Wednesday, July 31, 2013

Famous Poems of Mothers Day



Hubble-scopes aloft will see anew;
Again, the centers of our souls will change.
Perhaps the things we most believe are true,
Ptolemy-like, will strike our sons as strange.
Years of light, long hidden by the air,
Millennia of thought will burst and scatter;
Overhead, the stars will still be there,
Though shifted from the poles that really matter.
How wonderful to know that what we know
Each mystery unravels from below,
Reveling in nights beyond the stars!
So let it be with every day:
Discoveries themselves always betray;
A fresh idea files older thoughts away,
Yet spins the ancient tales of life on Mars.



Main Soot K Dhaagy Ki Tarha Toot Gaya Tha

Main Soot K Dhaagy Ki Tarha Toot Gaya Tha
Wo Charkha Ghumaye Gi To Kuch Yaad Kare Gi...

Main Soot K

Behtreen Insan

Behtreen insan wo hai jiska,
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aap Message daikh rahey hain.. 😛 😉

Tuesday, July 30, 2013

Dard Ke Tehweel

Is dard ke tehweel mein rehty howy hum ko


Chup chap bikhrna hy tamasha nahe krna

Yeh Karishma Na Barq Mein Yeh Ada



Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke ‘Too Kya Hai’ ?
Tumheen Kaho Ke Yeh Andaaz-E-Guftgoo Kya Hai ?


Na Shole Mein Yeh Karishma Na Barq Mein Yeh Ada
Koee Batao Ki Woh Shokh-E-Tund_Khoo Kya Hai ?


Yeh Rashk Hai Ki Wo Hota Hai Ham_Sukhan Tumse
Wagarna Khauf-E-Bad_Aamozi-E-Adoo Kya Hai ?



Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan
Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-E-Rafoo Kya Hai ?


Jalaa Hai Jicm Jahaan Dil Bhee Jal Gaya Hoga
Kuredate Ho Jo Ab Raakh, Justjoo Kya Hai ?


Ragon Mein Daudte Firne Ke Ham Naheen Qaayal
Jab Aankh Hee Se Na Tapka To Fir Lahoo Kya Hai ?


Woh Cheez Jiske Liye Hamko Ho Bahisht Azeez
Siwaay Baada-E-Gul_Faam-E-Mushkaboo Kya Hai ?


Piyoon Sharaab Agar Khum Bhee Dekh Loon Do Chaar
Yeh Sheesha-O-Qadah-O-Kooza-O-Suboo Kya Hai ?


Rahee Na Taaqat-E-Guftaar, Aur Agar Ho Bhee
To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kya Hai ?


Bana Hai Shaah Ka Musaahib, Fire Hai Itaraata
Wagarna Shehar Mein ‘Ghalib’ Kee Aabroo Kya Hai ?



Monday, July 29, 2013

Main Lakh Mohtaram Hua Magar Dhundta Raha

Main Lakh Mohtaram Hua Magar Dhundta Raha
Wo Lazzat Jo Tere Sheher Ki Ruswaiyon Main Thi...

Submitted By: Sarfraz Khan

Jahan Zulf Bhikhre Gi Barsaat Hogi



Jahan Zulf Bhikhre Gi Barsaat Hogi
Jahan Tum Rukoge Wahein Raat Hogi
Tere Aage Peeche Badi Roshni Hai
Yaqeenan Sitaron Ki Baraat Hogi
Falak Ke Sitaron Ko Bhi Tod LaUnga
Meri Jaan Jis Din tu Mere Saat Hogi
Tere Chahne Wale Shayad Honge Hazaron
Magar Mere Ishq Ki Auqaat Hogi
Mujhe Muskuraake Tu Kab Dekh logi
Najaane Kis Din vo Karaamaat Hogi
Zara Lab To Kholo Zara Kuch To Bolo
Buhuth Kuch Kahoonga Agar Baat Hogi
Har Ek Rang Phoolon Ka Pheeka Pada Hai
Ke Gulshan Mein Aao to Inayaat Hogi



Sunday, July 28, 2013

May Ur Neighbours Respect You

May ur neighbours respect you,
Trouble neglect u,
The angels protect u
and Heaven accept u
Happy Christmas and Happy Holiday

Tanha Shayari – Tanhai Ka Ehsaas



Aaj Yeh Tanhai Ka Ehsaas Kuch Hadd Se Zyada Hai
Tere Sang Na Hone Ka Malaal Kuch Hadd Se Zyada Hai
Phir Bhi Kaat Rahe Yeh Jiye Jane Ki Saza Yehi Sochkar
Shayad Is Zindagani Mein Mere Gunaah Kuch Hadd Se Zyada Hai


If you have sad tanha poetry collection then share with us in comments section below



Saturday, July 27, 2013

Rone Walon K To Humdard Bohat Hote

Rone Walon K To Humdard  Bohat Hote Hain
Hanste Hanste Kabhi Duniya Ko Rula Kar Dekho...

