Tuesday, September 30, 2014

Talaash Karna Hi Chor Diya



Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya


Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya


Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya


Kabhi Na Maangen Ge Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya



Baat To Such Hai Mager - Barish Shayari

Barish Shayari

Urdu Poetry - Barish Shayari

Baat To Such Hai Mager, Dil Manta Hi Nahi,
Ke Barish Mein Mera Ghar Jala Kaise…??
Jala = Burnt

Urdu Shayari - Rain Poetry

بات تو سچ ہے مگر دل مانتا ہی نہیں
کہ بارش میں میرا گھر جلا کیسے۔۔۔؟

Ghareeb K Jo Bachay Hain



Ghareeb K Jo Bachay Hain
Kia Ajeeb Hotay Hain
Neend Main To Hanstay Hain
Jagnay Par Rotay Hain
Ghareeb K Jo Bachay Hain
Khawahishon K Kachay Hain
Khawab Dil Main Botay Hain
Daant Kha K Sotay Hain
Jhoolay Main Bhelaaway K
Roz Jhool Jatay Hain
Aatay K Khilonay Say
Zid Bhi Bhool Jatay Hain
Khawahishon Main Jeetay Hain
Hasraton Main Martay Hain
Aatay K Khilonay Say
Zid Ka Pait Bhartay Hain


Farooq Qaisar (Uncle Sargam)



Monday, September 29, 2014

Atte Ho Tum Barsaat Mai



Atte Ho Tum Barsaat Mai
Deewani Mujhe Banate Ho
Mere Bheege Badan Ko Dekh Kar
Shrarat Se Muskurate Ho


Kapkapate Is Jisam Ko
Apni Bahon Ka Anchal Urdate Ho
Dhadkate Hue Humare Dil Ko
Apni Baato Se Sehlate Ho


Jalati Hai Man Mai Ek Jawala
Jisko Samjh Khoob Tum Jaate Ho
Band Kar Le Jo Hum Apni Ankhein
Bas Hume Hi Dekhe Jaate Ho


Chum Kar Matha Humara
Sir Per Rakh Hath, Seene Se Lagate Ho
Sayam Apne Se, Apna Maan Badate Ho
Atte Ho Tum Barsaat Main, Deewani Mujhe Banate Ho



Sunday, September 28, 2014

Aye Sharabi Tu Peeta Jaa



Aye Sharabi Tu Peeta Jaa
Tere Paimaane Main Aaj Dariya Hai


Asar Tere Nashe Ka Dekhenge Hum
Tere Peene Ka Aaj Nazariya Hai


Tujh Pe Yeh Ilzaam Hai Hoosh Walon Se
Ki Tu Be-Khabar Madhosh Dewaana Hai


Aa Sharabi Pee Ke Sach Bole Ja
Tere Haathon Main Aaj Maikhana Hai…



Badalti Rut Ka “ISHARA” Dekhte Hain



i_love_you (4)


Badalti Rut Ka “ISHARA” Dekhte Hain
Ab Kaise Hoga “GUZARA” Dekhte Hain.


Mohahbat Ki Ye Rasam Bhi Kitni Ajeeb Hai
Jaane Wale Palat Kar ”DUBARA” Dekhte Hain


K Jaisy Doobne Wale Doobne Se Zara Pehly
Ik Umeed Par “KINARA” Dekhte Hain


Teri Khudai Se Gila Hone Lgta Hai
Jb Dunya Mein Koi “BE SAHARA” Dekhte Hain


Kiya Mohahbat Hamein Bhi Raas Aye Gi “WASI”
Aao Aapna Aapna “SITARA” Dekhte Hain … !!



Jab Paas Tha To Paane Ki Aarzu Na Thi - Aarzu Shayari

Jab Paas Tha To Paane Ki Aarzu Na Thi,
Jab Jaa Raha Hai Door To Mohabbat Hui Jawan…

Aarzu Mohabbat Shayari

Khwaab Tute Hue



Khwaab Tute Hue, Dil Dukhaate Rahe,
Der Tak Woh Hume Yaad Aate Rahe,


Kaat Lee Aansuon Mein Judaai Ki Raat,
Sher Kehte Rahe, Gane Gungunaate Rahe…


Tere Jalwe Paraaye Hue Magar Gum Nahi,
Ye Tassalli Bhi Apne Liye Kam Nahi,


Humne Tumse Kiya Tha Jo Wafa Ka Vaada,
Saans Jab Taq Chali, Hum Nibhaate Rahe…



Kabhi wo ajnabhi parchaiyon ko dekhti thi

Kabhi wo ajnabhi parchaiyon ko dekhti thi,
Kabhi wo sham ki tanhaiyon ko dekhti thi,

Wo larki, jis ki nigahon ki muntazir thi bahaar,
Wo ek shaks ki ruswaiyon ko dekhti thi.....

Submitted by: Sahil

Saturday, September 27, 2014

Mere Khudaya Mein Zindagi Kay



Mere Khudaya Mein Zindagi Kay
Aazaab Likhoon K Khawab Likhoon


Yeh Mera Chehra Yeh Meri Aankhain
Bujhay Huwe Charaagh Jaisay


Jo Phir Say Jalnay Kay Muntizar Hon
Woh Chand Chehra, Sitaara Aankhain


Woh Meharbaan Saaya-Daar Zulfain
Jinhon Nay Paemaan Kiye The Mujhsay



Rifaaqaton Kay Muhabbatoun Kay
Kaha Tha Mujhsay Keh Ae Mussafir Reh-E-Wafa Ke


Jahan Bhi Jaae Ga Ham Bhi Aain Gay Saath Teray
Banain Gay Raaton Mein Chandani Ham


Tou Din Mein Saae Bakhaer Dain Gay
Woh Chand Chehra, Sitaara Aankhain


Woh Meharbaan Saaya-Daar Zulfain
Wuh Apnay Paemaan Rifaaqton Kay Muhabbatoun Kay


Shikasst Kar Kay Ajaane Abb Kis Ki Reh-Guzar Ka
Minaar-E-Roshni Hue Hain


Magar Mussafir Ko Kya Khabar Hay
Woh Chand Chehra Tou Bujh Geyaa Hay


Sitaara Aankhain Tou So Gaii Hain
Woh Zulfain Be-Saaya Ho Gaii Hain


Woh Roshni Aur Woh Saae Meri Atta Thay
So Meri Raahon Mein Aaj Bhi Hain


Keh Mein Mussafir Reh-E-Wafa Ka
Woh Chand Chehra, Sitaara Aankhain


Wuh Meharbaan Saaya-Daar Zulfain
Hazaaron Chehron Hazaaron Aankhon


Hazaaron Zulfon Ka Aik Saelaab-E-Tund Lay Kar
Meray Taqub Mein Aa Rahay Hain


Har Aik Chehra Hay Chand Chehra
Hain Saari Aankhain Sitaara Aankhain


Tamaam Hain Sayya-Daar Zulfain
Mein Kis Ko Chahun Mein Kis Ko Daikhoon


Mein Kis Kay Saae Mein Baeth Jaoun
Bachoon Keh Toofaan Me Doob Jaoun


Keh Mera Chehra, Na Meri Aankhain
Mere Khudaya ! Mein Zindagi Kay


Aazaab Likhoon K Khawab Likhoon



Kisane wada kiya hai aane ka – Josh Malihabadi



kisane wada kiya hai aane ka
husn dekho garib khane ka


ruh ko aaina dikhate hain
dar-o-divar muskurate hain


aj ghar, ghar bana hai pahali bar
dil mein hai khush saliqagi bedar


jama saman hai aish-o-ishrat ka
khauf dil mein fareb-e-qismet ka


soz-e-qalb-e-kalim aankon mein
ashk-e-ummid-o-bim aankhon mein


chashm-bar-rah-e-shauq ke mare
chand ke intazar mein tare


Poet of the poem/ghazal or nazam : Josh Malihabadi



Friday, September 26, 2014

Mercy Of Angel

I wish An ANGEL of mercy always sits next to u & Covers u with gentle wings


So that
U walk wrapped in
ALLAH ‘S GRACE,
Protected & Peacefull
4ever

Phir Naya Saal Anay Ko Hai



Phir Naya Saal Anay Ko Hai


Khuda Karay Kay Ye Saal Gaye Saal Kay Zakhmon Pay Marham Rakhay
Khuda Karayy Kay Ye Saal Nai Khushion Ki Navid Lai


Kay Beeta Saal Bohat Say Dard Day Gaya
Bohat Payaron Ko Bohat Apnon Ko Saath Lay Gaya


Lekin…


Wo Apnay Log Jin Kay Dam Say Zindagi Thi, Muskurahatein Thein
Wo Yaad Nahi Ain Gay


Kukey


Yad To Unko Kertay Hain Jo Bhool Gain
Or Jo Her Dharkan Mein Bastay Hon Unko Kaisay Bhulai


Leki


Kahin Gaye Saal Kay Malbay Talay
Zindagi Phir Muskura Rahi Hai


Bahar Phir A Rahi Hai…..



SABAR Eik Aisi Sawari Hai

SABAR Ek Aisi Sawari Hy Jo Apny Sawaar Ko Kabhi Girny Nahi Deti


Na Apne Qadmon Se Aur Na Kisi Ki Nazron Se..

Thursday, September 25, 2014

Subah ka Mosam or Aapki Yaad

Subah ka Mosam or Aapki Yaad,
Halki si thandak or Chai ke Pyas,
Doston ki dosti or dosti ki Mithas,
Shuru kijiye apna din mere SALAM k sath.


Good Morning

Wednesday, September 24, 2014

Meri zuban se meri dastan suno to sahi – Sudarshan Faakir



meri zuban se meri dastan suno to sahi
yaqin karo na karo meherban suno to sahi
chalo ye man liya mujrim-e-mohabbat hain
hamare jurm ka hum se bayan suno to sahi
banoge dost mere tum bhi dushmanon ek din
meri hayat ke aah-o-fugan suno to sahi
labon ko si ke jo baithe hain bazm-e-duniya mein
kabhi to unaki bhi khamoshiyan suno to sahi
kahoge waqt ko mujarim bhari baharon mein
jala tha kaise mera aashiyan suno to sahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sudarshan Faakir



Jab Dour Ufaq Pr Lali Ho



Jab Dour Ufaq Pr Lali Ho
Jab Sham Udasi Wali Ho
Jab Zabt Ka Bandan Tuta Ho
Jab Aas Ka Daman Chuta Ho
Jab Darshan Pyas Bujate Hon
Jab Mosam Geet Sunate Hon
Jab Kan Hon Tarse Baton Ko
Jab Nend Na Aaye Raton Ko
Jab Ankon Mai Jugrate Hon
Jab Apne Dard Statay Hon


Tub Yad Bohat Tum Atay Ho
Tub Yad Bohat Tum Atay Ho..



Mera Kya Hal Hai Tere Bina Kabhi Dekh To Le

Mera Kya Hal Hai Tere Bina Kabhi Dekh To Le
Jee Raha Hun Tera Bhoola Hua Wada Ban Kar...

Mera Kya Hal Hai

Monday, September 22, 2014

Ek Choti Si Galti Par Mujhe Wo Chor

Ek Choti Si Galti Par Mujhe Wo Chor Gaya
Jese Sadiyon Se Meri Galti Ki Talaash Me Tha...

Ek Choti Si

Momin Ki Talwaar Naara Haydar Ka



Momin Ki Talwaar Naara Haydar Ka
Maar Malanga Maar Nara Haydar Ka


Aag Lagaake Baatil Ko Tarpaata Hai
Haal Dilon Ka Chehron Par Le Aata Hai
Aysa Hai Sarkaar Naara Haydar Ka


Isne Hamaare Dil Ke Andhere Chhaat Diye
Ghaddaaron Ke Seenon Mein Dil Kaat Diye
Do Dhaari Talwaar Naara Haydar Ka


Ek Yehi Qissa Hai Qissa Khaanon Mein
Din Ki Kashti Jab Bhi Ghiri Toofanon Mein
Kar Gaya Beraa Paar Naara Haydar Ka


Dozakh Mein Pahuncha Deta Hai Baatil Ko
Tukre Tukre Kar Deta Hai Ye Dil Ko
Jab Karta Hai Waar Naara Haydar Ka


Naade Ali Behtar Hai Sab Payghaamon Se
Naam-E-Ali Hai Aala Saare Naamon Se
Naaron Ka Sardaar Naara Haydar Ka


Jab Bhi Parhaa Hai Waqt Koi Mushkil Gauhar
Kehte Hain Sab Wali Nabi-o-Payghambar
Kaam Aaya Har Baar Nara Haydar Ka



Sunday, September 21, 2014

Logon Ne Jashan Raat Naye Saal Ka Kia

Logon Ne Jashan Raat Naye Saal Ka Kia

Hum Apne Ghar Me Tere Liye Sochte Rahe...

Logon Ne Jashan

Saturday, September 20, 2014

Hum Se Bhi Kabhi Pooch Lia Karo Hal-e-Dil

Hum Se Bhi Kabhi Pooch Lia Karo Hal-e-Dil
Kabhi Hum Bhi Ye Keh Saken K Dua Hai Apki...

Hum Se Bhi Kabhi

Friday, September 19, 2014

Shehar-e-Khmoshan Me Roz Ka Aana Jana - Urdu Poetry



Shehar-e-Khmoshan Me Roz Ka Aana Jana Hai Ab Apna
"Tahir" Apne Liye Ab Aakhri Aaraam Gah Dhoond Raha Hai...!


by: Tahir Javaid Tahir

Gul ko mahbub mein qayas kiya



gul ko mahbub mein qayas kiya
farq nikala bahot jo bas kiya
dil ne hum ko misal-e-aina
ek aalam se ru-shinas kiya
kuch nahi sujhata hamen us bin
shauq ne hum ko be-havas kiya
subah tak shama sar ko dhundhati rahi
kya patange ne iltemas kiya
aise vahashi kahan hain ae khuban
‘meer’ ko tum ne abas udas kiya


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Meer Taqi Meer



Tu Mujhe Chor Ke Jane Laga To Yaqeen Aaya

Tu mujhe chor ke jane laga to yaqeen aaya hai..
Saansoon ke siva kuchh bhi to zaroori nahi hota..

Submitted by: Kumar

Thursday, September 18, 2014

Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya

Aankhon ko intezaar ka deke hunar chahla gaya
Chaha tha ek shakhs ko jaane kidhar chala gaya


Din ki woh mehfile gayi raaton ke ratjage gaye
Koi samet kar mere sham-o-saher chala gaya


Jhonka hai ek bahaar ka khayal -e-yaar bhi
Har taraf bikhar gayi khushboo jidhar woh chala gaya


Uske hi dam se dil mein aaj dhoop bhi chaandni hai
Deke woh apni yaado ke khajane chala gaya


Tanha tanha gumshum sa kab se bhatak raha hai dil
Humko bhula ke raah woh apni dagar chala gaya

Ghusthakhiya Karteh Hai Saheli



Yuh Toh Haar Baar Hum Ghusthakhiya Karteh Hai Saheli..
Aur Tum Ho Ki Saheli,Sudhaarti Ho Humeeh
Tumharri Baatooh Meh Aisa Matlab Hota Hai
Ki Saheli Aksar Sahi Raah Mil He Jate Hai Hameeh
Hum Na Mileeh Saheli Narazgi Dekhati Ho Hameeh
Aur Hamareh Ek Jhalah Seh Ghum Bhulati Hai Sahel
Yuh Toh Hoteeh Nahi Saheli Har Safar Meh Tum
Par Har Baar Dil Meh Apna Ashiyaan Banate Ho Saheli..



Madhosh Hoon Teri



Madhosh Hoon Teri Zulfo’n Ki Khushbu Jo Mere Saath Hai
Madhosh Hoon Teri Yaado’n Ki Kashish Jo Mere Saath Hai


Kaise Chen Paaoo’n Ki Ab To Daur-E-Maikashi Hai
Husn-E-Jaana Ki Haseen Silvateh Jo Mere Saath Hai


Siyaah Raat Ko Bhi Zhulsaa De Jo Tera Saffaf Badan
Chaand Se Chaandi Ho Gayi Judaa Jo Mere Saath Hai


Shehar-E-Rangeen Ke Mizaz Me Woh Nasha Nahi Yaaro
Aaye Sanam Mere To Saara Nasheman Mere Saath Hai



Piyas Kehti Hai Ke Ab Rait Nichori Jaye

Piyas Kehti Hai Ke Ab Rait Nichori Jaye,
Apne Hisse Mein Samander Nahi Aane Wala…

Piyas

Tujh Se Bichar Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye

Tujh Se Bichar Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye,
Phir Jo Bhi Dar Mila Usi Dar Ke Ho Gaye…

Bicharna Poetry

Wednesday, September 17, 2014

Phir bhi hai tumako masihai ka dawa dekho – Hasrat Mohani



Phir bhi hai tumako masihai ka dawa dekho
mujhko dekho, mere marane ke tamanna dekho
jurm-e-nazzara pe kon itni khushamad karta
ab wo ruthe hain lo aur tamasha dekho
do hi din mein wo baat hai na wo chah na pyar
hum ne pahale hi ye tum se na kaha tha dekho
hum na kahate the banavat se hai sara gussa
hans ke lo phir wo unhon ne hamen dekha dekho
masti-e-husn se apni bhi nahi tum ko khabar
kya suno araz meri, hal mera kya dekho
ghar se har vaqy nikal aate ho khole hue bal
sham dekho na meri jan savera dekho
khana-e-jan mein namudar hai ek paikar-e-nur
hasarato aao rukh-e-yar ka jalva dekho
samane sab ke munasin nahi hum par ye itab
sar se dhal jaye na gusse mein dupatta dekho
mar mite hum to kabhi yaad bhi tum ne na kiya
ab muhabbat ka na karana kabhi dawa dekho
dosto tark-e-muhabbat ke nasihat hai fazul
aur na mano to dil-e-zar ko samajha dekho
sar kaheen bal kaheen hath kaheen pano kaheen
us ka sona bhi hai kis shan ka sona dekho
ab wo shokhi se ye kahate hain sitamagar jo hain hum
dil kisi aur se kuch roz bahala dekho
havas-e-did miti hai na mitegi “hasrat”
dekhane ke liye chaho unhen jitana dekho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Hasrat Mohani



Tuesday, September 16, 2014

Happy Friendship Day Poems 2015



Full Many A Glorious Morning Have I See
Flatter The Mountain-Tops With Sovereign Eye,
Kissing With Golden Face The Meadows Green,
Gilding Pale Streams With Heavenly Alchemy;
Anon Permit The Basest Clouds To Ride
With Ugly Rack On His Celestial Face,
And From The Forlorn World His Visage Hide,
Stealing Unseen To West With This Disgrace:
Even So My Sun One Early Morn Did Shine
With All-Triumphant Splendour On My Brow;
But Out, Alack! He Was But One Hour Mine;
The Region Cloud Hath Mask’d Him From Me Now.
Yet Him For This My Love No Whit Disdaineth;
Suns Of The World May Stain When Heaven’s Sun Staineth.



Aaj Bhi Sooraj Deeb Gaya Hai Door - Sad Poetry

Aaj Bhi Sooraj Deeb Gaya Hai Door Ufaaq Ke Sagar Mein,
Aaj Bhi Phool Chaman Mein Tujh Ko Bin Dekhe Murjaye…. :(   
Ufaaq = Horizon; Murjhaye = Wither
Phool Sooraj Shayari

waqat mila to sochenge.


"Mausam, khushbu, baad-e-saba, chaand, shafaq or taron main,
Kon tumhary jesa hai? waqat mila to sochenge...."

Close Your Eyes

Close your eyes,
relax your body,
N
stop breathing as long as you
can
Now breath… I miss you
as much as you missed the
air..!

Monday, September 15, 2014

Doston Se Wasi Agar Tumhe Mohabbat Hai



Kis Kadar Ajeeb Hy Rishtaa Muhabbat Ka
Kub Na Jane Ho Jayee Mojzaa Muhabbat Ka
Aapni Zaat Sy Bhi Woh Ajnabi Sa Lgta Hy
Jis Ke Sath Ho Jaye Hadsaa Muhabbat Ka
Woh Chala Hi Jata Hy Jiss Ne Jana Hota Hy
Likh Do Chahe Usko Wasta Muhabbat Ka
Zindgi Mein Jeene Ka Asra Nhi Rehtaa
Jub Kisi Sy Cheen Jaye Hosla Muhabbat Ka
Doston Se Wasi Agar Tumhe Mohabbat Hai
Doston Ko Maat Dena Mashwara Muhabbat Ka..?



Sunday, September 14, 2014

Tuja La Kar Banhon Mai Mohabbat Karty




199505_356109241143335_517293043_n


Pas Hoti Too Koe Shararat Karty
Tuja La Kar Banhon Mai Mohabbat Karty


:
Dekhte Tare Aankhon Mai Neend Ka Khumar
Apne Khoi Hoi Neendon Ke Shikayat Karty


:
Tare Aankhon Mai Apna Aks Dhondte
Khud Se Be Zyda Tuje Chaha Karty


:
Ek Dill Hi Tha Wo Be Tere Pass Hai Jana
Raat Bar Jag Ke Kis Ki Hifazat Karty?



Shab e Barat Shayari

39;Meri |||””DÜA””||| hai….
Is Raat se phely
Us
“”MUSHKIL KUSHA”” se
k…


Ap ki “SARI MUSHKILAT” door hon,


Us
“”GHAFOOR”” se
k..


Ap ko “BAKHSH” de,


Us
“”RAHEEM”” se
k..


Ap pe “REHEM” kare,


Us
“RUBUL EZZAT” se
k..


Ap ki “IZZAT” ki “HIFAZAT” kare,


Us
“GHANI” se
k.


Ap ko had darja “NAWAZE”


Us
“”MALIK-E-KAINAT”se
k..
Ap ko her “kHUSHI” dey.


(AAMEEN)’

Happy Raksha Bandhan






Just Remember That I’ll Always Be
By Your Side Whenever You Need Me.
Isn’t That What Siblings Are For?
As I Think Of You Today.
I Remember The Wonderful Times We Have Shared.
My Love And Sincere Greetings To You.


Happy Raksha Bandhan



Aitbaar Karo



Meri Ankhoon Mein Basay Ho Tum
Ek Dua Ban Kar
Tumhein Zindagi Bhar Yunhi Chahoongi
Aitbaar Karo
Mere Hathoon Par Likha Hai Tumhara Naam
Chahat Kai Rangoon Nai
Isai Dharkan Mein Basaoongi
Aitbaar Karo
Meri Har Soch Mein Shamil Hai Khayal Tumhara
Isai Sansoon Mein Rachaongi
Aitbaar Karo
Yun To Har Pal Tum Rehtay Ho Mere Hi Sath Humdum
Tumhein Saibaaan Mein Banaoongi
Aitbaar Karo
Hai Laboon Par Mere Jo Naam Tumhara Hai
Tumhein Apna Mein Banaoongi
Aitbaar Karo
Hain Kathin Rah-E-Wafa Janaa To Kya Hota Hai
Dil Jala Kar Mein Nibhaoongi
Aitbaar Karo
Mujhe Tumse Hai Mohabbat Tumhein Khabar Hai Yeh
Mein Isai Zindagi Mein Laoongi
Aitbaar Karo
Tumhara Hi Chehra Basa Hai Meri In Ankhoon Mein
Tumhein Tabeer Banaoongi
Aitbaar Karo
Tumhein Pakar Ho Jai Gi Sehal Zindagi Meri
Yehi Dua Bus Mangoongi
Aitbaar Karo
Kabhi Khawaboon Mein Kabhi Khayaloon Mein
Kehti Hoon Tumse Yehi
Mein Zindagi Tum Sang Sajaoongi
Aitbaar Karo



