chair Qissa E Ulfat Bari Lambi Kahani Hai..
Mein Zindagi Se Nahi Hara Kisi Ki Bat Mani Hai..
Badi Lambi Kahani Hai, Tuhmhey Leikin Sunani Hai
Tera Ghum Jaan Leva Par Teri Yadeein Suhani Hain
Ghamoon Ko Chor Hum Deitey,Sakoon Ko Tham Hi Leitey
Ghamoon Sey Kya Karein Leikin, Bari Yari Purani Hai
Zameen Ko Cheera Chahey, Hawa Ko Thamna Chahey
Badi Pagal Sahi Leikin, Yahi Yaro Jawani Hai
Ae Gham Tu Door Hi Rehna, Samandar Ansoon Ka Hai
Baha Le Jaye Na Tujh Ko, Ye Lehri Bhi Dewani Hain
Sunday, June 28, 2015
Zehar Judai
Aao kisy shab mujhe tot k bikhrta dekho
meri ragon main zehar judai utarta dekho,
kis kis ada se tujhe manga hai rab se
aao kabhi mujhe sajdon mein sisakta dekho,
teri talash mein humne khud ko kho diya
mat aao samne magr kahen chup k humen tarpta dekho.
Bazicha-e-atfal hai duniya mere aage -Mirza Ghalib
Bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
ik khel hai aurang-e-suleman mere nazadik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere aage
juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz vaham nahi hasti-e-ashiya mere aage
hota hai nihan gard mai sehara mere hote
ghisata hai jabin khak pe dariya mere aage
mat puch ke kya hal hai mera tere piche
tu dekh ke kya rang hai tera mere aage
sach kahate ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
baitha hai but-e-aina sima mere aage
phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahaba mere aage
nafrat ka guman guzri hai main rashk se guzara
kyon kar kahun lo nam na us ka mere aage
iman mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr
kaba mere piche hai kalisa mere aage
aashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam
majanun ko bura kahati hai laila mere aage
khush hote hain par vasl mai yun mar nahi jate
aayi shab-e-hijaran ke tamanna mere aage
hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho
aata hai abhi dekhiye kya-kya mere aage
go hath ko jumbish nahi aankhon mai to dam hai
rahane do abhi sagar-o-mina mere aage
hampesha-o-hammasharab-o-hamraz
hai mera
‘ghalib’ ko bura kyon kaho acha mere aage
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Hawa thami thi zaroor
Hawa thami thi zarur
lekin!
Wo sham b jesy sisak rhi thi.
K zard pat’ton ny andhiyon
ko.
Ajeeb Qisa suna dia tha.
K jis ko sun kr tamam paty
Sisak rhy thy,
Bilak rhy thy.
Jany kis sanhay k ghum me.
Shajar jar’ron se ukhar chuky thy.
Bht talasha tha humny tumko,
Hr 1 rsta,
Har 1 waadi,
Hr 1 parbat,
Hr 1 ghaati..
Mgr kahin sy teri khabar na i.
To ye keh k hm ne dil ko tala..
Hawa thmy gi to dekh lengy.
Hum uskay raston ko dhond lengy.
Mgar hmari ye khush khyali.
Jo hum ko barbad kr gai thi.
Hawa thami thi zarur lekin..!
Bari hi mudat guzar chuki thi,
Hmary baalon k janglo me,
Sufaid chandi uter chuki thi,
Flaq py taray nhi rhy thy,
Gulab pyary nhi rhy thy,
Wo jin se bsti thi dil ki basti,
Wo log saray nhi rhy thy,
Mgr ye almiya sb se barh kar tha.
K hum tumharay nhi rhy thy,
K tum hamaray nhi rhy thy,
Hawa thmi thi zarur
lekin !
Bari hi muddet guzar chuki thi..
Saturday, June 27, 2015
Childrens Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Childrens Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Childrens Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Childrens Day sms greeting.
Happy Children’s Day Teacher
Aaj hum khoob mauj udayenge,
Saal bhar to aapki hamne suni
Aaj hum baatein aapko apni batayenge.
They may not always smell pure and sweet,
A dirty diaper or a dampened sheet.
But with a loving cuddle and a beautiful smile,
The joys of parenthood are all worth while.
Happy Childrens Day.!!
Chacha ka hai janamdivas
Sabhi bachche aayenge
Chacha ji ke phool gulab se..
Hum bachche sama sab mehkayenge!
Happy Children’s Day
A dirty diaper or a dampened sheet.
But with a loving cuddle and a beautiful smile,
The joys of parenthood are all worth while.
Happy Childrens Day..!!
Such a treasure your precious child is,
Who will thrive on every hug and kiss.
Hold them close and sing them songs;
they will only be a child for so long.
Happy Children’s Day…..
Children Are Like A Wet Cement.
Whatever Falls On Them Makes An Impression.
HAPPY CHILDRENS DAY.
HAVE A DAY OF CHILDHOOD MEMORIES !
Happy Childrens Day Mubarak to all of you from shayari Online Team
Friday, June 26, 2015
Full of Colors
Our life is full of Colors
I hope this 14th Aug will
add more colors to ur life
Happy Independence Day
Lakhon ke suna tum ne taqadir sanvari hai – Syed Shafaz Shah Chishti
Lakhon ke suna tum ne taqadir sanvari hai
mujh se yahi kah dete ab ke teri bari hai
dali hai nazar jab se ek nasha sa tari hai
kya koi pari saqi shishe mein utari hai
kya us ko rijhayenge jannat ke hasin jalve
dahaliz tere dar ke jis shakhs ko pyari hai
virase mein mili hum ko shahi bhi faqiri bhi
aur gham to “shafaq” goya jagir hamari hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Syed Shafaz Shah Chishti
Thursday, June 25, 2015
Che Taabya Sta Da Didaar Kram
Che Taabya Sta Da Didaar Kram,
Nor Sa Na Krama Zaan Khwar Kram.
Tor Orbal De Pa Maa Khor Kra,
Che De Zulfy Tar Pa Tar Kram.
Krama Khkul Che De Sre Shundy,
Da Raqeeb Pa Zra Guzaar Kram,
Pa Dunya Me Hes Kaar Neshta,
Za Da Eshq Kaaro Baar Kram.
Pukhla Khpla Sha Janana,
So Mennat Ba Da Rebaar Kram.
Raqibaan Me Domra Khwah Di,
Che Hama Pa Sar Da DAAR Kram.
Rogh Ba Nasham IMDAD KHIYALA,
Toro Stargo De Bimaar Kram.
Har Waqt Dil Ko Hasrat E Deedar Rehti Hai
Har Waqt Dil Ko Hasrat E Deedar Rehti Hai
Ankh Meri Bus Ap Hi Ki Talabgar Rehti Hai
Chor Diya Hai Us Ne Mujhy Barbaad Kar K
Sirf Tanhayi Hi Meri Khareedar Rehti Hai
Dil Phir Bhi Is Khush Fehmi Main Hai
Shahid Mere Liye Wo Beqarar Rehti Hai
Us Ke Chahny Waly Tu Hazaron Hain Jmi
Us Ke Agy Tu Ashiqoon Ki Qataar Rehti Hai
Posted By: Muhammad Jameel
Aankhain Tanha Ho Jati Hain
Aankhain Tanha Ho Jati Hain
Dard Ka Sehra Ho Jati Hain
Dil Ka Kia Hai Dil Ki Batain
Aksar Ruswa Ho Jati Hain
To Hota Hai Lekin Shamain
Kaise Tanhaa Ho Jati Hain
Tere Bin Ye Chandani Ratain
Ghum Ka Naqsha Ho Jati Hain
Asl Ki Janib Laut K Aksar
Naslain Yakjaa Ho Jati Hain
Kion Haar Bar Safar Ki Shamain
Tera Chehra Ho Jati Hain
Rooh ko Jism Se
Apni wafa ka itnaa daawaa na kar FARAZ,
Mein ne rooh ko jism se bewafaai kartey dekha hai.
