Saturday, November 30, 2013
Friday, November 29, 2013
Mere Mehboob Aaj Ye Wada Karle
Mere Mehboob Aaj Ye Wada Karle,
Bad Marne Ke Banaye Ga Taj Meraa,
Mujh Se Es Baat Ka Aaj Tu Wada Kar Le,
Tu Banayega Naya Taj Ye Wadaa Kar Le,
Me Ne Tujhe Se He Kiya Pyar Alag Duniya Me,
Sari Duniya Se Alag.. Tu Alag Aaj Ye Wada Karle,
Jeete Ji Nam Kiya Hamne Ishq Ke Duniya Me,
Baad Mar Ne Ke Ho Naam Ye Wada Karle,
Mujh Ko Malum He Ye Wada Nahi Hogaa Pura,
Aaj Jhutaa Hi Sahi Phirbhi Ye Wada Karle,
Mere Mehboob Ye Aaj Wada Kar Le,
Baad Marne Ke Banaye Gaa Taj Meraa.
By Hameeda Ameer
Jise Samajhta Tha Zindagi, Wo Meri Dharkanon Ka Faraib Tha
Mujhe Muskurana Sikha Ke Wo Meri “Rooh” Tak Ko Rula Gaya….
Dost Badal Jate Hain
Mil Bhi Jaate Hai To Katra Kar Nikal Jaate Hai
Haaye Mausamki Tarah Dost Badal Jaate Hai
Wo Kabhi Apni Jafa Par Na Hue Sharminda
Hum Samajhte Rahe Patthar Bhi Pighal Jate Hai
Umar Bhar Jinki Wafaon Pe Bharosa Kariye
Waqt Padne Par Wohi Log Badal Jaate Hai…
Thursday, November 28, 2013
raat behad chup hai aur us ka andhera surmagin-Munir Niazi
raat behad chup hai
aur us ka andhera surmagin
sham padate hi damakate the jo rangon ke nagin
dur tak bhi ab kaheen
us ka nishan milta nahi
ab to badhata aayega
ghanghor badal chah ka
us mein bahati aayegi
ek madbhari mithi sada
dil ke sune shahar mein gunjega nagma chah ka
raat ke parde mein chup kar khoon rulati chahato
is qadar kyon dur ho
mujh se zara ye to kaho
mere pas aakar kabhi meri kahani bhi suno
siskiyan leti havayen kah rahihain – ‘chup raho’
Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Munir Niazi
Wednesday, November 27, 2013
Adhoorey Chaand Ki Adhoori Raat
Adhoorey Chaand Ki
Woh Adhoori Raat
Hontoo Per Dum Toorti
Un Kahi Un Suni
Woh Adhoori Baat
Woh Kuch Ajnabi Sa
Woh Kuch Shansa Sa
Rahi Adhoori Mulakaat
Dil Ne Kuch Khoya
Dil Ney Kuch Paya
Ajnabi Un Chahi
Adhoori Woh Shaam
Ley Ker Ghum Sare
Merey Badley Mein
Ghum Bhi Apna Na Diya
Kya Dosti Kya Pyaar
Kaisey Deta Woh Is
Rishtey Ko Koi Naam
…..Bus Sub Gumnaam
……Be Naam
……..Anjaan!
Adhoori Mulakaat
Adhoori Her Baat!
Aur
Adhooray Chaand Ki
Woh Adhoori Raat!
Tuesday, November 26, 2013
Es Mohawary Ko Jumlay Mai Estimal Karo
Teacher: Es mohawary ko Jumlay mai estimal karo
Mun mai pani ana
.
Sardar Student: Jese hi mai ne nal ko mun se lag kar nal chalo kia tu mere mun mai pani agia
Monday, November 25, 2013
Mohabbat soz bhi hai saz bhi hai – Arsh Malsiyani
mohabbat soz bhi hai saz bhi hai
khamoshi bhi hai aavaz bhi hai
nasheman ke liye betab tair
vahan pabandi-e-paravaz bhi hai
khamoshi pe bharosa karne valo
khamoshi gham ka gammaz bhi hai
meri khamoshi-e-dil par na jao
ki is mein ruh ke aavaz bhi hai
dil-e-begana-khu, duniya mn tera
koi hamadam koi hamaraz bhi hai
hai meraj-e-khirad bhi arsh-e-azim
junun ka farsh-e-pa andaz bhi hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Arsh Malsiyani
Humaray ghar main Jin hain
Beta: Papa Humaray Ghar main Jin hain ?