Saturday, September 13, 2014

Kab wo sunata hai kahani meri – Mirza Ghalib



Kab wo sunata hai kahani meri
aur phir wo bhi zabani meri
khalish-e-gamza-e-khunrez na puch
dekh khunabafishani meri
kya bayan karake mera royege yar
magar aashufta-bayani meri
hun zikhud rafta-e-baida-e-khayal
bhool jana hai nishani meri
mutaqabil hai muqabil mera
ruk gaya dekh ravani meri
qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hun
sakht arzan hai girani meri
dahan us ka jo na malum hua
khul gai hechamandani meri
kar diya zof ne aajiz “ghalib”
nang-e-piri hai javani meri


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Ye jo hum hijr mein divar-o-dar ko dekhte hain – Mirza Ghalib



Ye jo hum hijr mein divar-o-dar ko dekhte hain
kabhi saba ko kabhi namabar ko dekhte hain
wo aaye ghar mein hamare khuda ke kudarat hai
kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain
nazar lage na kaheen usake dast-o-bazu ko
ye log kyon mere zakhm-e-jigar ko dekhte hain
tere javahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhen
hum auj-e-tala-e-lal-o-guhar ko dekhte hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Friday, September 12, 2014

Bakhsha Hai Thokron Ne Sambhalny Ka

Bakhsha Hai Thokron Ne Sambhalny Ka Tareeqa,
Her Haadisa Khayal Ko Gehrai De Gaya...

Bakhsha Hai Thokron Ne

Main main na rahoon tum tum na raho



Main main na rahoon tum tum na raho
ek duje mein khoo jain ek jaan ho jain
chalo aao aaj ki sham ko kuch es tara sajain
ke seher tak donon madhoosh ho jain
lepat ke ek duje ki bahoon se raat bhar
barsoon ki tashnagi seher tak mitaain
dori rahe na darmiyan etne qareeb aao
tum hum mein sama jao hum tum mein sama jain
es haseen sham ko aaj yun na dhalne deain
sulagne deain saansoun ko jismon ko phigalain
bujhane se bhi nhi bujhti yeh piyaas muhabbat ki
ab tarse howe hontoon ko hontoon se milne deain
barsoon ki tashnagi ko kese bujhain MAHEK
chalo aao phir se ek haseen sham sajain



Thursday, September 11, 2014

Neend Se Dushmani Nahi Meri

Neend Se Dushmani Nahi Meri

Bas Aik Zid Hai K Nahi Sona...

Neend Se Dushmani

Ik na ik shamma andhere mein jalaye rakhiye – Tariq Badayuni



Ik na ik shamma andhere mein jalaye rakhiye
subah hone ko hai mahaul banaye rakhiye
jin ke hathon se hamen zakhm-e-nihan pahunche hain
wo bhi kahate hain ki zakhmon ko chupaye rakhiye
kon jane ki wo kis rah-guzar se guzri
har guzar-gah ko phoolon se sajaye rakhiye
daman-e-yar ke zinat na bane har aansu
apni palkon ke liye kuch to bachaye rakhiye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Tariq Badayuni



Funny Poem in English



How Simple To Be Happy Here In Heaven!
After All, One Doesn’t Want For Much.
Passion Finds Its Willing Partner, Ever
Pleased To Please With A Deft And Tender Touch.
Yearning Is Like Walking Through A Valley
Veiled In The Loveliness Of Flowers.
All The Beauty Of The Earth Can Only
Lead Us To The Edge Of What Is Ours.
Etched Into Our Love There Is A Message,
Not Of Now But Of All Time And Place,
Telling Of A Truth Beyond The Passage
In Which We Move From Mystery To Grace.
Nor Are There Signs That Such Content Can Be
Except My Love For You, And Yours For Me.



Samandar K Safar Me Is Tarha Awaz Den

Samandar K Safar Me Is Tarha Awaz Den Hum Ko

Hawaen Tez Hon Or Kashtiyon Me Shaam Ho Jaye

Ujaale Apnî Yaadon K Hamary Sath Rehne Den

Na-Jane Kis Gali Me Zindagi Ki Shaam Ho Jaye...

Samandar K Safar

Wednesday, September 10, 2014

Baarish Hui To Rone Laga Phoot Phoot Kar

Baarish Hui To Rone Laga Phoot Phoot Kar

Warna To Aik Sookha Shajar Theek Thaak Tha...

Baarish Hui To Rone

jibrael A.S. Se Pucha

Nabi-a- Kareem(S.A.W) Ne jibrael A.S. Se Pucha,
Kay Mere Chale Jane K Bad Bahi Tum Dunya Me Aaoge ?
Jibrael A.S. ne kha haa ,mai qayamat Thak 10MrtbaAaunga.
Har Bar Dunya Se 10 Cheez Uthakar Lejaunga


1-sabr
2-sharm o- haya
3-Muhabbat
4- barkat
5-Insaf
6- Sakhavat
7-Halal
8-sadaqat
9- Ilm
10- Quran.


Submitted By: Zain Shuja

Tuesday, September 9, 2014

Ab To Kisi Bhi Baat Pay,Aitbaar Nahi Hota



Ab To Kisi Bhi Baat Pay, Aitbaar Nahi Hota
Hote Hain Bass Samjhote Dilon Ke, Koi Pyar Nahi Hota


Kitna Bhi Samjha Leinn Hum, Iss Dil-E-Nadaan Ko
Ek Qatra Kabhi, Koi Saagar Nahi Hota


Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki Ye Umar Guzar Jaati Hai
Ke Taqdeer Pay Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahi Hota



Lagte Hain Jo Pal Suhane, Wo Hain Mere Bas Khaabon Ke
Haqeeqat Mein Kabhi Khushi Ka, Deedar Nahi Hota


Dhal Jaate Hain Ye Ashk, Ek Aur Gham Ki Raah Liye
Inn Honthon Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahi Hota



Monday, September 8, 2014

Donon jahan deke wo samajhe ye khush raha – Mirza Ghalib



Donon jahan deke wo samajhe ye khush raha
yann aa padi ye sharm ki takarar kya karen
thak thak ke har maqam pe do char rah gaye
tera pata na payen to nachar kya karen
kya shama ke nahi hai hawa khvah ahal-e-bazm
ho gham hi jan gudaz to gamkhvar kya karen


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



God shayari



May God stay with u this day
&
give u peace of mind.