Submitted By: Aliza Khan

Friday, July 26, 2013

Jis Din Se Wo Juda Humse Hue

” वक्त ” एक सत्व परीक्षा
दर्द पे दर्द , मुश्किले हि मुश्किले
सिलसिला ये चल रहा था ,
मै तो निभा रही थी दोस्ती वक्त से ,
परीक्षा जो मेरी ले रहा था !
ढूँढती थी कहीं ‘ हाँ ‘ को , किसी एक अंधेरेमें
मिला ही तो ‘ ना ‘ का तारा , किरण हि छुपी तिमिर में ,
याद आ गयी वो ख़ुशी वक़्त की अपनोंके साथ
पहचान हुई अपनोंकी , सपने बन गये जो वक़्त के साथ !!
अपर्णा ………

Thursday, July 25, 2013

Ibtida-E-Ishq Hai Rota Hai Kya



Ibtida-E-Ishq Hai Rota Hai Kya
Age Age Dekhiye Hota Hai Kya
Qafile Main Subah K Ik Shor Hai
Yani Gafil Ham Chale Sota Hai Kya
Sabz Hoti Hi Nahin Ye Sarzamin
Tukhm-E-Khwahish Dil Main Tu Bota Hai Kya
Ye Nishan-E-Ishq Hain Jate Nahin
Dag Chati K Abas Dhota Hai Kya
Gairat-E-Yusuf Hai Ye Waqt-E-Aziz
‘Mir’ Is Ko Rayegan Khota Hai Kya



Mare Wafa Ka Naksh Her Ek Dil Main Rah Gaya



Mare Wafa Ka Naksh Her Ek Dil Main Rah Gaya
Mahfil Se Youn Utha Houn K Mahfil Main Rah Gaya


Ek Aek Ker Ka Mit Gaye Sab Naksh-E-Maasiwa
Ek Dard-E-Ishq Tha Jo Meray Dil Main Rah Gaya


Us Nay Sitam Se Hat Uthaya Sitam Kiya
Dil Gher K Aaj Ek Naye Mushkil Main Rah Gaya


Gum Tu Teray Aaman Hi Kahain Jab Na Mil Saki
Ghabra K Meray Tootay Howe Dil Main Rah Gaya


Dad-E-Talab Ki Bheekh Kissi Nay Na Di Mujhay
Zook-E-Talab Hi Kaaasa Saahil Main Rah Gaya


Eay Zapt Lut Gaya Tha Jahan Karwan-E-Dil
Dam Toot Ker Na Kioun Use Manzil Main Rah Gaya!!



Aik Bar To Milne Chale Aao December Jane Wala Hai

Aik Bar To Milne Chale Aao December Jane Wala Hai

Kesa Guzra Hai Ye Saal Batao December Jane Wala Hai

Khush Ho Jao K Milne Ka Saal Aa Raha Hai Phir

Yun Na Ansoo Bahao December Jane Wala Hai

Shayad Ab K Baras Bhi Wo Laut Kar Na Aaye

Tanhaiyo Abhi Chor K Na Jao December Jane Wala Hai

Ye Kya K Raat Din Uski Yaad Me Doobe Rehna

Na Gham Ki Barish Me Nahao December Jane Wala Hai

Aye Mere Dukhon K Saathiyo Khush Ho Jao

Apne Apne Gharon Ko Sajao December Jane Wala Hai

Kya Pata Phir December Aaye Na Aaye Jan-e-Jaan

Meri Maano Ab Tum Laut Aao December Jane Wala Hai...

Aik Bar To Milne

Wednesday, July 24, 2013

Hindi SMS 2 Lines Short Shairy Collection Part 2



Duniya Ne Chena Woh Sub Kuch Jo Laga Mujhe Pyara
Har Koi Mujhse Jeeta or Mein Har Dam Hara


Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Subne Sunni Hai
Jo Saaz Pe Guzri hai, Woh Kissi Dil ko Khabar Nahi


Tum Badle, Jahan Badla, Badli Nazar Zamane Ki
Yeh Ansoo Char Baqi Reh Gay Nishani Dil Lagane Ki


Galat Nahi Kay Zamane Mein Lajawab Hain Hum,
Samjh Sake Na Koi, Woh Kitab Hain Hu


Tappish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta hai
Kasoor Ankhon Ka Hota Hai,Bhugatna Dil Ko Parta Hai


In Udas Mushkurahatoon Kay Pechay Ghum Kay Railay Hain
Ab Tumhain Kya Baaten Kay Tum Bin Hum Kitnay Akelay Hain.


Mujhe Is Baat Ka Gham Nahi Kay Badal Gaya Zamana
Meri Zindagi Toh Sirf tum Ho, Kahien Tum Na Badal Jana


Mana Kay Appki Nazaron Mein Kuch Nahi Hain Hum
Magar Unse Jakar Pucheay Jinhain Hasil Nahi Hain Hum


Khuda Kissi ko Kissi Pe Fida Na Karay
Agar Karay Toh Qayamat Tuk Judaa Na Karay


Hui Humse Yeh Nadani Teri Mehfil Mein Aa Baithay
Ho Kay Zameen Ki Khak, Asmaan Se Dil Laga Baithay


Jinki Yaad Hai Dil Mein Nishani Ki Tarha
Woh Toh Bhool Gaye Humain Kahani Ki Tarah


Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai


Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya


Laut Aay Na Kissi Roz Woh Awara Mizag
Khola Rakhtay Hain Is Aas Per Dar Sham Kay Baid


Bhol Jana Toh Rasam-e-Duniya Hai
Apne Kounsa Kamal Kiya


please share more Hindi SMS 2 Lines Short Shairy Collection Part 2in the comments section



Monday, July 22, 2013

Khushi Bhi Doston Se Hai



Khushi Bhi Doston Se Hai
Gam Bhi Doston Se Hai
Takraar Bhi Doston Se Hai
Pyaar Bhi Doston Se Hai
Roothna Bhi Doston Se Hai
Manana Bhi Doston Se Hai
Baat Bhi Doston Se Hai
Misaal Bhi Doston Se Hai
Nasha Bhi Doston Se Hai
Shaam Bhi Doston Se Hai
Zindagi Ki Shuruvaat Bhi Doston Se Hai
Zindagi Main Mulakaat Bhi Doston Se Hai
Mohabbat Bhi Doston Se Hai
Inaayat Bhi Doston Se Hai
Kaam Bhi Doston Se Hai
Naam Bhi Doston Se Hai
Khyal Bhi Doston Se Hai
Armaan Bhi Doston Se Hai
Khwab Bhi Doston Se Hai
Maahol Bhi Doston Se Hai
Yaadein Bhi Doston Se Hai
Mulakaatein Bhi Doston Se Hai
Sapne Bhi Doston Se Hain
Apne Bhi Doston Se Hai
Ya Yun Kahun Yaro
Apni To Duniya Hi Doston Se Hai…..



Saturday, July 20, 2013

Ek profesor khaali plate

Ek profesor khaali plate mein roti dubo kr kha rha tha…


Waiter: Ap ye kia kr rhe hain??


Prof: Hum maths Teacher hain, Hum ne daal suppose ki hui hai:-)

Yaad Hai Mujh Ko - Sad Poetry

Yaad Hai Mujh Ko,

Us Ke Zulfon Se Khail Kay,
Mein Mehak Sa Jata Tha,
Us Ko Chuu Kar Mein,

Behak Saa Jata hai,

Us Ki Aankhon Mein,
Khud Ko Dekh Kar,
Mein Chehak Sa Jata Tha,
Aaj Na Zulfain Hain Us Ki,
Na Wo Hai Mere Paas,
Or Shayar Meri Tasweer Bhi,
Beh Gai Hai Aansuon Ke Selaab Mein....

Shared By: Usman

Teej Fair Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Teej Fair Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Teej Fair 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Teej Fair i sms greeting.



Teej kaa vrat hai bahut hi madhur pyaar kaa.


 Dil ki Shraddha aur sachhe vishwaas kaa.


 Bichhiyaa pairon mein ho, Maathe par bindiyaa.


 Har janam mein Milan ho hamaraa piyaa.


 Devi maan kaa poojan karoon main baar baar.


Taki mujhko mile sadaa suhaagan rahne kaa aashirwad.


 Pairon mein paayal, haathon mein ho laal choodiyaan.


 Har janam mein Milan ho hamaraa piyaa.


Hey ishwar, aap to hain karunanidhan.
Jo jag mein rakhte hain sabkaa dhyaan.
Mere is hriday mein aap sadaa waas kijiye,
Banke mere shareer ke praan.


Happy Teej Fair Mubarak to all of you from shayari Online Team






Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat



Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai


Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai


Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai



Friday, July 19, 2013

Na jana aj tak kya shai khushi hai – Firaq Gorakhpuri



Na jana aj tak kya shai khushi hai
hamari zindagi bhi zindagi hai
tere gham se shikayat-si rahi hai
mujhe sach-much badi sharmindagi hai
mohabbat mein kabhi socha hai yun bhi
ki tujh se dosti ya dushamani hai
koi dam ka hun mehaman muh na phero
abhi aankhon mein kuch kuch roshani hai
zamana zulm mujh par kar raha hai
tum aisa kar sako to baat bhi hai
jhalak masumiyon mein shokhiyon ke
bahut rangin teri sadagi hai
ise sun lo sabab is ka na pucho
mujhe tum se mohabbat ho gai hai
suna hai ik nagar hai aansuon ka
usi ka dusara naam aankh bhi hai
wohi teri mohabbat ke kahani
jo kuch bhuli hui kuch yaad bhi hai
tumhara zikr aaya ittefaqan
na bigado baat par baat aa gai hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Firaq Gorakhpuri



Phoolon Ne Dia Zakham To Kaanton Se Sii Lia

Phoolon Ne Dia Zakham To Kaanton Se Sii Lia
Ye Bhi Rafu-Gari Ki Ajab Daastaan Hai...

Submitted By: Waqas Ali

Avval-e-shab wo bazm ke raunaq shama bhi thi paravana bhi



avval-e-shab wo bazm ke raunaq shama bhi thi paravana bhi
rat ke aakhir hote hote khatm tha ye afasana bhi
qaid ko tod ke nikala jab main uthake bagule sath hue
dasht-e-adam tak jangal jangal bhag chala virana bhi
hath se kis ne sagar pataka mausam ke bekaifi par
itna barasa toot ke badal dub chala maikhana bhi
khoon hi ke shirkat wo kyon na ho shirkat cheez hai jhagade ke
apanon se wo dekh raha hun jo na kare begana bhi
ek lagi ke do hain asar aur donon hasb-e-maratib hain
lau jo lagaye shamma khadi hai raqs mein hai paravana bhi


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Arzoo Lucknowi



Tujh Ko ‘Khuda’ Se Mang Raha Ho Ga - Dua Poetry

Kia Kabhi Tu Ne,
Yeh Bhi Socha Hai,
Ke....
Raat Ke Aakhri Pehar Main,
Koi......
Num Aankhon Se 
Laraztey Haathon Se,
Apne Haath Phailaye,
Tujh Ko,
’Khuda’ Se Maang Raha Ho Ga….!