Wednesday, June 24, 2015
Tuesday, June 23, 2015
Waqat Chala Apni Raftar-e-Junoon
Waqat Chala Apni Raftar-E-Junoon
Or Koi Mast Raha Apni Hi Masti Main
Sarnighoon Ho Gia Waqt-E-Misal
Or Koi Mast Raha Apni Hi Hasti Main
Gardish-E-Waqat K Talatum Main Log Milte Rahe
Or Koi Ajnabi Hi Raha Apni Hi Basti Main
Tufane-E-Waqat Main Bohat Log Jiye
Or Koi Doob Gia Apni Hi Kashti Main
Jazirey Qaim Rahe Mohabat K Hunar Se Hussain
Or Pahaar Doob Gaye Apni Hi Pasti Main
aj ke rat bhi guzari hai meri kal ke tarah – Ameer Kazalbash
aj ke rat bhi guzari hai meri kal ke tarah
hath aaye na sitare tere aanchal ke tarah
rat jalati hui ik aisi chita hai jis par
teri yaden hain sulagate huye sandal ke tarah
tu ki dariya hai magar meri tarah pyasa hai
main tere pas chala aaunga badal ke tarah
main hun ik khvab magar jagati aankhon ka “ameer”
aj bhi log gavan de na mujhe kal ke tarah
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ameer Kazalbash
Monday, June 22, 2015
Jhamaal e Yaar Shairy
Dhudh Si Rangat Aur Chandni Mein Nahaai Hai
Chehra Hai Bhola Aur Aankhon Mein Sachaai Hai
Ajab Shahud Si Mitthas Aati Hai Uski Baaton Mein
Aur Hasi Jaise Koi Ras Ki Ghagar Chhalak Aayi Hai
Hai Sharm..o..Hayya Ke Pardon Mein Lapate Hue
Sar Se Paanw Tak Bas Shaadgi Mein Samaayi Hai
Us Jaisa Haseen Kon Hai Bhala Is Duniya Mein
Insaan Hokar Bhi Pariyon Si Khoobsurti Paayi Hai
Aisa Rang Chadha Hai Mujhpe Uske Pyar Ka Shihab
Ki Meri Rag Rag Main Bas Wahi Woh Samaayi Hai
Tom And Jerry Sms
Aaj “Tom” & Jerry ki barsi hai…
un ke yaad me plz. Ye SMS kam se kam kisi 1 CARTOON ko zaroor send kerein…
Me ne Apna Farz Pura ker diy
Sunday, June 21, 2015
Main nazar se pi raha hun ye sama badal na jaye – Anwar Mirzapuri
main nazar se pi raha hun ye sama badal na jaye
na jhukao tum nigahen kaheen raat dhal na jaye
mere ashk bhi hain is mein ye sharab ubal na jaye
mera jam chunevale tera hath jal na jaye
abhi raat kuch hai baqi na utha naqab saqi
tera rind girate girate kaheen phir sambhal na jaye
meri zindagi ke malik mere dil pe hath rakhna
tere aane ke khushi mein mera dam nikal na jaye
mujhe phunkane se pahale mera dil nikal lena
ye kisi ke hai amanat kaheen sath jal na jaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Anwar Mirzapuri
Saturday, June 20, 2015
Ye bata de mujhe zindagi – Javed Akhtar
Ye bata de mujhe zindagi
pyar ke reh ke hamasafar
kis tarah ban gaye ajanabi
ye bata de mujhe zindagi
phul q sare murjha gaye
kis liye bujh gai chandani
ye bata de mujhe zindagi
kal jo bahon mein thi
aur nigahon mein thi
ab wo garmi kahan kho gai
na wo andaz hai
na wo aavaz hai
ab wo narmi kahan kho gai
ye bata de mujhe zindagi
bevafa tum nahi
bevafa hum nahi
phir wo jazbat kyon so gaye
pyar tum ko bhi hai
pyar hum ko bhi hai
fasale phir ye kya ho gaye
ye bata de mujhe zindagi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Javed Akhtar
Zehre Saya Ae Ghumbad Raat Ka Basera Hai