May God give u a happy heart
&
his love all the time. Good luck




Jihdi Khushi Layi Aasi Mangde Rahe Duavaavan,


Aaj Kinj Keh Diyan Ke Oh Sajjan Ujjar Jave,


Jihdi Paireen Aasi Phul Vishaey,


Jehar da Kauda Ghut Pita,


Kinj Keh Diyan Oh Rabba,


Mere Dillon Ohda Hun Na Hi Mit Jaye…


Khuda Ney Muj Koo Bataya Hey Yeh
Moohaabat Hee Hey “Tera” Khuda


Kaisee Hey “Munfaaqaat” (Hypocrisy) Zamaney Mein
Zubaan Pey Kalimaah Dil Mein Hey Inqaar


Aisa Ilm Naa Ataa Kar Mujhee
Jis Mein Naa Hoo Jidat-E Kirdaar Yahaan


Dollar Kee Mohaabaat Hey Unn Kaa Khuda
Jin Key Diloon Mein Hey Shaak(Doubts) Kee Barmaar(Excessiveness) Yahaan


Share with us more God shayari .in comments section below.



Sunday, September 7, 2014

Charag-e-ishq jalne ke rat aayi hai



charag-e-ishq jalne ke rat aayi hai
kisi ko apana banane ke rat aayi hai


falak ka chadd bhi sharma ke munh chupayega
naqab rukh se uthane ke rat aayi hai


nigah-e-saqi se paiham chalak rahi hai sharab
pio ki pine-pilane ke rat aayi hai


wo aj aae hain mahafil mein chandani lekar
ki raushani mein nahane ke rat aayi hai



Poet of the poem/ghazal or Nazam:  Faiz Ratlami



It Is The Talk Of Today’s World



It Is The Talk Of Today’s World.
It Has Mesmerised The Whole Universe.


It Is The Book That Keeps Others At Bay.
The Children Are Excited About It Night And Day.


Yes You’re Right I Am Talking About The,
Harry Potter, The Mesmeriser.


It Is Writtn By J.K. Rowling,
About Whosebooks The World Is Howling.


Potter Is A Boy Who Is Brave.
He Got A Surprise On His Eleventh Birthday.


He’s Got To Kill The Evil Of Evils,
And Be Greater Than The Greatest.


He Has Fought The Dementors,
And Also The False Rumours.


The Loss Of Dumble Dore Was Very Expensive.
But He’ll Be Always Impressive



Main Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata



Kash Main Tere Hasin Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Pyar Sy Bade Chao Sy Bade Araman K Sath
Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Or Betabi Sy Furqat Ke Khizan Lumhon Mein
Tu Kisi Soch Mein Dobi Jo Ghumati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata
Jb Kbhi Mud Mein Aaa Kr Mujhe Chumaa Karti
Tere Honton Ke Shiddat Sy Main Dahak Sa Jata
Raat Ko Jb Bhi Tu Nindoon Ke Safar Pr Jati
Marmari Haath Ka Ek Takiya Banaya Karati
Main Tere Kan Se Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfoon Ko Tere Gal Ko Chuma Karta
Jab Bhi Tu Band Qaba Kholane Lagti Janan
Apni Aankhon Ko Tere Husn Se Khera Karta
Mujh Ko Betab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Ruh Ke Gulashan Mein Mahakata Rehta
Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakata Rehta
Kuch Nahi To Yahi Benam Sa Bandhan Hota
Kash Main Tere Hasin Hath Ka Kangan Hota…!!!



Saturday, September 6, 2014

Main Pi Kr Nahi Behekta Usy Dekh Kr

Main Pi Kr Nahi Behekta Usy Dekh Kr Behekta Hun,
Aye Aalim-e-Waqt Bta Sharaab Haraam Hai Ya Wo???

Main Pi Kr Nahi Behekta

Wafa Bhi Meri Adaa Bhi Meri Dua Bhi Meri

Wafa Bhi Meri, Adaa Bhi Meri, Dua Bhi Meri, Jafa Bhi Meri
To Phir Muhabbat Me Yar Tera Kamal Kya Hai Sawal Ye Hai...

Wafa Bhi Meri

Na Kuch Raha Paas Apne To Sambhaal K Rakhi

Na Kuch Raha Paas Apne To Sambhaal K Rakhi Aik Tanhai

Ye Wo Saltanat Hai Jis K Baadshah Bhi Hum, Faqeer Bhi Hum...

Na Kuch Raha

Yahan se ab kaheen le chal khayal-e-yar mujhe – Aziz Warsi



Yahan se ab kaheen le chal khayal-e-yar mujhe
chaman mein ras na aayegi ye bahar mujhe
teri latif nigahon ke khas jumbish ne
bana diya teri fitarat ka razadar mujhe
meri hayat ka anjam aur kuch hota
jo aap kahate kabhi apna jan-nisar mujhe
badal diya hai nigahon ne rukh zamane ka
kabhi raha hai zamane pe ikhtiyar mujhe
ye hadasat jo hain iztarab ka paigam
ye hadasat hi aayenge sazagar mujhe
‘aziz’ ahal-e-chaman ke shikayat besud
fareb de gai rangini-e-bahar mujhe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aziz Warsi



Friday, September 5, 2014

Happy Fathers Day Poems in English



A Dad is a person
who is loving and kind,
And often he knows
what you have on your mind.
He’s someone who listens,
suggests, and defends.
A dad can be one
of your very best friends!
He’s proud of your triumphs,
but when things go wrong,
A dad can be patient
and helpful and strong
In all that you do,
a dad’s love plays a part.
There’s always a place for him
deep in your heart.
And each year that passes,
you’re even more glad,
More grateful and proud
just to call him your dad!
Thank you, Dad…
for listening and caring,
for giving and sharing,
but, especially, for just being you!
Happy Father’s Day



Mere nasib ne jab mujh se intaqam liya – Shaz Tamkanat



mere nasib ne jab mujh se intaqam liya
kahan kahan teri yadon ne hath tham liya
faza ke aankh bhar aayi hawa ka rang uda
sukut-e-sham ne chupke se tera naam liya


wo main nahi tha ek harf bhi na kah paya
wo bebasi thi ke jis ne tera salam liya
har ek khushi ne tere gham ke aabaru rakhali
har ek khushi se tere gham ne inteqam liya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shaz Tamkanat



Raat Ka Galiban ,Aakhiri Pehar Tha …



Raat Ka Galiban ,Aakhiri Pehar Tha …
Mujh Say Tanha Sitara Yoon Gooya Hoa


Hamnasheen …
Alwida !!
Aey Meray Hamnasheen . .Mujh Ko Nend Aa Gai


Tum Bhi So Jaao Ja Ker Kahen
Kal Milen Gay Yaheen..!!