Sad Boy Pray

Wednesday, July 17, 2013

Najanay Kab Say… [ Parody of Adaat ]



Aaaaaaahhhhhhhhhhhhhhh !!
Najany kab say
grade buray aatay hain
Mujhe phir bhi akallll…ll…. kion nahin aati hai??
Najany kab say…..
Door jitna ‘A’ hay mujh say… paas ‘F’ kay main..
Ab to aadat se hai mujh ko.. fail honay main….
teachers ko koi shikwa hi nahin hai..
Ab to zinda hoon main detention center main..
kitab aisi hai yeh meri.. chalti jaey…
theory aisi hain yeh isski.. mujh ko sataaaey…!
yaad karna itna mushkil hai kay dil doob jaey…
aur aankhoon main yeh sum num ban jaey
hey hey haiy hi haey hay ohohohohhhhhhhhhhhhhh….
ab to aadat si hai mujh ko fail hoanay main
hey hey haiy hi haey hay ohohohohhhhhhhhhhhhhh ahahahahahhhhhhhhhhhhh
sab formulay hain..!
sab theorian hain……!!
bhoola do unhain..!
jala do unhain………………………..
ahahahahahhhhhhhhhhhhh
ohohohohhhhhhhhhhhhhh ……………
aaa…..aaa….aa…..! ab to aadat si hai mujh ko….!!!!



Tuesday, July 16, 2013

Mil Raha Hai Na Kho Raha Hai Tu

Mil Raha Hai Na Kho Raha Hai Tu
Kitna Dilchasp Ho Raha Hai Tu...

Mil Raha Hai

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge

Bano Ge Hum Se Rehem K Taalib
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Adaa K Qissay Hue Purany
Jafa Ka Mosam Khatam Hi Samjho

Karenge Tum Se Hisaab Jana
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Wafa Ki Lalach Me Hum Ne Jana
Khoon Apna Jala Diya Hai

Faraib-o-Masti K Badlay Tum Ko
Saza Bhi Sun Lo Shadeed Denge

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge...

Abhi Urooj Par

joyfully leave everything

Those who joyfully leave everything in God’s hand


will eventually see God’s hand in everything.


Because..Worries ENDwhereFaith BEGINS…!~GooD MorninG~

Wo Pyari Si Hansi Tere Chehre Ki



Wo Pyari Si Hansi Tere Chehre Ki
Wo Kajal Se Saji Aankhen Teri


Wo Dil Kashi Zulfein Teri
Wo Khil Khilata Hua Chehra Tera


Wo Madhosh Kar Dene Wala Ehsaas Tera
Mujhko Mujhi Se Chura Le Gaya



Mujhe Tera Deewana Bana Le Gaya
Wo Dilnasheen Baatein Teri


Wo Pyar Bhare Shabd Tere
Wo Sweet Si Aawaz Teri


Mera Dil Chura Le Gayi
Wo Hanskar Mujhse Baatein Karna Tera


Mere Seene Pe Apna Sir Rakh Kar So Jana Tera
Mujhse Gale Lag Kar Mujhi Mein Kho Jana Tera


Meri Baahon Mei Khud Ko Chupa Lena Tera
Mujhe Tera Mohtaz Bana Gaya


Ab Tu Hi Bata Ki Ismein Meri Kya Khata Thi
Maine Tau Sirf Tujhse Dosty Ki Thi


Dosty Ko Pyar Mei Tau Tune Hi Badla Tha
Apni In Dil Kash Adao Se Hi Tau Tune Mera Dil Loota Tha



Monday, July 15, 2013

Wo Tujh Ko Bhoole Hain To Tujh Pe Bhi Lazim Hai

Wo Tujh Ko Bhoole Hain To Tujh Pe Bhi Lazim Hai ‘Meer’,
Khaak Daal, Aag Laga, Naam Na Ley, Yaad Na Kar…

Yaad Na Kar

Shadi Nama !! Very Funny



Shadi Say Pehlay
Wo Mujh Say Poochti Hay Raat Itni Beyzaban Kiyon Hay
Mein Kehta Hoon Zaban Tu Derd Ki Shidet Say Hoti Hay


Shadi Kay Baad
Woh Mujh Say Poochteee Hai Tum Itnay Bay Zubaan Kyoon Ho
Main Kehta Hoon Too Itnee Bud Zabaan Jo Hai


Shadi Say Pehlay
Mein Kehta Hoon Mujhay Tum Achi Gati Achi Lagti Ho
Wo Mujh Say Poochti Hay Derd Say Derney Lagay Ho Kiya


Shadi Kay Baad
Main Kehta Hoon Tum Mujhay Zehar Lagtee Ho
Woh Mujh Say Poochtee Hai Jeenay Kee Umang Naheen Kyaa


Shadi Say Pehlay
Wo Kehti Hay Teri Awaz Mein Kuch Masoomiyat Si Hay
Mein Kehta Hoon Yeh Mazloomiyet K Baad Aati Hay


Shadi Kay Baad
Wo Kehtee Hai Mairee Awaaz Main Zaalmyat Bohot Hai
Main Kehta Hoon Yeh Zalimyet Mujhay Peetnay Kay Baad Atee Hai


Shadi Say Pehlay
Wo Mujh Say Poochti Hay Badloon Ko Kab Bulao Gay
Mein Kehta Hoon Tumhan Jab Dhoop Ka Mohsum Sataney Laggay


Shadi Kay Baad
Woh Mujh Say Poochtee Hai Amman Aur Behnoon Ko Kub Bulaoo Gay
Main Kehta Hoon Tum Jub Tankhwaa Main Say 1000 Rupay Bachaoo Gee