Baap: Ye Jin Waghera kuch nhi hotay …
Beta: Papa Nokrani kehti hy k humaray Ghar main jin hain …
Baap: Saman pack karo …
Beta: Q papa ?
Baap: Abay.. Humary Ghar main koie Nokrani hi Nhi Hy….
Dard ki barish sahi maddham zara aahista chal – Mumtaz Rashid
Dard ki barish sahi maddham zara aahista chal
dil ki matti hai abhi tak naam zara aahista chal
tere milane aur phir tere bichad jane ki bich
fasala ruswai ka hai kam zara aahista chal
apne dil hi mein nahi hai us ki maharumi ki yaad
us ki aankhon mein bhi hai shabanam zara aahista chal
koi bhi ho ham-safar ‘rashid’ na ho khush is qadar
ab ki logon mein wafa hai kam zara aahista chal
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mumtaz Rashid
Apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona – Nisar Tareen Jazib
apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona
jab bhi rona ho charagon ko bujha kar jina
hath bhi jate huye wo to milakar na gaya
main ne chaha jise sine se laga kar rona
tere divane ka kya hal kiya hai gham ne
muskurate huye logon mein bhi ja kar rona
log pad lete hain chehare pe likhi tahariren
itna dushvar hai logon se chupa kar rona
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nisar Tareen Jazib
Sunday, November 24, 2013
Aayat-e- Qurani
Lab Pe Hadeeson Ki Rawani Le Chal,
Seenay Me
Aayat-e- Qurani Le Chal,
Agar Milna Ho Baag-e-Jannat Me
To Peshani Pe
Sajday Ki Nishani Le Chal.
Suna Hai PHOOL KALIYOON Se Tumahin Rab Ne Banaya Hai
Suna Hai PHOOL KALIYOON Se Tumahin Rab Ne Banaya Hai
Haamin Bhi Thori Si KHUSHBO Churane Ki Ijazat Ho
Suna Hai Teri AANKHOON Main Sitaraoon Ka Basera Hai
Hamain Is ROSHNI Se Ghar Sajane Ki Ijazat Ho
SHARARAT Se Bahre Yeh DIN Bari MADHOSH Hain RATAIN
HAWAIN Aa K SUNTI Hain Hamare PYAR Ki BATAIN
Suna Hai PYAR Main DIL Per Koi QABU Nahi Hota
Yeh Sari CHAHATAIN Tum Per LUTANE Ki Ijazat Ho
TAMANNA Hai Tumahre PYAR Main MASHOOR Ho Jaain
HAMAIN Tum Is Qadar CHAHOO K Hum MAGHROOR Ho Jain
Suna Hai PYAR Main Yeh DORIYAAN Acchi Nahi Hoti
KAREEB Aa Ker UMIDOON Ko JAGANE Ki Ijazat Ho
shehar-e sitamgar me wafa
Is shehar-e sitamgar me wafa dhond rahe hein Nadan hain ham,
yeh keya dhoond rahe hain Ham log muqadar k sikandar tou nehi hain kya
soche ke phir Aab-e-baqa dhoond rahe hain khamosh fizaoon
me yeh bechain prindey Es habs ke mausam me hawa dhoond rahe hain
Jo Dil sy nikalte hi,
tere Qalb ko chhu le Ham log wohi harf-e-Dua dhoond rahe hain
Ek shakhs ny manga tha kabhi hamko Dua me
Us shakhs ko abii tak Bakhuda dhoond rahe hain
Saturday, November 23, 2013
Divar-o-dar se utar ke parachaiyan bolati hain – Nida Fazli
Divar-o-dar se utar ke parachaiyan bolati hain
koi nahi bolata jab tanahaiyan bolati hain
pardes ke raste mein lutate kahan hain musafir
har ped kehta hai qissa purvaiyan bolati hain
mausam kahan manata hai tahazib ke bandhishon ko
jismon se bahar nikal ke angadaiyan bolati hain
sun ne ke mohalat mile to aavaz hai patajharon mein
ujadi hui bastiyon mein aabadiyan bolati hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli
Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten – Faiz Ahmed Faiz
Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten
kabhi sohabaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten
ye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad ke
koi lamha subah-e-visal ka, kai sham-e-hijr ke qurbaten
jo tumhari man lain nasiha to rahega daman-e-dil mein kya
na kisi udu ke adavaten na kisi sanam ke muravvaten
chalo aao tum ko dikhayen hum jo bacha hai maqtal -e-shahar mein
ye mazar ahal-e-safa ke hain ye hain ahal-e-sidq ke turbaten
meri jan aj ka gham na kar, ke na jane katib-e-vaqt ne
kisi apne kal mein bhi bhool kar kaheen likh rakhi ho masarraten
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz
Friday, November 22, 2013
Jo Beet Gai Dil Pe Kab Us Ki Shikayat Ki
Jo Beet Gai Dil Pe Kab Us Ki Shikayat Ki
Aik Moom Ki Guria Ny Sooraj Se Mohabbat Ki….