Ye Sun Kar Main Halka Sa Muska Dia
Us Ko Batla Dia


Janay Walay Yahan Lout‘tay He Nahi
Tum Na Ao Gay Kal


Mujh Ko Hay Ye Yaqeen
Baat Sun Kar Meri


Wo Ruk Sa Gia …
Or Kehnay Laga ..


*Tum Say Wadah Karon
Phir Na Pora Karon ?


Aisa Mumkin Nahi …
Sun Meray Hamnashen …Main To Insaa‘n Nahi



Koi Kandha Ho Mayassar, Koi To Saath De - Sad Poetry

Sad Poetry

Urdu Poetry - Sad Poetry

Koi Kandha Ho Mayassar, Koi To Saath De Mera.!
Mujhe Toote Hue Ek Khuwab Ki Tad’feen Karni Hai….

Kandha = Shoulder; Tad'feed = Funeral

Urdu Shayari - Udas Shayari

کوئی کندھا ہو میسّر، کوئی تو ساتھ دے میرا
مجھے ٹوٹے ہوئے اک خواب کی تدفین کرنی ہے

Thursday, September 4, 2014

Teri Yaad Ke Pewand Lage Hain Warna - Sad Poetry

Teri Yaad Ke Pewand Lage Hain Warna, 
Mere Wajood Ki Ur Jaatin Dhajiyan Kitni…!


yaad sad

Love Is An Illusion

Love is an illusion!
Its a highly dependency disorder
of weak hearted people..
.
.
.
.
People with strong hearts
believe in FLIRTING :p

Amjad Islam Amjad Shayeri



Bheed Main Ik Ajnabi Ka Samna Achha Laga
Sub Se Chhup Ker Wo Kisi Ka Dekhhna Achha Laga


Dil Main Kitne Ehd Bande Thhe Bhulane K Usse
Wo Mila To Sub Irade Todrna Achha Laga


Uss Adooye Jan Ko Amjed Main Bura Kaise Kahoon
Jub B Aaya Samne Wo Be Wafa Achha Laga



Bari Ajeeb Hai Nadaan Dil Ki Khawahish

Bari Ajeeb Hai Nadaan Dil Ki Khawahish YA RAB,
Amal Kuch Bhi Nahi Aur Dil Talabgaar Hai Jannat Ka...

Bari Ajeeb Hai Nadaan

jite rahane ke saza de zindagi ae zindagi – Zaka Siddiqui



jite rahane ke saza de zindagi ae zindagi
ab to marane ke dua de zindagi ae zindagi
main to ab uqta gaya hun kya yahi hai qayanat
bas ye aaina hata de zindagi ae zindagi
dhundane nikala tha tujh ko aur khud ko kho diya
tu hi ab mera pata de zindagi ae zindagi
ya mujhe ehasas ke is qaid se kar de riha
warna divana bana de zindagi ae zindagi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Zaka Siddiqui



Tamam bewaqufon Ko

Tamam bewaqufon
ko ittala di jati hai…
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aap to aise parh rahe hen
jaise ye ittala aap k liye ho.:p

Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Valo Ne



Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Valo Ne
Kale Kale Balo Ne Gore Gore Gaalo Ne
Najar Mein Shokhiya Aur Bachapana Sharaarat Mein
Adaae Dekh Ke Hum Fas Gaye Mohabbat Mein


Hum Apani Jaan Se Jayege Jin Ki Ulafat Mein
Yahin Hai Ki Na Aayege Vohi Maiyat Mein
Khuda Saval Karega Agar Qyamat Mein
To Hum Bhi Kah Denge Hum Lut Gaye Sharafat Mein


Vahi Vahi Pe Qyamat Ho Vo Jidhar Jaye
Juki Juki Hui Nigah Se Kaam Kar Jaye
Tadapata Chod De Raste Me Aur Gujar Jaye
Shitam To Ye He Ki Dil Le Le Aur Mukar Jaye


Samaj Me Nahi Aata Ki Ham Kidhar Jaye
Yahi Irada He Ki Yah Kah Kar Kam Mar Jaye
Vafa Ke Nam Pe Mara He Be-Vafaao Ne
Ke Dam Bhi Na Lene Diya Is Jafaao Ne


Khuda Bhula Diya He Is Husn Ke Khudaao Ne
Mita Ke Chhod Diya He Ishq Ki Khataao Ne
Udaaya Hosh Kabhi Zulf Ki Havaao Ne
Khayal-E-Naaz Ne Luta Kabhi Adaao Ne


Hajaro Lut Gaye Najaro Ke Ek Isare Par
Hajaro Bah Gaye Toofan Ban Ke Dharo Par
Na Inake Vaaso Ka Thik He Na Baato Ka
Fasana Hota He Inaka Hajar Rato Ka


Bahut Hasin He Vese To Bhol Pan Inaka
Bhara Huaa He Magar Zahar Se Badan Inaka
Ye Jis Ko Kaat Le Vo Pani Pi Nahi Shakata
Davato Kya Duaao Se Bhi Jee Nahi Shakata Hai

Inahi Ke Mare Huye He Ham Bhi Jamane Mein
He Chaar Labz He Mohabbat Ke Fasane Me
Zamana Inako Samajata He Nek Aur Masoom
Magar Ye Kese He Kya He  Kisi Ko Kya Maloom


Inahe Na Tir Na Talavar Ki Jarurat He
Shikar Karane Ko Nigahe Ulafat He
Hasin Chalo Se Dil Paayamaal Karate Hai
Najar Se Karate He Bate Kamaal Karate Hai


Har Ek Bat Me Matalab Hazar Hote Hai
Ye Sidhe Sade Bade Hoshiyaar Hote Hai
Kuda Bachaye Hasino Ki Tez Chalo Se
Pade Kisika Bhi Pala Na Husn Valo Se


Husn Valo Me Mohabbat Ki Kami Hoti He
Chahane Valo Ki Takadeer Buri Hoti He
Unaki Bato Me Banavat Hi Banavat Dekhi
Sharm Aankho Me Nigaho Me Lagavat Dekhi


Aag Pahale To Mohabbat Ki Laga Dete Hai
Apane Rukhsaar Ka Deevana Bana Dete Hai
Dosti Kar Ke Fir Anzaan Najar Aate Hai
Sach To Ye He Ki Be-Imaan Nahar Aate Hai


Moute Kam Nahi Duniya Me Mohabbat Inaki
Jindagi Barabad Hoti He Badolat Iunaki
Din Baharo Ke  Gujarate He Magar Mar Mar Ke
Loot Gaye Hum To Hasino Pe Bharosa Kar Kar Ke



Tum Kya Jano Muhabbat K Meem Ka

Tum Kya Jano Muhabbat K Meem Ka Matlab
Agar Mil Jaye To Mojza Aur Na Mile To Mout...

Tum Kya Jano

Wednesday, September 3, 2014

Iss Benaam Se Rishte Ko Nibha Jao Kisi Din



Iss Benaam Se Rishte Ko Nibha Jao Kisi Din
Jo Mil Jaye Fursat Tu Pass Ahoo Kisi Din


Milta Hy Sabhi Ko Sub Kuch Yeh Suna Hy
Mujhe Tu Faqat Tum Hi Mil Jaoo Kisi Din


Barsoon Sy Ye Mera Dil Khali Hi Para Hy
Tum Apne Naam Ki Hi Takti Laga Jao Kisi Din


Barsoon Ki Muhabbat Ko Kis Tarah Bhula Deite Ho
Mujh Ko Bi Aisa Hunar Sikha Jao Kisi Din


Muqadar Mein Jo likha Hy Kabhi Na Mitega
Fursat Mile Tu Dil Ko Ye Baat Samjha Jao Kisi Din..?



Kisi Ki Chahat Mein Barbad Ho Gaye


Kisi Ki Chahat Mein Barbad Ho Gaye,

Apni Hi Khushiyon Ke Khilaf Ho Gaye,
Chale The Hum Sab Ko Khushiyan Dene,
Aaj Khud Apni Khushi Ke Liye Mohtaj Ho Gaye.....

by: Jannat Abbasi

Dur se aaye the saqi sun ke maikhane ko hum – Nazeer Akbarabadi



Dur se aaye the saqi sun ke maikhane ko hum
bas tarasate hi chale afasos paimane ko hum
may bhi hai mina bhi hai sagar bhi hai saqi nahi
dil mein aata hai laga den aag maikhane ko hum
hum ko fasana tha qafaz mein kya gila sayyad ka
bas tarasate hi rahe hain aab aur dane ko hum
bag mein lagata nahi sahara mein ghabarata hai dil
ab kahan le jake baithen aise divane ko hum
kya hui taqasir hum se tu bata de ae ‘nazeer’
taki shadi marg samajhen aise mar jane ko hum



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nazeer Akbarabadi



Tuesday, September 2, 2014

Larkiya Be Wafa Nhe Hote



Larkiya Be Wafa Nhe Hote….
Wo To Majboriyo My Lipte Hain,Apny Shidat Bhary Heyalo May,
Apny Andr Chupi Ik Aurat May Wo Hmesha Hi Drte Rehte Hain,
Na To Jete Hain ,Na To Mrte Hain,
Larkiya Be Wafa Nhe Hote…..
Pr Hamesha Drte Rehte Hain,


Apni Reet Ar Rawajo Sy,Any Waly Naey Azabon Sy,
Zardorat May Khily Gulabo Sy,Pyar Krte Hain Aur Chupate Hain,
Larkiya Be Wafa Nhe Hote….
Kiun K Majboriyo May Lipti Hain,Ar Hr Lamha Drte Rehte Hain,
Apny Pyar Sy,Apny Saye Sy,Apny Rishto Sy,Dil Ki Darkan Sy,
Apni Khuwaish Say,Apni Khushiyon Say,
Larkiya Be Wafa Nahe Hote..



Monday, September 1, 2014

Jin K Aangan Me Ameeri Ka Shajar Lagta Hai

Jin K Aangan Me Ameeri Ka Shajar Lagta Hai
Un Ka Har Aib Zamanay Ko Hunar Lagta Hai...

Jin K Aangan Me

O mere humdum shayari



Socha Kisi Apne Se Baat Karun
Apne Kisi Khaas Ko Yaad Karun
Kiya Jo Faisla Eid Mubarak Kehne Ka
Dil Ne Kaha Kyun Na Aapseshuruwat Karun



Aeh Mere Dost Mere Humdum
Yeh Meherbani Hai Teri
Tune Meri Iss Zindagi Ko
Jeene Ka Sahara Deh Diya!


Banakarr Aapna Begana Kaha
Isska Nahi Gilla Mujhko
Ittna To Kiyaa Ki Mujhko
Likhne Ke Kaabil Bana Diya!


Hassa Kar Tumne Rula Diya
Aapna Kar Phir Thukra Diya
Kyaa Khata Thi Mujh Gareeb Ki
Tune Kyun Hai Aisa Kiya!


Bas Ittna Jaan Lo Duniya Mein
Tumse Badhkar Koi Duja Dost Nahi Duniya Mein
Magar Tumne Kimat Samjhi Nahi
Dost Ko Chhod Diya Beech Majhdaar Mein!



Share with us more O mere humdum shayari in Comments Section below.