Shadi Say Pehlay
Wo Mujh Say Poochti Hay Piyaar Ka Matlab Batao Gay
Mein Kehta Hoon Yahan Her Baat Ka Matlab Nahin Hota


Shadi Kay Baad
Woh Mujh Say Poochtee Hai Pyaar Aur Jootay Main Farq Bataoo Gay
Mein Kehta Hoon Waqt Aik Sa Naheen Rehtaa


Shadi Say Pehlay
Wo Boli Kiya Zarooret Thi Mujhay Tum Sath Rekhtey
Mein Kehta Hoon Rooh Bin Jism Kiya Kerta Kahan Jata


Shadi Kay Baad
Woh Bolee Kyoon Mairee Kismet Phoot Gaee Jo Tum Milay
Main Kehta Hoon Ghaltee Insaan Hee Say Hotee Hai


Shadi Say Pehlay
Wo Boli Sunno Ferhet Mujhay Tum Say Muhabbat Hay
Mein Kehta Hoon Tum Tu Khud Meri Riyazet Ho


Shadi Kay Baad
Woh Boli Sunho Ganjoo Mujhay Tum Say Nafrat Hai
Main Kehta Hoon Tum Khud Mairee Shikast Ho


Shadi Say Pehlay
Muhabbat Chup Nahin Rehti Kissi Bhi Pal Kaha Uss Ney
Kaha Mein Ney Muhabbat Bin Tu Kainaat Goongi Hay


Shadi Kay Baad
Ganjee Tind Chupee Naheen Rehtee Tumharee Mujhay Kaha Usnay
Kaha Mainay Baal Bin To Mairee Jawanee Adhooree Hai


Shadi Say Pehlay
Wo Boli Ferhat Tumhan Tanhaiyon Say Der Nahin Lagta
Mein Bola Yeh Sawal Tum KHUDA Sey Ker K Dekho


Shadi Kay Baad
Woh Bolee Kam Bakht To Tanha Baher Naheen Reh Sakta
Main Bola Yeh Sawaal Tum Mairee Amman Say Kerkay Daikho


Shadi Say Pehlay
Wo Boli Derd K Uss Par Bhi Ik Derd Hota Hay
Uus K Baad Mein Kitni Der Tak Kuch Nahin Bola


Shadi Kay Baad
Woh Boli Ghur Kay Us Paar Bhee Aik Ghur Hota Hai
Us Kay Baad Mairay Moon Main Khaak Jo Main Boloon Kam Bakht Koo Kuch


Waqaee, Ghur Kay Us Paar Bhee Aik Ghur Hosakta Hai, Kyoon Na Try Kee Jaey.


Saathyoon Aap Yeh Nazam Ager 10 People Ko Forward Kertay Hain Aap Ko Achee BV Milay Gee Otherwise Aapkee Kahanee Bhee Is Sitam Zareefee Ka Shikaar Hogee Jaisay Kay Ayaan Hai Aur Bayaan Hai Munderja Bala.



Sunday, July 14, 2013

Aah! ye baaraanii raat – Munir Niazi



Aah! ye baaraanii raat
mii.nh, havaa, tuufaan, raqs-e-saayeqaat
shash-jahat par tiirgii uma.Dii huii
ek sannaaTe me.n bazm-e-hadasaat
aur merii khi.Dakii ke niiche
kaa.Npate pe.Do.n ke paat
chaar suu aavaaraa hai.n
bhuule bisare vaaqayaat
jhakka.Do.n ke shor me.n
jaane kitanii duur se
sun rahaa huu.N terii baat



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



Parveen shakir shayari



Usay hum yad atay hey mgr furst k lmho may
Mgr ye bat b such hey usay furst nahi milti…(Ahmad Fraz)


Ye Hum Tasleem Karty Hain Humain Fursat Nahi Milti
Magar Ye Bhi Zara Socho Tumhain Jab Yaad Karty Hain Zamana Bhool Jaty Hain…



Dast basta shehr main kholay meri zanjeer
koun
Paa baa gul sab hain rehaayee ki karey tadbeer koun
Mera sar haazir
hay lekin mera munsif dekh lay
Kar raha hay meri fard0e0jurm ko tehreer
koun


Meri chaadar toh chinni thee shaam ki tanhaayee main
Be-riddayii
ko meri phir dey gaya tash-heer koun


Neend jub kawbon sey pyari ho toh
aisey ehd main
Khawb dekhay koun aur khawbon ki dey taabeer koun


Rait
abhi pichlay gharondon sey na wapis ayee thee
Phir lab-e-saaahil gharonda kar
gaya taameer koun


Dushmano kay sath merey dost bhi azaad hain
Dekhna
hay kheenchta hay mujh pay pehla teer
koun



chehra mera tha nigahen us ki khamushi main bhi wo baten


us ki mere chehre pe gazal likhti gain sher k


ahti hui ankhen us ki shokh lamhon ka


pata dene lagin tez hoti hui sansen us


ki aise mausam bhi guzare ham ne subhen jab apni thin shamain us


ki dhyan main us k ye


Share with us more Parveen shakir shayari in comments section below.



zehmat woh bhi nahi

Bare ajeeb Doston sey nawaza hai KHUDA ne mujhe


“WASI”


Jo main na kron yaad to zehmat woh bhi nahi kartay

Larke Aur Larkiyo Ke Name?



Kon Se Name Aise Hain Jo Larke Aur Larkiyan Dono Rakh Sakte Hain??


Mujhe Kuch Naam Maloom Hai…


Ap Ko Maloom HO To Share Karein..


Aur Ye Bhi Bataiye Ap Ka Favourite Name Kon Sa Hai ???


Larki Ka Aur Larke Ka???


Names for Both Boys n Girls are


Qaisar


Shamim


Arsh


Farhat


Rubab


Urooj


Tehseen !!! ….


My Fv8 Name is


Shahrukh for Boys n


Mahrukh for Girls 😛



Hum hi mein thi na koi bat, yaad na tum ko aa sake – Hafeez Jullundhary



hum hi mein thi na koi bat, yaad na tum ko aa sake
tumne hamen bhula diya, hum na tumhen bhula sake
tum hi na sun sake agar, qissa-e-gam sunega kon
kis ke zuban khulegi phir, hum na agar suna sake
hosh mein aa chuke the hum josh mein aa chuke the hum
bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake
shauq-e-visal hai yahan, lab pe saval hai yahan
kis ke majal hai yahan, hum se nazar mila sake
raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikayaten rahin
dil mein shikayaten rahin lab na magar hila sake
aisa bhi koi namabar bat pe kan dhar sake
sun kar yakin kar sake ja ke unhen suna sake
ahal-e-zaban to hain bahut koi nahi hai ahal-e-dil
kon teri tarah “hafeez” dard ke geet ga sake


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Hafeez Jullundhary



Saturday, July 13, 2013

Har Subha Teri Kano Me



Har Subha Teri Kano Me Pehla Jo Paigam Ho Mera Ho
Teri Hoto Me Pehla Jo Naam Ho Mera Ho


Sari Jindagi Humsafar Banne Ka Jo Enaam Ho Mera Ho
Nakam Raha To Koi Gam Nahi Baas Itni Se Ilteza Hai


K Teri Ebadat Karte Huwe
Duniya Chorne Walo Me Pehla Naam Mera Ho



Kaash Ke Wo Laut Aaye Mujh Se Ye Kehne

Kaash Ke Wo Laut Aaye Mujh Se Ye Kehne,
Tum Kon Hote Ho Mujh Se Bicharne Waly..??

Kaash

Friday, July 12, 2013

Husn Jub Meherbaan Ho To kya Kijiye




Husn Jub Meherbaan Ho To kya Kijiye
Ishq ki Maghfirat ki dua kijiye


Is Saleeqy Se Un Se Gila kijiye
Jb Gila kijiye Hans Diya Kijiye


Dusron Par Agr Tabsra Kijiye
Saamny Aayina Rakh Liya kijiye


Aap Sukh Se Hain Tark E Talluq K Bad
Itni jaldi Na Ye Feslaa Kijiye


Zindgi kat Rahi Hai Barre Chain Se
Or Gham Hon To Wo Bhi Ataa Kijiye


Aqal O Dil Apni Apni Kahen Jb Khumar
Aqal Ki suniye,Dil Ka Kaha Kijiye.



Thursday, July 11, 2013

I Am New To This City

A Sardar looking at sky asks another Sardar :
Is that a sun or moon?


Other Sardar replies :
Oye ! No idea‚¦Im new to this city..

Ye raat ye tanhai – Meena Kumari ‘Naaz’



Ye raat ye tanhai
ye dil ke dhadakane ke aavaz
ye sannata
ye dubate taron ke
khamosh gazalkhvani
ye waqt ke palkon par
soti hui virani
jazbat-e-muhabbat ke
ye aakhiri angadai
bajati hui har janib
ye maut ke shahanai
sab tum ko bulate hain
pal bhar ko tum aa jao
band hoti meri aankhon mein
muhabbat ka
ik khwab saja jao



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meena Kumari ‘Naaz’



Wednesday, July 10, 2013

Dasht-E-Tanhai Main



Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Teray Honton Kay Saraab
Dasht-E-Tanhai Main
Doori Ke Khas-O-Khak Talay
Khil Rahay Hain Tere Pehloo Ke Saman
Aur Gulab
Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se
Teri Sanse Ki Aanch
Apne Khushboo Main Sulagti Houi
Madham Madham
Door Ufaq Paar Chamakti Hoi
Qatra Qatra
Gir Rahi Hai
Teri Dildar Nazar
Ki Shabnam
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab
Is Qadar Pyar Se
Aye Jan-E-Jahan Rakha Hai
Dil Ke Rukhsar Pe
Is Waqt
Teri Yaad Ne Haath
Yoon Guman Hota Hai
Garche Hai Abhi Subh-E-Firaq
Dhal Bhi Gaya Hijr Ka Din
Aa Bhi Gaee Wasl Ki Raat
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Tere Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab



Tuesday, July 9, 2013

Eid Tu Aa K Mere Jee Ko Jalaave Afsos

Eid Tu Aa K Mere Jee Ko Jalaave Afsos

Jis K Aane Ki Khushi Ho Wo Na Aave Afsos...

Eid Tu Aa K

Santa To A Doctor

Santa to a doctor,
Doctor Saheb, I hear that you pay commission to the person who brings patients for you?
Doctor: I do. Wheres the patient?
Santa: Im the patient also!

Masjidon-mandiron ke duniya mein – Nida Fazli



masjidon-mandiron ke duniya mein
mujhko pahachanate kahan hain log
roz main chand ban ke aata hun
din mein suraj sa jagamagata hun
khan-khanata hun man ke gahanon mein
hansata rehta hun chup ke bahanon mein
main hi mazadur ke pasine mein
main hi barsat ke mahine mein
meri tasvir aankh ka aansu
meri taharir jism ka jadu
masjidon-mandiron ke duniya mein
mujhko pahachanate nahi jab log
main zaminon ko be-ziya karake
aasamanon mein laut jata hun
main khuda ban ke qahar dhata hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nida Fazli



Monday, July 8, 2013

Shab-E-Mairaj Wo Shab K Jis Mein



Shab-E-Mairaj Wo Shab K Jis Mein


Nabi Eleh Sallato Wassalam Ki Allah Swt Sy Mulaqat Hovi.


