Wednesday, October 15, 2008

Kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ke tarah – Prem Warbartoni



Kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ke tarah
mera vajud hai jalate hue makan ke tarah
bhari bahar ka sina hai zakhm zakhm magar
saba ne gaye hain lori shafiq man ke tarah
wo kon tha jo barahana badan chattanon se
lipat gaya tha kabhi bahr-e-bekaran ke tarah
sakut-e-dil to jazira hai barf ka lekin
tera khulus hai suraj ke sayeban ke tarah
main ik khwab sahi aap ke amanat hun
mujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jan ke tarah
kabhi to soch ke wo shakhs kis qadar tha buland
jo bich gaya tere qadmon mein aasman ke tarah
bula raha hai mujhe phir kisi badan ka basant
guzar na jaye ye rut bhi kaheen khizan ke tarah
lahu hai nisf sadi ka jis ke aabagine mein
na dekh “prem” use chashm-e-argavan ke tarah


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Prem Warbartoni



No comments:

Post a Comment