Zehre Saya Ae Ghumbad Raat Ka Basera Hai
Aur Sunahri Jali Mein Rohnama Sawera Hai
Jabaja Madine Mei Hajioun Ka Dehra Hai
Mustafa Ke Koche Mein Saailoun Ka Peera Hai
Kitni Khuld Manzar Hai Raat Bhi Madine Ki
Aik Zara Ujala Hai Aik Zara Andhera Hai
Tahiroun Ki Jurmat Mein Wo Kalas Ka Nazara
Shama Ko Pathangoun Ne Har Taraf Se Geera Hai
Meri Khush Naseebi Par Rashq Aye Rizwan Ko
Mustafa Agar Keh Dei Ye Ghulam Mera Hai
Kabar Mein Farishtoun Se Jab Nabi Ne Farmaya
Jaao Is Ko Sohne Do Ye Ghulam Mera Hai
Raat Bhi Madine Ki Din Se Kam Nahi Ajmal
Shaam Bhi Madine Ki Khushnama Saweera Hai
Friday, June 19, 2015
para para hua pairahan-e-jan-Saeed Rahi
Kuchh sehmi sharmai khushboo
Raat gaye ghar aai khushboo
Tez bahut bazaar tha abke
Mere haath na aai khushboo
Raat ke sannaton men bolay
Khamoshi Tanhai khushboo
Aankh ke roshandaan se utri
Dil men ek parai khushboo
Shaam ko basi hojaane se
Pehle ghar laut aai khushboo
Azaadi ka haath pakad kar
Baazaron men aai khushboo
Nazar Andaaz kerna
Jitna B Tu Chaahay, Nazar-Andaaz Kiye Jaa
Paltay Gi Meri Simt Nazar, Shart Lagaa Lay.
Thursday, June 18, 2015
Thousands of miles
Some times the people who are thousands of miles
away from you can make you feel better than
people right besides you.
Cute Shayari in Hindi 140 Words
Agar Aap Ek Tedy Bear Hote
To Pass Aapne Rakh Leti
Daal Ki Aapni Jholi Mein
Sang Aapne Le Chalti
Subaho Sham Deti Ek Pyaara Sa Kiss
Kaheti Mr Hun Main Teri Miss
Hug Kar Ke Roz Raat Ko
Sang Aapne Sulati
Kash Aap Barbi Doll Hote
To Aapne Show Case Mein Rakh Leti
Dekha Ke Aapne Doston Ko
Khub Bost Kiya Karti
Jab Khelti Sakhiya Ghar Ghar
To Aapna Dulha Bana Leti
Halwa Puri Bana Ke Roz
Aapne Dulhe Raja Ko Deti
Agar Aap Mere Doggi Hote
To Chain Se Banadh Ke Rakhti
Kaan Pakdke Keechti
Aur Khoob Pyaar Karti
Agar Aap Hote Mere Pc
To Din Raat Aap Ko Dekhti
Chahe Mama Kitna Datti
Aap Se Hi Baate Karti Raheti
Par Aap Ho Ek Hakiqat Ho
Aap Ko Dil Hun De Bathi
Paa Nahi Sakti To Kya
Yeh Dostana Nahi Tutne Dungi
Share with us more Cute Shayari in Hindi 140 Words sms messages collection in Hindi/ Urdu in comments section below
Wednesday, June 17, 2015
Phoolon Ki Khush-Numaiyaan Aanchal Main Dhal Gain
Tuesday, June 16, 2015
Izn-e-khiram lete huye aasaman se hum – Majaz Lucknawi
Izn-e-khiram lete huye aasaman se hum
hatakar chale hain rahaguzar-e-karavan se hum
kyonkar hua hai fash zamane pe kya kahen
wo raz-e-dil jo kah na sake razdan se hum
hamdam yahi hai rahaguzar-e-yar-e-khushkhiram
guzri hain lakh bar isi kahakashan se hum
kya kya hua hai hum se junun mein na puchiye
ulajhe kabhi zamin se kabhi aasaman se hum
thukra diye hain aql-o-khirad ke sanamkade
ghabara chuke hain kashamakash-e-imtehan se hum
bakhshi hain hum ko ishq ne wo jurraten ‘majaz’
darate nahi siyasat-e-ahal-e-jahan se hum
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majaz Lucknawi
Monday, June 15, 2015
Fursat nai yaad karne ki.
Kya Wajah Hai Mere Darne Ki,
Khwaahish Hai Unki Yaad Me Marne Ki,
Unhe Kyu Itna Yaad Karta Hai Dil,
Jinhe Fursat Hi Nahi Hume Yaad Karne Ki.
Sunday, June 14, 2015
Shayari brother hindi
Har din se pyara lagta hai hame ye khaas din,
Hum jise bitana nahi chahte aap bin,
Vaise to dil deta hai sada hi dua apko,
Phir bhi kehte hai mubarak ho Janmdin apko.
`
Khushiyon ka ek sansar leke aayenge,
Patjhad mein bhi bahaar leke aayenge,
Jab bhi pukar lenge aap dil se,
Jindgi se saanse udhar leke aayenge..
`
Motiyan, bela, phool, kaliyan,
Dekho yaron sab to hain na,
Aaj tumhari salgirah hai,
Dekho hum ko yaad to hai na!”
Happy Birth Day Brother
If lovers are like moon
And Brothers are like stars.
Than I have noticed that
The sky looks good without moon.
But not without stars.
Share with us more Shayari brother hindi in Comments Section below.
Saturday, June 13, 2015
Na ghar bar na koi thikana khanabadosh hain – Saeed Rahi
Na ghar bar na koi thikana khanabadosh hain
apna kam hai chalte jana khanabadosh hain
chand aur suraj sathi sadiyon sadiyon ke
donon se rishta hai purana khanabadosh hain
rang badalate mausam jaisi apni hasti hai
barish va dhup se kya ghabarana khanabadosh hain
apne liye hain donon barabar ae duniya valo
kya butakhana kya maikhana khanabadosh hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi
Friday, June 12, 2015
Quaid-E-Azam Ne Farmaya
EH Quaid-e-Azam!
diya aap ne humein aazad watan
ek watan gis se sharmata hai chaman
Eh is mulk ke rehne walo!
mat barbad karo ise apne haathon se
ho gaya barbad to naheen aaye ga dusra quaid e azam
Muhabbat Phool Hai Jana
Muhabbat Phool Hai Jana,
Kaho To Phool Ban Jaoon,
Tumhari Zindagi Ka Ek,
Haseen Asool Ban Jaoon.
Suna Hai Rait Pe Chal K,
Tum Aksar Mehk Jatay Ho,
Kaho To Ab K Bar Main,
Zameen Ki Dhool Ban Jaoon.
Buhut Nayab Hotay Hain,
Jinhein Tum Apna Kehte Ho,
Ijaazat Do Ki Main Bhi,
Es Qadr Anmol Ban Jaoon
Thursday, June 11, 2015
Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain - Ahmed Faraz
To Khayalon Mein Bohat Door Nikal Jate Hain
Gar Mohabbat Mein Sadaqat Bhi Ho, Shiddat Bhi
Phir To Ehsaas Hai Pather Bhi Pighel Jate Hain
Us Ki Aankhon Ke Nashe Mein Hon Jab Se Dooba
Larkharate Hain Qadam Sanbhal Jate Hain
Ashk-E-Aankhon Se Rukhsaar Bhi Pighel Jate Hain
Piyar Mein Aik Hi Mausam Hai Baharon Ka ‘Faraz’
Loog Mausam Ki Tarhan Kese Badal Jate Hain
Rajiv Gandhi Birthday Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Rajiv Gandhi Birthday Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Rajiv Gandhi Birthday 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Rajiv Gandhi Birthday i sms greeting
Which ace shooter was conferred the Rajiv Gandhi Khel Ratna in August 2015? A. Gagan Narang B. Manavjit Singh Sandhu C. Abhinav Bindra D. Anjali Bhagwat Ans. A. Gagan Narang
Whose birth anniversary is observed as ‘Sadbhavana Diwas’ in India? A. Rajiv Gandhi B. Morarji Desai C. B R Ambedkar D. Charan Singh Ans: A. Rajiv Gandhi
Happy Rajiv Gandhi Birthday Mubarak to all of you from shayari Online Team
Usy Bakhshi Thi Dil Pe Hukmarani Aur Kya Dete
“”GHAZAL””
Usy Bakhshi Thi Dil Pe Hukmarani Aur Kya Dete
Yhi Thi Bus Humari Mohabat Ki Nishni Aur Kiya Detay
Sitaroon Sy Kisi Ki Maang Bharna Aik Fasanaa Hay
Us Key Naam Likh Dyi Zindgani Aur Kiya Detay
Woh Hum Sey Maangta Tha Umaar Ka Aik Dilnashen Hissa
Naa Detay Us Ko Ham Aapni Jawani Aur Kiya Detay
Bicharte Wqt Us Ko Aik Na Aik Tohfa Tu Dena Tha Dost
Humary Paas Tha Ankhon Mein Paani Aur Kiya Detay..?
Tuesday, June 9, 2015
Full of Colors
Our life is full of Colors
I hope this 14th August will
add more colors to your life
Happy Independence Day
Be Naam Musafir Hoon Be Naam Safar Mera
Be Naam Musafir Hoon Be Naam Safar Mera
Kis Rah Nikal Jaon Kuch Kah Nahi Sakta
Be Naam Meri Manzil Be Naam Thikana Hay
Kis Dar Pay Main Ruk Jaon. Kuch Keh Nahi Sakta
Iss Paar To Roshan Hay Sara Mera Rasta
Us Paar Andhera Ho Kuch Keh Nahi Sakta
Tinkay Ki Tarah Main Bhi Beh Jaon
Samandar Main Mil Jaye Ga Kinara Kuch Keh Nahi Sakta
Mil Jaye Gi Tabeer Mery Khawaboon Ki Aik Din
Ya Khawab Bikhar Jayen Kuch Keh Nahi Sakta
Monday, June 8, 2015
SADQA sirf
SADQA sirf mal dene se nahi hota balke ye cheezen b kisi ko dena Sadqa hain
1. Dua
2. Ilm
3. Mashwara
4. Muskurahat
5. Madad
6. Waqt
7. Tarbiyat
8. Mushkil waqt mai hosla
9. Neki ki Targheeb
10. Burai se rokna
11. Nrmy say bat krna
12. Maaf kar dena
13.Izzat dena
14.Kisi ki khushion mai shamil hona
15.Temaardari karna
16.Rastay se takleef deh cheez ka hata dena
17.Kisi bhatkay huay ko rasta batana
ALLAH PAK aap ko hamesha khush rakhy. Ameen!
Pakistan mein
Pakistan mein______bahut ziyada hai.
Select from these options
64
77
24
54
22
36
reply must,
Reply zaroor krna,
ans:
64.Mehngai
77.sastai
24.bijli
54.load sheding
22.dehshadgardi
36.pani
Sunday, June 7, 2015
Can You See Me
Can you see me? no?
Turn around, can you see me now? no?
Turn again, can you see me now?
I can see you because you have a special place in my heart!
Eid mubarik poetry
Eid Urdu Sms, Eid Poetry, Eid mubarak Sms….
Eid is coming, I jus can not w8
Time 2 get ready and CELEBRATE!
Busy buying presnts 4 relatives
they just can not w8
Remember one thing
On this day never fight
Jus be happy
SO HAPPY EID CELEBRATIONS!
((((`’·.¸(`’·.¸ ¸.·’´) ¸.·’´))))
«`’.¸.¤ EID MußaRãk ¤.¸.’´»
((((¸.·’´(¸.·’´ `’·.¸)`’ ·.¸)))
The moon has been sighted The samoosas are ready
Here comes EID so just go steady
Lots of duas is all i request
and just wanted to wish you all the BEST!!!
“Eid Mubarak”
Socha kisi apne se bat karu
apne kisi khas ko yad karu
kiya jo faisla Eid mubark dene ka
dil ne kaha kyon na ap se shuruwat karu,
“EID_UL_FITER MUBARK
Share with us more .. Eid mubarik poetry ..in comments section below
Saturday, June 6, 2015
Such A Pleasure And A Joy
It’s Such A Pleasure And A Joy
To Have A Friend Like You.
You Always Care, You’re Always There
You Say The Right Things Too,
You Make Me Smile When I Am Low,
You Are Just A Sky 4 Me
We Talk A Lot About Everything,
You Make My Life So Bright,
I Hope That I Am Giving You
Some Joy & Happiness,
Because You Mean So Much To Me
More Than I Express
Thanx For Being My Friend.
Good Night My Love
Good night my love
And
Have sweet dreams.
This Good night sms for fiance shows
how much i love him or her
Friday, June 5, 2015
Ek Roz Juda ho jaon ga - Urdu sad poetry
Teri Soorat Mere Dil Main Basi Hai Is Tarha
Submitted By: Anas Ansari
Thursday, June 4, 2015
Bulla Ki Jaana Main Kaun [ Punjabi & English ]
Bulla Ki Jaana Main Kaun [ Punjabi Version ]
Bulla Ki Jaana Main Kaun
Bulla Ki Jaana Main Kaun
Na Main Moman Vich Maseetan
Na Main Vich Kufar Dian Reetan
Na Main Pakan Vich Paleetan
Na Main Andar Bed-Kitaban
Na Main Rehnda Bhang-Sharaban
Na Main Rehnda Mast-Kharaban
Na Main Shadi Na Gamnaki
Na Main Vich Paleetan Pakeen
Na Main Aabi Na Main Khaki
Na Main Aatish Na Main Paun
Bulla Ki Jaana Main Kaun
Na Main Arabi Na Lahouri
Na Main Hindi Shahar Nagouri
Na Hindu Na Turk Pashouri
Na Main Bhet Mazhab
Da Paya
Na Main Aadam-Havva Jaya
Na Koi Apna Naam Dharaya
Avval-Akhar Aap Nu Jana
Na Koi Duja Hor Pahchana
Maithon Na Koi Hor Sayana
Bulla Shah Kharha Hai Kaun
Bulla Ki Jaana Main Kaun
Na Main Moosa Na Pharoah
Na Main Jagan Na Vich Saun
Na Main Aatish Na Main Paun
Na Main Rehnda Vich Nadaun
Na Main Baithan Na Vich Bhaun
Bulle Shah Kharha Hai Kaun
Bulla Ki Jaana Main Kaun [ English Version ]
Bulla! I Know Not Who I Am
Bulla! I Know Not Who I Am
Nor Am I The Believer In Mosque
Nor Am I In Idol Worship
Nor Am I In The Pure Or The Impure
Nor Am I In The Vedas
Nor Am I In The Intoxicants
Nor Am I In The Carefree Deviant
Nor Am I Union Nor Grief
Nor Am I In The Pure/Impure
Nor Am I Of The Water Nor The Land
Nor Am I Fire Nor Air
Bull! I Know Not What I Am
Nor Am I Arabic Nor From Lahore
Nor Am I The Indian City Of Nagaur
Nor A Hindu Or A Peshawari Turk
Nor Did I Create The Difference
Of Faith
Nor Did I Create Adam-Eve
Nor Did I Name Myself
Beginning Or End I Know Just The Self
Do Not Recognize ‘The Other One’
There’s None Wiser Than I
Who Is This Bulla Shah
Bulla! I Know Not Who I Am
I Am Neither Moses Nor A Pharoah (Egyptian King)
I Am Not Awake Nor In Sleep
I Am Neither Fire Nor Wind
I Do Not Stay In Nadaun (City Of Innocents)
Neither Am I Sitting (Idle) Nor In A Storm
Who Is This Bulla Shah
Note : Request for Urdu Version !! We’ll Add soon upon request .
Kiska Kitna Zarf Hai Ye Kon Jany Hai
Iqbal Terey Dais Ka Kia Haal Sunaon
Iqbal Terey Dais Ka Kia Haal Sunaon
Bebaki-O-Haq Goi Se Ghabrata Hai Momin,
Makkari-O-Farebi Pe Itrata Hai Momin,
Jis Rizq Se Parwaz Mein Kotahi Ka Darr Ho,
Wo Rizq Ab Barray Shoq Se Khata Hai Momin,
Kirdar Ka, Guftar Ka, Aamaal Ka Momin,
Qail Nahi Aisay Kisi Janjal Ka Momin,
Sarhad Ka Momin Hai Tou Koi Punjab Ka Momin,
Dhonde Se Bhi Milta Nahi, Quran Ka Momin,
Iqbal Terey Dais Ka Kia Haal Sunaon!