Woh Shab K Jis Mein Aqa Elehe Salatoo Wasalam Ko Maiaraj Mili.


Woh Raat K Jis Mein Unhein Pichli Ummatoun Ka Hal Dikhaya Gaya.


Aur Apni Ummat K Mustaqbil Ki Khaber Di Gayi.


Woh Mubarak Shab K Jis Mein Ik Tuhfa-E-Namaz Inayat Kiya Gaya


K Ummat-E-Mohammadi Us Raat Ki Kafiat Kisi Had Tak Es Ibadat Mein Pa Le


!…….. K Yeh To Wisl-E-Khaliq Ka Aik Zareyia Hi Hy…….. !



Funny Load Shedding Sms in Urdu

The most rommantic country of the world..?


guess!


O yes!!! pakistan u know why?


har raat candle light dinner… =P


Thanks to wapda for Load Shedding :(

Ishq kya cheez hai ye puchiye paravane se – Sahir Hoshiarpuri



Ishq kya cheez hai ye puchiye paravane se
zindagi jis ko mayassar hui jal jane se
maut ka khauf ho kya ishq ke divane ko
maut khud kanpati hai ishq ke divane se
ho gaya dher waheen aah bhi nikali na koi
jane kya baat kahi shama ne paravane se
husn be-ishq kaheen rah nahi sakata zinda
bujh gai shama bhi paravane ke jal jane se
khaye jati hai nadamat mujhe is gafalat ke
hosh mein aa ke chala aaya hun mayakhane se
kar diya gardish-e-ayyam ne rusva “sahir”
mujh ko shikwa hai yagane se na begane se



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Hoshiarpuri



galib ne bola hai

Ap k liye galib ne bola hai,
.
.
Såmåñdår k kiñåre bèthå kärò


.
køi nä köi låhär tø åyègi
.
Kismät nå badli to kiå höwa
.
kåm sè kåm
.
SHÅKÅL hi dhül jåygi.

Sunday, July 7, 2013

Tum Ne Rasman Mujhe Salam Kia

Tum Ne Rasman Mujhe Salam Kia
Log Kya Kya Gumaan Kar Bethy...

Tum Ne Rasman

MohobaT Chorr Di Hum ne

“Woh SaansoN Se Bandhi Zanjir Thi, Jo Torr Di Hum nay”…!!


“Jaldi Soya Karein gay Ab”, “K MohobaT Chorr Di Hum ne”…!!!

Saturday, July 6, 2013

TU Chahta hy k

TU Chahta_hy_k_hr subha_tujhe_ Anmol_khazana _Bhejon_


_Lekin_ mere_Daman mein_Duaon_k siwa kch Bhi nahi


Subha bakhair

Happy Mother’s Day



“Happy Mother’s Day”


“Happy Mother’s Day” means more
Than have a happy day.
Within those words lie lots of things
We never get to say.
It means I love you first of all,
Then thanks for all you do.
It means you mean a lot to me,
And that I honor you.


But most of all, I guess it means
That I am thinking of
Your happiness on this, your day,
With pleasure and with love
Submitted by Kay Hunt



Baithe huye dete hain wo daman se havayen ALLAH kare hum na kabhi hosh mai aayen – Nooh Narvi



Baithe huye dete hain wo daman se havayen ALLAH kare hum na kabhi hosh mai aayen


bekhud yun hi rakhengi hamen shokh adayen jab samane hon aap to kya hosh mai aayen


palla rahe donon ka mohabbat mai barabar utani hi vafayen bhi hon jitani hon jafayen


ho lutf-e-inayat ke ik had bhi muqarrar rone lage koi na yahan tak wo hansayen


aur is ke siva “nooh” ko aata nahi kuch bhi yaron mai wo baithe huye tufan uthayen



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nooh Narvi



Tera Wajood Riwaajon K Aitkaaf Me Hai

Tera Wajood Riwaajon K Aitkaaf Me Hai

Mera Wajood Tere Ain Sheen Kaf Me Hai...

Tera Wajood Riwaajon

Friday, July 5, 2013

Ufaq par doobta Sooraj Mera Anjam Lagta Hai | Udas Shayari



‎"Me Aksar sham ke Mnzar se Larazta Is liye Bhi Hun,,
Ufaq par doobta Sooraj Mera Anjam Lagta Hai.....!!!

میں اکثر شام کے منظر سے لرزتا اس لئے بھی ھوں،
افق پر ڈوبتا سورج میرا انجام لگتا ھے۔

Phir daman-e-ummid wo phoolon se bhar gaya – Mushtaq Ahmed ‘Khayaal



Phir daman-e-ummid wo phoolon se bhar gaya
jadu bhari nigah se jadu-sa kar gaya
bas dekhte hi dekhte duniya badal gai
kuch sochate hi sochate chehara utar gaya
betab beqarar tha pahale hi dil bahut
phir aap ka aana aur bhi betab kar gaya
ik bekhudi ka naam muhabbat hai dosto
chahat mein kis ko hosh hai kya kya guzar gaya
kuch bhi pata nahi hai muhabbat mein ae dost
kab raat subah ban gai kab din guzar gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mushtaq Ahmed ‘Khayaal



Meri Muhabbaten Bhi Ajeeb Thin Mera Faiz Bhi Tha

Meri Muhabbaten Bhi Ajeeb Thin, Mera Faiz Bhi Tha Kamal Par
Kabhi Sub Kuch Mila Bina Talab, Kabhi Kuch Na Mila Sawal Par...

Meri Muhabbaten Bhi

Thursday, July 4, 2013

Gull Se Lipti Hui Tittli Ko Gira Kar Dekho

Gull Se Lipti Hui Tittli Ko Gira Kar Dekho

Aandhiyo Tum Ne Darakhton Ko Giraya Hoga...

Gull Se Lipti Hui

Har Wo Raat Bari Be-Chain Guzarti Hai

Har Wo Raat Bari Be-Chain Guzarti Hai

Jis Raat Me Gin'ne Ko Sitare Nahi Hote...

Har Wo Raat

har rang raqeeb-e-sar-o-saamaan niklaa



shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa
qais tasveer ke parde meiN bhee uriyaaN niklaa.


zaKHm ne daad na dee, tangee-e-dil ki yaarab !
teer bhee seena-e-bismil se par_afshaaN niklaa.


boo-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaaGH-e-mehfil
jo teree bazm se nikla, so parishaaN niklaa


thee nau_aamoz_fana’a himmat-e-dushwaar_pasand
saKHt mushkil hai ki yah kaam bhee aasaaN nikla


dil meiN fir giryaaN ne ik shor uThaaya ‘GHalib’
aah jo qatra na nikla tha, so toofaaN nikla.



Wednesday, July 3, 2013

Funny Indian Politician Sms

India ma ek Ajeeb-o-Ghareeeb SMS hai


jo bolta b hy


Chalta be hy


Khata B hy


Monchen b hen uski


Pagri b pehnta hy


S=Sardar


M=ManMohan


s=singh

Tuesday, July 2, 2013

Tumhain Jab Kabhi Milain Fursatein



Tumhain Jab Kabhi Milain Fursatein,Meray Dil Say Bojh Uttar Do
Mein Bohat Dinoon Say Uddas Hoon, Mujhe Koi Sham Udhar Do


Mujhay Apnay Roop Ki Dhoop Do K Chamak Sakin Meray Khal-O-Khad
Mujhe Apnay Rang Main Rang Do,Meray Sarey Zang Uttar Do

Kisi Aur Ko Maray Haal Say Gharz Hai Na Koi Wasta
Mein Bikhar Gaya Hoon Samaite Lo,Mein Bigade Gaya Hoon Sanwar Do


Maree Wehshatoon Ko Badha Deya Hai Judayoon K Azab Nay
Mray Dil Pay Hath Rakhoo Zara Meree Dhadkano Ko Qarar Do


Tumhain Suba Kasee Lagee Kaho, Meree Khawahishoon K Dayar Ki
Jo Bhalee Lagee To Yahin Rahoo,Issay Chahtoon Say Nikhar Do


Wahan Ghar Main Kon Hai Muntazer K Ho Fiqar Dair Sawair Ki
Bade Mukhtaser Si Yeh Raat Hai,Issi Chandani Main Guzar Do


Koi Baat Kerni Hai Chand Say, Kisi Shakhsar Ki Otte Say
Mujhay Rastay Main Yahin Kahin, Kisi Kanj Gul Main Uttar Do



Kiun Na Aye Shakhs Tujhe Hath Laga Kar

Kiun Na Aye Shakhs Tujhe Hath Laga Kar Dekhun

Tu Mere Wehem Se Barh K Bhi To Ho Sakta Hai...

Kiun Na Aye Shakhs

Monday, July 1, 2013

Kya Iska Hee Naam Pyaar Hai?



Ek Pal Mein Wo Has Dete Hai
Duje Hee Pal Mein Khafa Ho Jaate Hai
Khatti-Meethi Nok Jhok Se
Hum Ek Duje Ka Dil Behlate Hai
Kya Iska Hee Naam Pyaar Hai?


Unke Saath Yeh Duniyaa Bhari Si Lagti
Unke Bina Ajeeb Sa Sunapan Hai
Durr Sahi Unka Saath Muje Hai Mehsoos Hota
Baat Na Hone Se Virana Hai..
Kya Iska Hee Naam Pyaar Hai?


Pal Pal Muje Wo Hai Satate
Muje Hee Yaad Karte Hai Har Pal..
Fir Bhi Hai Kyun Inta Itraate
Kabhi Khushi Tou Kabhi Ghum Hai
Kya Iska Hee Naam Pyaar Hai?


Pyaar Hum Dono Ek Duje Se Karte
Ladai Ke Mamble Mein Bhi Aage Hai Rehte..
Pyaar Bhi Ladai Bhi Hai
Nazdikiyaan – Tanhai Bhi Hai..
Kya Iska Hee Naam Pyaar Hai?


Ek Duje Ke Bina Ek Pal Bhi Na Reh Paate..
Fir Bhi Ladne Ke Baad Dono Hai Itraate..
Ek Duje Ki Galti Mauf Karna Hai Humne Seekha
Haan Isika Naam Tou Pyaar Hai



Ye Exams K Rishty Bhi

Ye exams k rishty bhi aajeeb hoty hain


Sab k apny apny naseeb hoty hain


Rehty hain jo nigahoon say dor


Saaly wohi question papr mein zaroor hoty hain.