By: Imama Hassam
Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
Phir Khwab Agar Ho Jaao To Kya
Koi Rang To Do Mere Chehre Ko
Phir Zakhm Agar Mehkaao To Kya
Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib
Tum Bad-E-Sbaa Kehlaao To Kya
Ek Aaina Tha So Toot Gyaa
Ab Khud Se Agar Sharmaao To Kya
Mein Tanhaa Tha Mein Tanhaa Hoon
Tum Aao To Kya Na Aao To Kya!
Jab Dekhne Wala Koi Nahin
Bujh Jaao To Kya Genaao To Kya
Hai Yoon Bhi Zyaan Aur Yoon Bhi Zyaan
Ji Jaao To Kya Marr Jaao To Kya
By:Obaidullah Aleem (Marhoom)
Thursday, November 21, 2013
Tujhe dhundhata tha main char-su – Charag Hasan Hasrat
Tujhe dhundhata tha main char-su
teri shan jalle jalal hun
tu mila qarib-e-khoj lun
teri shan jalle jalal hun
teri yaad mein hai kali-kali
hai chaman chaman mein hubal ali
tu basa hai phul mein hu-ba-hu
teri shan jalle jalal hun
tere hukm se jo hawa chali
to chatak ke boli kali-kali
hai karim tu rahim tu
teri shan jalle jalal hun
tera jalva donon jahan mein hai
tera nur donon makan mein hai
yahan tu hi vahan tu hi tu
teri shan jalle jalal hun
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Charag Hasan Hasrat
You & Me Anniversary Wishes
A paper cut and lemon juice, pizza and heartburn,
you and me,
are just a few things that arent supposed to go together
but usually end up that way.
Happy Anniversary!
Wednesday, November 20, 2013
Tuesday, November 19, 2013
Happy Dhanteras Sms In Hindi
my life ,jock me
i free time my friends poke
i thought some one lock me
&jocking time ,they cock me
my body is like curry
so, i always go in reverie
they do work like reffrey
because they bold me freely
no body take me serious yaar
my world like a small jar
i can’nt say my heart bare
because i joke with you yaar.. ..
Monday, November 18, 2013
Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hun main bhi – Mazhar Imam
Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hun main bhi
mujh ko pehchan ki teri hi ada hun main bhi
ek tujh se hi nahi fasl-e-tamanna shadab
wohi mausam hun wohi aab-o-hava hun main bhi
sabt hun dast-e-khamoshi pe hina ke surat
nashunida hi sahi tera kaha hun main bhi
chand ban kar tere aangan mein utar hi jaun
raat ke pichale pahar mangi dua hun main bhi
yun na murjha ki mujhe khud pe bharosa na rahe
pichale mausam mein tere sath khila hun main bhi
jane kis reh chalun kon se rukh mud jaun
mujh se mat mil ki zamane ke hawa hun main bhi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mazhar Imam
Sunday, November 17, 2013
zinda dil shayari sms
Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Seh Lainge
Har Ghum Mein Uska Saath Ho Yeh Zaroori To Nahi
Yoon To Woh Bohat Wafashaar Hain Magar Phir Bhi
Har Kadam Pe Wafa Karein Yeh Zaroori To Nahi
Hosle Aur Bhi Bhar Jainge Shikast K Baad
Jeet Yahan Sada Hamari Ho Yeh Zaroori To Nahi
Shiddat-E-Ghum Mein Insaan Ro Bhi Daita Hai
Samne Uska Aanchal Ho Yeh Zaroori To Nahi
Nazrain Thi Buss Kya Karti Pathar Ho Gayee
Uske Baad Kisi Aur Ko Dekhein Yeh Zaroori To Nahi
Hum Ne Hamesha Usse Dil Se Chaha
Woh Bhi Hamain Chahe Dil Se Yeh Zaroori To Nahi…
Saturday, November 16, 2013
Kiya Tum Bhi Aisa Karte Ho...?
Friday, November 15, 2013
Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega
Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega
Wo hawaon ki tarah khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega
Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega
Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
Thursday, November 14, 2013
Logon se bewaja behes
Logon se bewaja behes mat karo,
tumhari aabru khatm ho jaegi aur ziyada mazaq mat karo
q k logon mein tum se bat karne ki jurrat peda ho jaegi,
*GOOD NIGHT*
Friendship Hindi Poetry – Dosti Ki Azmaish
Ghazal
written By: Muazzam Nadeem
For (MitHi)
(*
Main Us Se Khfa Hota Wo Mujh Ko Mna Laita
Wo Mujh se Khfa Hota Main Usko Mna Laita
Jab Shab Ki TaNhaai Main Dill Mera SeHam Jata
Main Usko Jaga Lait Wo Mujh Ko SaMbhal Laita
Wo Shakhs Tha Esa K Lagta Tha Mujhy Sansain
Jab Bhi Nzar Aata Main Seeny Se Lga Laita
Us Se Jo Bichrru Ga To Tinko Ki Trah BikhRun Ga
Har Pal Yahi KhooF Mujh Ko Staa Laita
AAJ Wo ShakhAs BohaT Dor BooHat Hai MujhSe
KaaSh Main Usko UsSe Hi Chura Laita__*
Love ourselves Even
We love ourselves even after
we make so many mistakes.
so why do we hate others for
one or two mistakes they have made
Subah shayari
Aanko me Khushi labo par hansi,gam ka kahin naam na ho,har SUBAH laye aapke liye itni Khushiya…jiski kabhi sham na ho.
`
Namskar- ye hamari ‘surya uday’ sms sewa hai,isme hum soe hue logo ko bewaqt jagate hai aur baad me good morning keh ke khud so jate hai…Good day.
`
Raat ne chadar samet li hai,Suraj ne kirne bikher di hai,chalo utho aur thanks karo apne Bhagwan ko…jisne hume ye Pyari si subah di hai. Good Morning
`
Har Nayi Subah Ka Naya Nazara,thandi Hawa Leke Aayi Paigaam Hamara.Jaago,Utho,Taiyaar Ho Jao,Khushiyo Se Bhara Rahe Aaj Ka Din Tumhara
`
khuda kare har raat chand banke aaye,har din nayi shan banke aaye,kabhi dur na ho aapke chahre se hansi,naya din aisa mehman banke aaye..Gud Day
`
Savere savere ho khushiyo ka mela,na logo ki parwah na duniya ka jhamela,Panchiyo ka sangit ho aur ho mausam alabla,mubarak ho aapko ye khusurat savera…Good Morning
`
Subah-Subah ek paigam dena hai,Apko subah ka pehla salam dena hai,Guzre sara din apka khushiyo me apkisubah ko khubsurat sa naam dena hai.very vert Good Morning
`
Subah k phool khil gaye, panchi apne safar pe ud gaye,suraj aate hi taare chhup gaye,kya tum bhi apni meethi neend se uth gaye..Good Morning…
Share with us more Subah shayari .in comments section below.
Wednesday, November 13, 2013
Bhegay Mosam Ki Khushbu Hawaoo May Ho
Bhegay mosam ki khushbu hawaoo may ho
Apkay sath ka ehsaas in fizao may ho
Yuhi sda rahay apkay Honto pay Muskurahat
Itna asar meri duao may ho……
Good Luck
Tuesday, November 12, 2013
aage bade na qissa-e-ishq-e-butan se hum – Altaf Husain Hali
aage bade na qissa-e-ishq-e-butan se hum
sab kuch kaha magar na khule razadan se hum
ab bhagate hain saya-e-ishq-e-butan se hum
kuch dil se hain dare hue kuch aasman se hum
hansate hain usake giriya-e-beikhtiyar par
bhule hain bat kahake koi razadan se hum
ab shauq se bigad ke baten kiya karo
kuch pa gaye hain aap ke tarz-e-bayan se hum
jannat mein tu nahi agar ye zakhm-e-teg-e-ishq
badalenge tujhako zindagi-e-javidan se hum
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Altaf Husain Hali
Sunday, November 10, 2013
Kahan wo shokh, mulaqat khud se bhi na hui – Jigar Moradabadi
Kahan wo shokh, mulaqat khud se bhi na hui
bas ek bar hui aur phir kabhi na hui
thahar thahar dil-e-betab pyar to kar lun
ab is ke bad mulaqat phir hui na hui
wo kuch sahi na sahi phir bhi zahid-e-nadan
bade-badon se mohabbat mein kafiri na hui
idhar se bhi hai siva kuch udhar ke majboori
ki hum ne aah to ke un se aah bhi na hui
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi
Doll Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Doll Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com. Celebrate Doll Festival 2015 in style though our wonder full poetry and shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Doll Festival sms greeting.
Sunehri Dhoop Barsaat ke baad*
Thori si Hansi her Baat ke baad*
usi tarag ho Mubarik aap ko 2007, 2006 ke baad
Wish u a Happy new year
Wishing You Happy New Year,
May You always keep in ur Heart the
Special Beauty and Cheer of
Happy New Year
New Year begins, let us pray, that it will be a year with new Peace,
New Happiness, and abundance of new friends,
God bless you through out the new Year.
Happy Doll Festival Mubarak to all of you from shayari Online Team
Saturday, November 9, 2013
Wo Lehje Bhi Badal Gaye Wo Rawaiye Bhi
Submitted By: Enaya Choudhary
QURAN Islamic Shayari
A Book That Is Full Of Answers,
A Book That Makes You Cry.
A Book That Makes You Notice,
How Much Harder You Can Try.
A Book That Makes You Realize,
What True Love Really Is…
A Book That Gives You Direction,
For All Of Life’s Tough Biz.
A Book That Gives You Hope,
That Someone Somewhere’s Watching Over You.
A Book That Helps You Out,
Through All The Times Your Blue.
A Book That Was Revealed To Our Beloved Prophet(SAWS),
Over A Period Of 23 Years
Once You Put Faith Into This Book,
You Can Handle Worldly Fears.
A Gift Sent Down From Heaven,
A Treasure From Above,
Written Proof That Shows Us
How Blessed We Are With Allah(SWT’s) Love!
Never Apologize what you feel
Never apologize for what you feel.
It is like saying sorry for being real.
Friday, November 8, 2013
Gardish-e-Waqt Se Ghabra K Nahi Aya Hun
Submitted By: Nandan
Badi Gahri Udasi Hai
Badi Gahri Udasi Hai,Mohabbat Aaj Pyasi Hai,
Gar Ulfat Kuch Bhi Baaki Hai To Mujhse Milne Aa Jao
Jab Tere Yaad Aati Hai To Ek Tufaan Laati Hai
Mager Tumko Nahi Laati Ye Khaali Hath Aati Hai
Meri Ujadi Muhabat Per Kabhi Khushiya Mana Jayo
Gar Ulfat Kuch Bhi Baaki Hai To Mujhse Milne Aa Jao
Thursday, November 7, 2013
Most Successful Happy Married Life
Most successful
Happy married life is
Defined as.
.
.
.
.
Yet to be seen
Urdu Fathers Day Poetry
Ek Dil Bejuban Jo Kuch keh nahi sakta,
Kisi ki judai ye seh nahi sakta,
Kash wo samaj pata is dil ki awaz,
Ki koi hai jo bin
Tumhare reh nahi Sakta……….
Aasman Ke Taare
Aasman ke taare aksar poochte hai humse
kya tumhe ab bhi intzaar hai uske lout aane ka
aur mera dil muskura ke kehta hai,
mujhe to ab tak yakeen nhi hua uske jane ka !!!
Wednesday, November 6, 2013
Geeta Jayanti Samaroh Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Geeta Jayanti Samaroh Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Geeta Jayanti Samaroh greeting.
Wishing you one month of ramdan
Mehdi
Wo Chand Ka Chamakna – Ramadan Greetings
May This Ramadan Be – Ramadan Wishes
text message
Ramadan Ki Aamad – Ramadan Greetings
Learned to Admire
Mc-Donald Main – Ramzan Smiles
Woh Sehri Ka Maza
Happy Geeta Jayanti Samaroh Mubarak to all of you from Shayari Online Team
Tuesday, November 5, 2013
Dakho Aik Laash Pari Hay
Dakho Aik Laash Pari Hay
Lahu Me Lithri
Khaak Aluda
Bikhri Bhikri
Ghair Ya Apna
Kon Hay Jane
Aao Dekhein Or Pehchanien
Naqsh Mita Daly Goli Ne
Rangat Khoon Me Doob Gai Hai
Jaib Tatolo Kia Rakha Hay
Ye Do Khoon Se Tar Gajray Hain
Das Das Kay Do Note Rakhe Hain
Haath Jo Neechy Daba Hua Hay
Is Ki Sakht Garift Me Kia Hay
Shayad Hay School Ka Basta
Ye Ek Parcha Hay
Khat Hay Shayad
Tooti Phooti C Urdu Me
Rangeen Pencil Kay Rango Se Likha Hua Hay
Aj Jo Bhoolay Basta Mera
Katti Ho Jaye Gi App Se
Toffee Or Biscuit Bhi Lana
Peyare Abbu Jaldi Ana!
Piyary Abu Jaldi Ana!
Ajeeb Rishta Hai
Ik Ajab Rishta Hai Meray Or Un K Dermiyan
Wo Hamaray Sab Kuch Hain Hum Un K Kuch Bhi Nahi
3 Shaban Jashan E Mazloom E Karbala Mubarak
Kull Aambiyaa Ki Wafaa Ko Hussain A.S Kehte Hain;
Khuda Ki Khaas Adda Ko Hussain A.S Kehtey Hain;
YAZEED L.A Naam hy Duniya Ki Kull Nijsaat Ka;
Taharatoon K Khuda ko HUSSAIN A.s Kahte hain..
Tamamm Momineenn oh Mominat Ko
3 SHABAN Jashan E MAZLOOM E KARBALA Mubrak Ho..!!!
Posted by: Rizwan Haider
Tere pyar mein rusava hokar jaye kahan divane log – Obaidullah Aleem
Tere pyar mein rusava hokar jaye kahan divane log
jane kya kya puch rahen hain ye jane pahachane log
jaise tumhen hum ne chaha tha kon bhala yun chahega
mana aur bahut aayenge tum se pyar jatane log
kaise dukhon ke mausam aaye kaisi aag lagi yaro
ab saharaon se late hain phoolon ke nazarane log
kal matam beqimat hoga aj inaki tauqir karo
dekho khun-e-jigar se kya kya likhate hain afasane log
janate hain ye ishq musalasal rog hai aah-o-zari ka
phir bhi usake kuche mein jate hain umr gavane log
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Obaidullah Aleem
Sunday, November 3, 2013
Teri aik Angaraai lene sy
Teri aik Angaraai lene sy mera Dum nikal sa jata hy
.
.
.
.
Ay Zaalim
Ay Qaatil
Ay Dilbar
Ay Dost
.
.
.
Ek Body Spray lagane mai tera kia jata hy;-)
Saturday, November 2, 2013
Friday, November 1, 2013
Boys Gussa Nahin Karna
Boys Gussa Nahin Karna
Bohat Hee Khobsurat Nazm Ka Aghaz Kerte Hain
Yeh Larke Kion Apna Waqt Berbaad Kerte Hain
Zara Samjha Kero Hum Ko, Zara Alfaaz Wapis Lo
Kay Sharif Zaadey Kahan, Kab, Aisi Baat Kartay Hain
Kissi Se “Luv U†Kehte Hain Kissi Se “Hug U†Kehte Hain
Yeh Jo Aap Kerte Hain Who Kia Khak Kerte Hain??
Mobile De Ke Larkion Ko Inspire Kerte Hain
Maa Baap Ke Paisoon Ka Khana Kharab Kerte Hain
Bohat Pur-Josh Rehte Hain Bohat Si Baatein Kerte Hain
Mager Matlub Ki Baatoon Ko Huns Ke Taala Kerte Hain
Deen Ki Baatoon Ko Khud Pe Na Kabhi Sawar Kartay Hain
Aur Kuch Mane Ya Na Mane Girlfriends Hamesha Chaar Rakhtay Hain
Nahin Ager Aap Ki Niyat Mein Koi Futoor
Tow Larkion Ke Face Mein Kia Talaash Kerte Hain???
Kahain Tu Hard Disk Bhar Doon Inn Pe Likh Ker
Chalein Chorein Aaj Hum Inn Ko Maaf Kerte Hain…..
Aankh Pur-num Ashq Zam Zam
Submitted By: Haris Rasool