Wednesday, June 3, 2015
Meri vadi mein wo ik din yun hi aa nikali thi
meri vadi mein wo ik din yun hi aa nikali thi
rang aur nur ka bahata hua dhara ban kar
mahafil-e-shauq mein ik dhum macha di us ne
khalvat-e-dil mein rahi anjuman-ara ban kar
shola-e-ishq sar-e-arsh ko jab chune laga
ud gai wo mere sine se sharara ban kar
aur ab mere tasavvur ka ufaq roshan hai
wo chamakati hai jahan gham ka sitara ban kar
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Ali Sardar Jafri
Itni muddat bad mile ho – Mohsin Naqvi
Itni muddat bad mile ho
kin sochon mein gum rehte ho
tez hawa ne mujh se pucha
ret pe kya likhate rehte ho
kon si baat hai tum mein aisi
itane ache kyon lagate ho
hum se na pucho hijr ke qisse
apni kaho ab tum kaise ho
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mohsin Naqvi
Tuesday, June 2, 2015
Tere Salook Se Shikwa Nahi Khuda Ki Qasam
Submitted By: Roushan
इक दिन मिली तुम्हरी नजर से मेरी नज़र
इक दिन मिली तुम्हरी नजर से मेरी नज़र
हाथो मे थी किताब तुम्हरा था पास घर
चेहरे पे था नेकब मगर थी कुले नज़र
जो मैकसी मे ना था उसमे मे था वो असर
जब से दिखा है मुझको उसकी नसी नज़र
रहने लगा हु मे कहा मुझको ही ना खबर
आखे तरस रही है दिदार उनका बस
उनके बिगैर पूछता हु मौत तू किधर
पल पल मर रहा हु मै तो उनकी ही यादो मे
उनकी बिगैर होता नही है मुझे शबर
कैसे न तड़फे उनकी यादो मे ‘आफताब’
मसलूब हो गये है वो आइना दिखा कर
Monday, June 1, 2015
Knock Again And Again
Knock again & again
Anybody On Mobile??
a Delivery Waiting for you…
a teddy bear
To Say you
Have A happy Teddy Bear Day,,,,
– 5+1 Can Sit In A Car…
3+1 Can Sit In A Auto..
1+1 Can Sit In A Bike..
Only 1 Can Sit In My Heart
Thats ‘you’
My Dear Teddy Bear..
Have Good Teddy Bear Day,,,
– Tere mare doste ka affsaana b ha,,
Iss ma payaar ka khazaana b ha,,
Iss liye chaahte hn aapsey Teddy Bear mangnaa…
Or aaj to mangne ka bahaaana b ha…
Happy Teddy Bear Day
– If u r a Chocolate, ur the sweetest,
If u r a Teddy bear, u r the most huggable,
If u r a Star, u r the Brightest,
U r my FRIEND! U r d Best!Happy Teddy Bear Day
Jab Sawan Main Tanha Bheego Gay
Jab Sawan Main Tanha Bheego Gay
Jab Angan Khalee Pao Gay
Jab Sahil Say Takrati Lehron Main
Apni Tanhae Main Kho Jao Gay
Jab Raat Kay Tanha Daman Main
Tum Chaand Ko Adha Pao Gay
Jab Khud Say Batain Kartay Kartay
Tum Door Kahin Kho Jao Gay
Jab Dil Ki Baat Chupanay Ko
Ham Say Nazar Tum Churao Gay
“Main Tum Say Mohabat Karti Hoon”
Har Baar Yay Sunna Chaho Gay
In Sab Lamhon Main Jaan Lena Kay
Tum Tum Nahi “Hum” Ban Jao Gay
Dolat per Naz
Kuch Dolat py Naz krtay hain
kch Shohrat py Naz krtay hain
Hmaray Hathon mein hy Daman-e-MUSTAFA
Hum apni Qismat py Naz krtay hain…!
Eid Melaad-ul-Nabi Mubarak ho.