Friday, December 3, 2010

Han dil-e-dardmand zam-zama saz – Mirza Ghalib



han dil-e-dardmand zam-zama saz
kyun na khole dar-e-khazina-e-raz


khame ka safhe par ravan hona
shakh-e-gul ka hai gul-fishan hona


mujh se kya puchata hai kya likhiye
nuqta haye khiradafishan likhiye


bare, aamon ka kuch bayan ho jaye
khama nakhle ratabafishan ho jaye


aam ka kon mard-e-maidan hai
samar-o-shakh, guve-o-chaugan hai


tak ke jee mein kyun rahe arman
aaye, ye guve aur ye maidan!


aam ke aage pesh jave khak
phodata hai jale phaphole tak


na chala jab kisi tarah maqadur
bada-e-nab ban gaya angur


ye bhi nachar jee ka khona hai
sharm se pani pani hona hai


mujhase pucho, tumhen khabar kya hai
aam ke aage neshakar kya hai


na gul us mein na shakh-o-barg na bar
jab khizan aaye tab ho us ke bahar


aur daudaie qayas kahan
jan-e-shirin mein ye mithas kahan


jan mein hoti gar ye shirini
‘kohakan’ bavajud-e-gamgini


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment