Tuesday, August 26, 2014

Dil mein ik lahar si uthi hai abhi – Nasir Kazmi



Dil mein ik lahar si uthi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
shor barpa hai khana-e-dil mein
koi divar si giri hai abhi
kuch to nazuk mizaj hain hum bhi
aur ye chot bhi nai hai abhi
bhari duniya mein jee nahi lagata
jane kis cheez ke kami hai abhi
tu sharik-e-sukhan nahi hai to kya
ham-sukhan teri khamoshi hai abhi
yaad ke be-nishan jaziron se
teri aavaz aa rahi hai abhi
shahar ke becharag galiyon mein
zindagi tujh ko dhundhati hai abhi
so gaye log us haveli ke
ek khidaki magar khuli hai abhi
tum to yaro abhi se uth baithe
shahar mein raat jagti hai abhi
waqt acha bhi aayega ‘nasir’
gham na kar zindagi padi hai abhi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment