Thursday, July 31, 2008

Shab-E-Barat Mubarak Ho



@                                  |                                     @
@ | | | @
@ /# /# /# @
@ (###) /##### (###) @
@ | | | /######### | | | @
@ |@| /#| / /############# / |/# |@| @
@ | | (##/# /## (###############) /## /###) | | @
@ |@| |(###) (####) _#############/_ (####) (###)| |@| @
@ | | |#| |___|/|__|_________________|__|/|___| |#| | | @
@ |@| |#|@|###||||###|######/^######|###||||###|@|#| |@| @
@ | | |#| |###|##|###|####/ ####|###|##|###| |#| | | @
@ |@| |#|@|###|/|###|##/ ##|###|/|###|@|#| |@| @
@ | | |#| |###||||###|#(Shab e Barat)#|###||||###| |#| | | @
@ |@| |#|@|###|##|###|## Mubarak /##|###|##|###|@|#| |@| @


Kaha Tha Tum Ne K Bhula De Ga

Kaha Tha Tum Ne K Bhula De Ga Ab Us Ko

Aye Dil-e-Nadaan Tujh Sa Ghadaar Bhi Nahi...

Kaha Tha Tum

Wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahe – Hashim Raza



Wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahe
hum un ka intakhab-e-nazar dekhte rahe
daman bachake ashkon se wo to nikal gaye
hum der tak zamin par guhar dekhte rahe
hum beniyaz baithe huye un ke bazm mein
auron ke bandagi ka asar dekhte rahe
aayi sahar to aur bada bijaliyon ka zor
shab bhar hum intezar-e-sahar dekhte rahe
sholon ke zad par sabhi the, kis ko pukarate
har simt khirmanon mein sharar dekhte rahe
kyonkar sanbhalate hamen wo nakhuda jo khud
sahil ke aafiyat se bhanvar dekhte rahe
manzil ke dhun mein aabalapa chal khade huye
aur shah-savar gard-e-safar dekhte rahe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hashim Raza



fifty fifty

Sardar and Pathan ja rahey thay un ko 1000 Rs. ka note mila
pathan: chalo fifty fifty kr letey hain.


Sardar: baqi 900 ka kia karen ge?

Wednesday, July 30, 2008

nojawan nasal

Pakistan ki nojawan nasal bigarne ki wja???


socho…


.


.


media??


Internet??


ni.


Zra or socho……


Me btaun??


1st year ki urdu ki gazlain;-) 😀


Achay se Achay Bachay ko Aashiq Bana deti hai:-):-D;-):-P

nya gaali aya hai

Pathan Wapda office fone kr k bola:Janab light band kr do
Wapda wala:kyun sir


Pathan:wo yara hamaray dimagh me aik nya gaali aya hai wo tumko dena hai.

Never Tell Your Problems To Anyone

Never tell your problems to anyone…
20% dont care and the other 80% are glad you have them.

Bat Aapke Hain Auron Ki Nahi



Jane Bhi Do Log Kahten Hain Jane Bhi Do
Par Kaise
Bat Aapke Hain Auron Ki Nahi
Peshani Pe Apke Badali Chayi Hai
Auron Ke Nahin
Dil Pe Chot Bhi To Apne Hi Khayi Hai
Auron Ne Nahin
Kyonki Dosti Mein Maine Bhi Sath Nibhne Ki Kasam Khayi Hai
Auron Ne Nahi
Kya Hua
Gar Jindagi Mein Bewafai Hi Mujhse Kari Apne
Auron Ne Nahin
Mere Dil Ko Thokar To Hi Mari Hai Apne
Auron Ne Nahin
Meri Wafa Ko Jafa Samjha Apne Hi
Auron Ne Nahin
Pr Mujhe Apse Kuch Gila Bhi Nahin
Kyonki
Maine Hi Tu
Apka Saath Nibhane Ki Kasam Khyi Hay
Auron Ne Nahin..?



Tuesday, July 29, 2008

Zaroorat Hai Tumhari

Meri Tanhai Ko Zaroorat Hai Tumhari


Agar Ijazat Ho To Yadoon Me Basa Lu Tum Ko …..!!

Monday, July 28, 2008

Haq Meri Mohabbat ka Ada Ghazal



Haq Meri Mohabbat ka Ada Q Nhi Krty,
Tm Dard To Dety Ho Dawa Q Nhi Krty,


Q Behtay Ho Khamosh Si Rah Me Meray Agay,
Na Ro Mery Mrny Ki Dua Q Nhi Krty,


Tm Drd To Detay Ho Dawa Q Nhi Krty,
Phoolon Ki Tarah Jsm He Pathr Ki Tarah Dil,


Mery Haseen Sajan Wafa Q Nhi Krty,
Aankhon Ki Adalt Se Bari Kr To Dia He,


Afsos Meri Jan Reha Q Ni Krty,
Tm Drd To Dety Ho Dawa Q Ni Krty,


Haq Meri Mhbt Ka Ada Q Nhi Krty……..



Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese

Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese
Jane Wala De Gaya Hai Sawaal Kese Kese

Meri Manzil Ki Jaanib Koi Rahguzar Hi Nahi
Taqdeer Bunn Rahi Hai Ab K Jaal Kese Kese

Kabhi K Din Bary Kabhi Ki Raatain
Zindagi Ne Guzaar Diye Maah-o-Saal Kese Kese

Lamha Lamha Khamosh Rehna Lamha Lamha Udaas
Hum Ne Paal Liye Hain Wabaal Kese Kese

Humy To Pyar Faqat Us Ek Chehray Se Tha
Wagarna Dekhne Ko Hain Husn-o-Jamaal Kese Kese

Khamoshi Kisi Sawal Ka Jawab Kya Ho Akaash
Khamoshi Khud Paida Karti Hai Sawaal Kese Kese...

Submitted By: Arshad Raja

Before The Golden Sunset

Before the golden sun sets, old calender is destroyed,
And mobile networks get jammed,
I wish in new year every moment is enjoyed.

Sunday, July 27, 2008

sapney dikhaa ke

Ghanney darakht ke neechey sulaa ke chorr geya,


Ajeeb shakhss tha sapney dikhaa ke chorr geya,


Yeh ujrra hua ghar to usi aik ki nishaani hai,


Jo apne naam ki takhti lagaa ke chorr geya

Pathan hajj kar ka wapis aya

1 pathan hajj kr k wapis aya to dost ne pocha k shaitan ko kanker mary thy?
Pathan ne kaha:
“Na yara rush boht ziada tha. Hum gaaliyan de k aa gya”.:-P

Agar Talaash Karuun Koii Mil Hii Jaayegaa



Agar Talaash Karuun Koii Mil Hii Jaayegaa
Magar Tumhaarii Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa


Tumhen Zaruur Koii Chaahaton Se Dekhegaa
Magar Vo Aankhen Hamaarii Kahaan Se Laayegaa


Naa Jaane Kab Tere Dil Par Naii Sii Dastak Ho
Makaan Khaalii Huaa Hai To Koii Aayegaa


Main Apanii Raah Men Diivaar Ban Ke Baithaa Huun
Agar Vo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa


Tumhaare Saath Ye Mausam Farishton Jaisaa Hai
Tumhaare Baad Ye Mausam Bahut Sataayegaa



IN PAKISTAN Electricity Now

IN PAKISTAN electricity now Rs. 7 per unit nd
it wil b increasing aftr every 2 months regardng 2 AMERICAN IMF Polices.


IRAN is agree 2 give da elctricity on urgent base to
PAKISTAN on very cheap rates (1.18 per unit)


also CHINA ofers PAKISTAN 4 Flectricity just 300 rupes monthly bill&
unlimited usage of electricity bt our govt. is not takng seriously.

Abhi Masroof Hun Kafi, Kabhi Fursat Mein Soochon Ga

Abhi Masroof Hun Kafi, Kabhi Fursat Mein Soochon Ga,
Ke, Tujhko Yaad Rakhne Me Mein Kia Kia Bhool Jata Hun...

Shared By: Mansoor

Saturday, July 26, 2008

ek Nazar Chahiye

Aapki DOSTI Ki ek Nazar Chahiye,
Dil hai bay ghar use ek ghar Chahiye,
Bas yun hi SAATH chalte raho ae DOST,
Ye DOSTI humain UMARBHAR Chahiye…!!

Friday, July 25, 2008

Zahid Teri Namaz Ko Kese Kahun Namaz

Zahid Teri Namaz Ko Kese Kahun Namaz
Waqt-e-Salam Phir Gaya Kaabah Se Muh Tera...

By: Haseeb Zahid

Uniqness of Darood e Pak

Uniqness of Darood e Pak


>Wahid kaam jo Allah khud b krta he or apne sath apny bando ko krny ka hukm b deta he


>Farishty hr cheez count kr skty hen siwaye Darood e Pak se nazil hony wali rehmaton k


>Aisa unique kaam jis men insaan k Left n Right dono frishty aik sath busy ho jaty hen, Right nekiyan likhny men or Left gunah mitany men


>Wahid kaam jo hamesha qabol hi qabol he


>ik aisa kaam k jsko krny wala kbi mehrom nahi rhta.
SUBHANALLAH

secret to happiness

If wealth is the secret to happiness,Then the rich sh0uld be dancing on the street..But only poor kids do that..!!
If p0wer ensures security,Then officials sh0uld walk unguarded..But those wh0 live simply,sleep s0undly..!!
If beauty n fame bring ideal relationships,Then celebrities sh0uld have the best marriages..!!Live Simply..!!Walk Humbly..!!Love Genuinely..!!
Have a wonderfull year ahead !!

Tumhare chahat shyre



door dariya ka aik kinara tumhari chahat
meri hasti ka hai sahara tumhari chahat


ishq ankhoon main aa gia to soch lena
dil ka ho ga bus ishara tumhari chahat


aarooj per the sabhi sitare magar muqadar
jo tha gardhishon main wo sitara tumhari chahat


udasiain hain to kia huwa guzar lain ge
ab na maangain ge phir dobara tumhari chahat….



Share with us more Tumhare chahat shyre in Comments Section below.




Khoon Se Likhte Likhte

Khoon Se Likhte Likhte Tumhara Naam AchaNAk,


Dil Ne Dum Tor Diya Jab Tujhy Bewafa likha

Hamare Pyare Nabi Pak (S.A.W) Ki Juma Ki Sunnatain

✏ Hadith: Insaan (Qayamat ke din) uskey saath rahega jis sey wo Muhabbat karta hai. Hazrat Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya insaan (Qayamat ke din) uske saath rahega jis se wo Muhabbat karta hai. Sahih Bukhari, Vol7 ,6168 Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Badwi RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass aaya aur kaha ki Qayamat kab aayegi? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Afsos ! tumney us Qayamat ke liye kya tayyyari ki hai, usney kaha maine uske liye to koi tayyari nahi ki hai lekin main Allah aur uskey Rasool se mohabbat rakhta hun, to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya phir tum Qayamat ke din unkey saath rahogey jin se mohabbat kartey ho Sahih Bukhari, Vol7 , 6167 Show less
0
Hum Ummat e Mohammadia Hai over a month ago
Book – 2,112 Likes
ASSALAMU ALAIKUM… Huzoor Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Roza-E- Anwar • Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki “QABR-E-Anwar” kisne khodi aur unke kya Naam hai? >>Madeenah Munawwara Me 2 Shakhs “QABR” khodnewale the. Ek Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jaraah RadiAllahu Anhu Aur doosre H…

Holding your Hands

A Relationship Is Not Holding Hands


While You Understand Each Other,


It is About Having Lots Of Misunderstandings


and Still Not Leaving Each Others Hands.


Good Night have a Sweet Dream

Thursday, July 24, 2008

KHAMOSHI KA BOYCOTT

Kabhi Ye Mat
Socho K
“Tömhary boy Frnd Ne
Tmhen Kitna Romentic Msg Bheja HY”:-|
Hamesha Ye
Socho K.
“öSy Kisne Bheja Hoga”.? :-/
Jago
Aaashiqo
Jago
Aaj nai bolo gi to kal phophean bn jao gi…….
KHAMOSHI KA BOYCOTT.. 😛

Khaat hon magar

Mai Faqat KHAAK Hon Magar.
MOHAMMAD (SAWW)Se Hai Nisbat Meri,
Yehi Ek RISHTA Hai Jo Meri AUQAAT badal Deta Hai.

Secretly hope that

Sometimes i push you away


because i secretly hope that


you will pull me closer

Andaaz e qatal

Kya khoob tha uska Andaaz e qatal bhi…..!!!


Zehar diya mujh ko wo bhi honton pe laga kar……!!!

Chehra Gulab Hua karta Tha

Kabhi Us Ka Chehra Gulab Hua karta Tha.
Sub Ki Nazron Ka Woh Khawab Hua Krta Tha.
Chand Sitare Us K Samne Maand Prtay Thay.
Woh To Khud Mahtab Hua Krta Tha.
Lehja Aisa Tha Jaise Khilti Hui Kalli.
Apni Batein Main Woh La-Jawab Hua Krta Tha.
Phir Youn Hua Ussay Ishq Hai Gaya Kisi Say.
Mohabbat Lafz Jis K Liye Mazaq Hua Krta Tha.
Phir Toot K Bikhra Aisa K Smbhal Na Paya Woh Jo Apni Misaal Aap Hua Krta Tha…

TV Dekh Dekh Ker

3rd class ka baccha apni Miss se kehta hai


Mai apko kesa lagta hun… ??


Miss: so sweet


Baccha: To phir mai apne ammi abbu ko aap ke ghar kab bheju.. ??


Miss: wo q.. ??


Bacha: q ki wo hamari baat aage chalaye.. ;))


Miss: ye kya bakwas hai.. :O:/


Baccha
.
.
.
.
.
.
.
Tution padhane ke liye ..!!


miss aap bhi na kasam se TV dekh


dekh ke kharab ho gayi hain…

Wednesday, July 23, 2008

Us Ka Ishq Chaand Jesa Tha

Us Ka Ishq Chaand Jesa Tha
Pura Hua To Ghatne Laga...

Us Ka Ishq

Bhigy Mosam ki

Bhigy Mosam ki Khushbo Hawaon m ho,


Apki Yadon ka Ahsas in Fizaon m ho,


Sada rahy Aapke Chehry pe khushi,


RAB kry Itna Assar Hamari Duaon m ho


Subah Bakhair

Person Who Surrenders

A person who surrenders
When he’s WRONG,
is HONEST


A person who SURRENDERS
When not SURE,
is WISE


A person who surrenders
Even if he’s RIGHT,
is a HUSBAND…!

Final Anay Wale

Girls: Finals anay wala hai,


Jaa e Namaz Bicha lete Hun


Boys: Finals anay walay hain.


Kitabain khareed he leta hun

Barha gor dil jhuka laya – Meer Taqi Meer



Barha gor dil jhuka laya
ab ke shart-e-wafa baja laya


qadar rakhati na thi mita-e-dil
sare aalam ko main dikha laya


dil ke yak qatara-e-khun nahi hai besh
ek aalam ke sar bala laya


sab pe jis bar ne girani ke
usako ye natavan utha laya


dil mujhe us gali mein le ja kar
aur bhi khak mein mila laya


ab to jate hain butakade ae ‘meer’
phir milenge agar khuda laya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Tuesday, July 22, 2008

Sania Mirza Vs Shoaib Malik

Sania mirza ny Shoaib malik ko keh diya hai k.
.
.
.
.beta raat ko ab mery room mai naa anaa 😀

Iftary Te Bula

(“,)/Aey Kia
<))Bolta Tu?
_/ _
(.”)Aey! Kia Mai
<((>Boloon?
_/
(“,)/
<))Sun
_/
(.”)
<((>
_/ _ Suna


Menu ni pta kal menu iftary te bula;-

Monday, July 21, 2008

faraz funny vitamin sms

Ankon mein kuch nami thi
.
.
.
.
Mujh mein shayed Vitamin ke kami thi
.
.
.
.
Jis se saari raat phone pe baat ke FARAZ


Wo Kambakhat meri


Girl Friend ki Ammi thi

Ajeb si halat hy

Ajeb si halat hy tere jany k bad


Mje bhuk lgti hy khana khany k bad


Mre pas 2 hi samosy thy jo maine kha lye Faraz


1 tere any sy pehly 1 tere jany k bad.

Life is Now Where

Read this slowly


“LIFEISNOWHERE”


what did u read?


Life is No whereorlife is Now here!


Just a beautiful line 2 say:


“Life depends on the way we look at it”.

Itne baatein nai kahi

SHAKESPEARE Said…!!
.
.
.
.
.
.
Meri Maa ki Kasam Maine Itni Baatein Nahi Kahi


Yeh Log Khud Se Bana Bana K Kehte Hai

Sunday, July 20, 2008

Tuanu tankay lanay anday ne?

Saardar doctor se
Tuanu tankay lanay anday ne?


Dr: han g. Daso kithay lanay ne?


Sardar: meri juti nu la deo.

Lo Aaj Hum Tum Se Nikah-e-Ishq Karte Hain

Lo Aaj Hum Tum Se Nikah-e-Ishq Karte Hain,
Hamein Tum Se Mohabbat Hai, Mohabbat Hai, Mohabbat Hai….

Nikah Mohabbat Shayari

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin



Mujhe Yaad Koi Dua Nahin
Mere Humsafar Abhi Soch Le


Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahin
Mere Humsafar Abhi Soch Le


Abhi Rasta Bhi Hai Dhool Main
Abhi Faida Bhi Hai Bhool Main


Abhi Mujh Ko Tujh Se Gila Nahin
Mere Humsafar Abhi Soch Le

Tujhe Khushbuoon Ki Hai Arzoo
Tujhe Roshni Ki Hai Justujo


Main Hawa Nahin Diyya Nahin
Mere Humsafar Abhi Soch Le



Baatein Teri Uttarti Hai Dil Mein Qaraar Banke



Baatein Teri Uttarti Hai Dil Mein Qaraar Banke,
Pyar Tera Barasta Hai Mujh Par Phuwaar Banke,


Duniya Sitam Kare Mujh Par Parwaah Nahi Mujhe,
Pyaar Tera Rehta Hai Mere Paas Hisaar Banke,


Jazbe Sachche The Jo Mil Gaye Hum Dono,
Duniya Laakh Aayi Darmiyaan Dewaar Banke,

Zor Koi Dil Par Apna Ab Chalta Nahi Hai,
Pyar Mein Tere Reh Gaye Be Ikhteyaar Banke..!!!



Saturday, July 19, 2008

Faraz Poetry – Dard Ka Tajir

Kabhi Aansoo Chupa Chupa K Roye,
Kabhi Dastan-e-Gham Suna Suna K Roye,


Raat Katti Hai Intazar-e-Yaar Mein,
Hum Raat Bhar Taron Ko Jaga Jaga K Roye,


Phir Wo Na Aye Raat Ka Wada Kar K,
Hum Tamam Raat Shama Jala Jala K Roye,


Aaj Raat Unke Aane Ki Ummeed Thi Humain,
Wo Na Aye Hum Ghar Ko Saja Saja K Roye,


Suna Hai Wasi Dua Se Hoti Hai Murad Pori,
Hum To Saari Raat Haath Utha Utha K Roye.


Najane Kia Hoga Na Mil Sake Agar Tum,
Saans To Chale Gi Par Zinda Na Hon Ge Hum,


Dil Mein Gilay To Hon Ge Bohat,
Magar Khamosh Rahen Ge Phir Bhi Hum,


Na Chaha Tha Na Chahen Ge Kisi Ko Itna,
Ji Liya Shayad Bas Jeena Tha Jitna,


Bas Phir Khuda Se Ek Dua Karen Ge Hum,
Tum Hamain Bhool Jao Aur Zindagi Ko Hum,


Meri Bhi Saari Khushiya Milen Tujhe,
Tere Gham Bhi Cheen Len Ge Hum,


Agar Aisa Ho Jaye To,
Haar K Bhi Jeet Jain Ge Hum.


Missing u jaan ….

Mujhay Sandal Kar Do



Apnay Ehsaas Say Choo Kay Mujhay Sandal Kar Do
Main Kay Sadiyon Say Adhoora Hoon Mujhay Mukkammal Kar Doh
Na Tumhay Hosh Rahay Na Mujhay Hosh Rahe
Iss Qadar Toot Kay Chaho Mujhay Pagal Kar Do
Tum Hatheli Ko Meray Pyar Ki Mahndi Say Rango
Apni Aankhon Mein Meray Naam Ka Kajal Kar Do
Is Ke Saye Tallay Mere Khwaab Dhakk Uthain Ge
Mere Chehray Pe Chamkta Hua Anchal Kar Doh
Dhoop he Dhoop Hoon Main Toot Ke Barso Mujh Per
Is Kader Barso Merii Rooh Main Jal Thal Kar Doh
Jaise Sehrahoon Main Her Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Main challo Aur Mujhe Thall Kar Doh
Tum Chuppa Lo Mera Dil Oat Main Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nighaoon Se Bhi Ojhall Kar Doh
Maslaa Hoon Toh Nighain Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se Tawajjah Se Mujhe Hall Kar Doh



Ager Wo Pooch Ley Mujh Sey - Sad Dard Shayari

Dard Shayari

Urdu Poetry - Dard Shayari

Ager Wo Pooch Ley Mujh Sey Ke Kis Baat Ka Ghum Hai,
To Phir Kis Baat Ka Ghum hai? Ager Wo Pooch Ley Mujh Sey…

Har Naimat Dasteyab Thi

Har Naimat Dasteyab Thi Dunia Jahaan Ki


Lakin Us Ki Kami Ka Azzaala Na Ho Saka..!!

Friday, July 18, 2008

Urdu Shayari – Ghazal Likhati Gaiin



Cheharaa Meraa Thaa Nigaahen Us Kii
Khaamushii Men Bhii Vo Baaten Us Kii


Mere Chehare Pe Gazal Likhatii Gaiin
Sher Kahatii Huii Aankhen Us Kii


Shokh Lamhon Kaa Pataa Dene Lagiin
Tez Hotii Huii Saansen Us Kii


Aise Mausam Bhii Guzaare Ham Ne
Subahen Jab Apanii Thiin Shaamen Us Kii


Dhyaan Men Us Ke Ye Aalam Thaa Kabhii
Aankh Mahataab Kii Yaaden Us Kii


Faisalaa Mauj-E-Havaa Ne Likkhaa
Aandhiyaan Merii Bahaaren Us Kii


Niind Is Soch Se Tuutii Aksar
Kis Tarah Katatii Hain Raaten Us Kii


Duur Rah Kar Bhii Sadaa Rahatii Hai
Mujh Ko Thaame Hue Baahen Us Kii



Aziyat Bana Raha Tamam Umar

Aziyat Bana raha tamam umar yehi
aik sawal
Galib
Sab ka sath nibhany walay khud kyun
tanha reh jatay hain..

Best Dua SmS

Prwrdigar! Main GunahGar Hoon Khatakar Hoon Lakin,Tery Karam ka Tlabgar Hoon Teri Bakhshish ka Umedwar Hoon, Mujhy Mangna nai ata Tujhy to Dena ata hy Siyahkar hoon, Mgr hon to Tera hi Bnda, Kahan jaon ga, Agr Teri Rehmat chin gai.? Gunahgar sahi, Lekn Mery Sary Gunah Mil kr b Teri Rehmat sy Bary nai, Tery Khzanay laaa-Mehdud hain Reham Frma Mujh pr,Mery Ghar walo pr,meray sb doston per, Or Us pr b Jisney Parhi, likhi or agay bhaiji Ameen

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa

K Mene Bhi Lutaya Hai Mohabbat Me Sakoon Apna...

Mujhe Bhi Yaad

Rokata hai gam-e-izhar se pindar mujhe – Mustafa Zaidi



Rokata hai gam-e-izhar se pindar mujhe
mere ashkon se chupa le mere rukhsar mujhe
dekh ae dasht-e-junun bhed na khulane paye
dhundhane aaye hain ghar ke dar-o-divar mujhe
si diye honth usi shakh ke majboori ne
jis ke qurbat ne kiya maharam-e-asrar mujhe
meri aankhon ke taraf dekh rahe hain anjum
jaise pehchan gai ho shab-e-bedar mujhe
jins-e-virani-e-sahara meri dukan mein hai
kya kharidega tere shahar ka bazar mujhe
jaras-e-gul ne kai bar bulaya lekin
le gai reh se zanjir ke jhankar mujhe
navak-e-zulm utha dashna-e-andoh sambhal
lutf ke khanjar-e-benam se mat mar mujhe
sari duniya mein ghani raat ka sannata tha
sahan-e-zindan mein mile subah ke aasar mujhe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mustafa Zaidi



Thursday, July 17, 2008

Kachi divar hun thokar na lagana mujh ko – Israr Ansari



Kachi divar hun thokar na lagana mujh ko
apni nazron mein basa kar na girna mujh ko
tum ko aankhon mein tasavvur ke tarah rakhta hun
dil mein dhadakan ke tarah tum bhi basana mujh ko
baat karne mein jo mushkil ho tumhen mahafil mein
main samajh jaunga nazron se batana mujh ko
wada utana hi karo jitana nibha sakate ho
khwab pura jo na ho wo na dikhana mujh ko
apne rishte ke nazakat ka bharam rakh lena
main to aashiq hun divana na banana mujh ko



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Israr Ansari



Meray kamray me

Meray kamray me urr rahay hain badal


Wah wah wah


meray kamray me urr rahay hain badal


wah wah wah


me jo b likh doon ghor se parhtay hain pagal 😉

Wednesday, July 16, 2008

Waiter Aisi Chaai Pilao

customer :
waiter aisi chaai pilao kay tan man dhan main waka waka ho jaye


waiter:
Sir humary haan bhains ka doodh ata hay shaakira ka nahi 😉

1 Hunnar

Aaj ki pyari baat


Bacha Duniya me sirf 1 Hunnar le kar Aata hai,


Wo hunnar hai “RONA”,


Or


usay kuch nahi Aata,


wo us 1 Hunnar se apnay sab kaam nikal leta hai,


Yani “RO RO K”.


So please apnay RAB k samnay “RONA” seekho,


or


Apney “RAB” ko mana lo


Jo


70 Maaon se Zyada pyar Karne wala hai


Subha Bakhair..

Funny Filmi Songs Shayri



Dil To Hai, Dil Ka Aitbaar Kya Kijiye
Kha Ke Hamara Chocolate Bar
Yun Na Muskura Kijiye


Rula Ke Gaya Sapna Mera
Behti Thi Kab Ho Savera
Dopar Gayi, Sham Gayi
Phir Bhi Nahi Aaya Dudhwala Hamara


Jab Nahi Aaye The Tum
Tab Bhi Mere Paas The Tum
Macchar Ke Jaise
Din Raat Mandaratete The Tum



Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai

Masoom Mohabbat ka
Bas itna Fasana hai
.
.
Ammi ghar se Nikalney nahi deti
Aur
Mujhe aj date pe jaana hai.

Tuesday, July 15, 2008

Majburiyon K Naam Pe Lipti Hain Har Ghari

Majburiyon K Naam Pe Lipti Hain Har Ghari

Hawwa Ki Betiyon K Muqaddar Bhi Ajeeb Hain...

Majburiyon K Naam

Everlasting faith

O ALLAH bless me with patience and


everlasting faith in you

Agar Mil Jati Mujhe Do Din Ki Baadshaahi

Agar Mil Jati Mujhe Do Din Ki Baadshaahi Sangdil

Meri Riyaasat Me Teri Tasveer K Sikkay Hote...

Agar Mil Jati Mujhe

How to Propose Girl

Best way to propose a girl..
.
.
Take her to sea,
.
Say her to sit in a boat.
.
.
Then take the boat in the middle of sea.
.
.
.
.
.
.
.
Then say: Marry Me


or


Leave My Boat 😛

Monday, July 14, 2008

Mohabbat MOUJiZA hai

~Bohat makhsoos dilon ko ISHQ k ILHAAM hotey hain…
.
.
Mohabbat MOUJiZA hai moujizay kab AAM hotey hain??

Qismat Mein Hamari Wohi Teerah Shimi Hai

Qismat mein hamari wohi teerah shimi hai!
Haalat k jo pehly thi hamari wo abhi hai. . !

Good Night at Night

Husband Bola chummi lekar


Biwi Se Good Night


Biwi Boli haath pakadkar


Yeh Kaisi Good Night


Pehle Bhujao Light..


Phir apna L*nd Karo Tight..


Ch**t Se Karo Fight..


Nikalo Solution White..


Fir ch*dai ho Alright..


Aur thak kar chehra ho bright..


Fir Bolna pappi lekar pyaar se Good Night !! 😉

Teacher pointed at

My Teacher pointed at Me with a Ruler & said:


“At the End of this Ruler is an Idiot”


I still dont get why I got rusticated. I only asked him,


“Which End Sir?”

Pappu VS Teacher

Pappu V/S Teacher


Teacher :- Insaan Wo Hey Jo dusron K Kaam Aaye.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Pappu :- Lekin Exam K Waqt Na To Aap Khud Insan Banti Hain,


OR


Na dusron Ko Insan Banne Deti Hain..

Khaloos e Niyyat

Baat sajdon ki Nahin khaloos-e- Niyyat ki hoti hai IQBAL,


Aksar Log Khali hath Laut atay hain har Namaz k baad…….!

ye mery dil ki dua hy

us k honton ka tabasum rahy qaeim ya rab
uski aankhon mein khushiyon ka basera kar dy
tu mery qurb ki raaton ko baly khatam na kar
us ki har sham k aakhir mein sawera kar dy
us k dil k kisi kony mein jaga dy muj ko
us ki aankhon ko mery sapno sy hara kar dy
ye mery dil ki dua hy mery maola sun ky
saari dunia sy chura kar usy mera kar dy

Sunday, July 13, 2008

Chaand Bhi Chhatt Pe Rota Hai



Ek Hi Manzar Yeh Har Raat Ka Hota Hai
Chaand Bhi Aakar Meri Chhatt Pe Rota Hai


Palkon Main Nami Hoti Hai Bikhri Bikhri
Dil Phir Bhi Nayi Umeed Koi Pirota Hai


Woh To Takkiye Ko Aangosh Main Le Laita Hai
Jaane Kaise Woh Chain Ki Neend So Laita Hai


Raat Ki Raani Ko Kabhi Khirrki Pe Mehekta Dekha
Humne Raaton Ko Aankhon Main Guzarte Dekhaa Hai



Saturday, July 12, 2008

Happy Birthday To You

rose is red
sky is blue
honey is sweet
just like u
happy birthday to u

Tone of our Voice

Most of the problems of our life


are created by tone of our voice.


Its not what we say,


it depends how we say.

Proud 2 be a muslim

“Now a days people follow those who have reached the moon, but I follow the One Who cracked the moon in two halves! “Proud 2 be a muslim”

Friday, July 11, 2008

Glory Be To Allah

Glory be to Allah who sent Ramadan as a mercy to mankind
Its a purification of our soul, our heart, and our mind
With the most sincere devotion and love we fast
To be cleansed and free from sins of the past

Ramzan Ki Barkatein Hi Kafi Hai

Tumaahri yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
Kisi Bahane tumeh yaad kerne lagte hain.


Her Ajnabi, hamain merham dikhaayi deta hai
Jo ab bhi teri gali se guzerne lagte hain.


Saba se kerte hain gurbat naseeb jikr -e- watan
To chashm -e – subeh main aansu ubherne lagte hain.


Dare – kafas main andhere ki muhar lagrti hai
To Faiz dil main sitaare ubherne lagte hain

Chandani Raat Me Our Bhi Shiddat

Chandani raat me our bhi shiddat se aaye gi us ki yaad
Behtar hai faraz so jana sham se pehle


good night

Ghairon Se Poochti Hai Tareeqa Nijaat Ka

Ghairon Se Poochti Hai Tareeqa Nijaat Ka

Apno Ki Saazishon Se Pareshaan Zindagi...

Ghairon Se Poochti

Bat nikalegi to phir dur talak jayegi – Kafeel Aazer



Bat nikalegi to phir dur talak jayegi


log bevajah udasi ka sabab puchenge
ye bhi puchege ki tum itani pareshan kyun ho
ungaliyan uthengi sukhe huye balon ke taraf
ik nazar dekhenge guzare huye salon ke taraf
chudiyon par bhi kai tanz kiye jayenge
kanpate hathon pe bhi fikre kase jayenge


log zalim hain har ik bat ka tana denge
baton baton mein mera zikr bhi le aayenge
unaki baton ka zara sa bhi asar mat lena
varna chehare ke tasur se samajh jayenge
chahe kuch bhi ho savalat na karana unase
mere bare mein koi bat na karana unase


bat nikalegi to phir dur talak jayegi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kafeel Aazer



Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi - Mohsin Naqvi


Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi
Pyasey Hont thy Aankh Samundar Jaysi thi

Sooraj Usko Daikh Ker Peela Perta Tha
Woh Sarma ki Dhoop mein Dhul Ker Nikli Thi

Usko Apny SaaYe Se Dar Lagta tha
Sooch K Sehra mein Woh Tanha Heerni thi

Aaty Jaaty Mausam Usko Dasty Thy
Hansti Hansti Palkoon se Ro Perti thi

Aadhi Raat Ganwa deti Thi Chup Reh Ker
Aadhi Raat K Chaand se Baatein Kerti Thi

Door Se Ujray Mandir Jaysa Ghar Uska
Woh ApnY Ghar mein Ikloti Devi thi

Moum Se Nazuk Jism Seher Ko Dukhta Tha
Diye Jala Ker Shab bhar Aap Pighalti thi

Taiz Hawa Ko Rok Ker Apny Aanchal Per
SookhY Phool Ikhaty Kerti Phirti Thi

Sub per Zahir ker deti thi Bhaid Apna
Sub Se Ik Tasveer Chupaye Rakhti thi

Kal Shab Chakna Chor Hua tha Dil Uska
Ya Phir Pehli Baar Woh Khul Ker Royi Thi

Moshin Kya Jaany Kion Dhoop se be'Parwah
Woh Apny Ghar Ki Dehleez Per Bethi Thi...???

By: Mohsin Naqvi

Chappal Ka Size

Pappu: I Love You


Girl: Meri Chappal Ki Size Pata Hai Kya ?


Pappu: OH Ho Propose KIYA NHI Ke GIFT MAGNA


SHURU or gift b kya maang rhi h,


chappal Bhikharin Kahin Ki Chal Bhag yaha se


I hate u.. 😛 😛 😉

Thursday, July 10, 2008

Dost dowaye ki dwa

Dost  dost nai


Dowaye ki DWA hota hai


Mehsos tab hota hai


Jub wo Juda hota hai


Bina Dost jena saza hota hai


Aur Dost  Acha ho tu RABB ki ATTA hota hy

Girls eat Chocolates after break up

Why do Girls eat Chocolates after a break up?


The Sweetness of chocolates makes them forget


the Bitterness of the break up.


Why do Guys drink after break up?


The bitterness of alcohal makes them


forget the Sweetness of the girl….

Udas betha pani me

Main to yunhi udas betha pani me pathr phenk rha tha


Achank 1 DADDO nikla or bola “Pani vich aa teri udasi kadaan bagherta.


Niky mundy da sir paar dita ay.

Take Calculated Risks

Take calculated risks.
That is quite different from being rash.

Us K Chehre Ki Masoomiyat Me Itna Asar Hai

Us K Chehre Ki Masoomiyat Me Itna Asar Hai K

Khareed Li Us Ne Aik Mulaqat Me Zindagi Meri...

Us K Chehre Ki

Best Life Quote

“insaan zabaan ky parday mein chupa howa hota hai.”

Tapakti Hai Nigaahon Se Barasti Hai Adaaon Se

Tapakti Hai Nigaahon Se Barasti Hai Adaaon Se

Mohabbat Kon Kehta Hai K Pehchani Nahi Jati...

Tapakti Hai Nigaahon

Friendship is a Collection of Hearts

Friendship is a collection of hearts,
ready 2 give, share and understand. It
never fades & never ends. It only reminds us that life is not perfect without a
friend…


From: zulqarnain haroon (00971552543943)

Dengi virus ka elaj

Asalam.o. Alaikum!
Quraan Pak ki Roshni me Dengi virus ka elaj.
“27 paary ki
sur e Rehman or 28 paary ki
Sur e Taghabun”
parh kr mariz py dam kren or pani pe b dam kr k pilaty rahen. Jb tak shifa na ho. INSHAALLAH, ALLAH Pak k karam se shifa hogi.
Is Sms ko jitna ho saky farword kren.

Wednesday, July 9, 2008

Aitbar Na Kisi Pe Kartey



Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota


Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko Samjhtey To Acha Hota


Yaqeen Apni Kamyabi Ka Kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer K Muqabil Na Hotey To Acha Hota


Sochtey They Aitbar Andha Ho Ga Dewana Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota


Na Chatey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na Achey Kisi Ko Lagtey To Acha Hota


Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota



Boy Girl Playing Ludo

Boy & girl playing Ludo.


BOY: Agar 1,2,3,4 ya 5 aya to I’ll kiss U.


Girl: What?
Acha aur agar 6 aya to?


Boy: Kabi Ludo nai kheli kya.6 aya tu dubara bari.

Ro Parra Woh Ik Zindagi Ke Morr Par



Ro Parra Woh Ik Zindagi Ke Morr Par,
Or Keh Gaya Tum Kisi Or Ke Ho Jao Mujhy Chorr Kar,
Me Hasrat Se Dekhta Raha Usay Apnay Hathon Ko Jorr Kar,
Or Woh Chal Parra Meriwafaon Ko Chor Kar,
Kabhi To Hoga Usay Ehsaas,
“Baloch”
Ke Kisi Ne Chaha Tha Usayduniya Ko Chorr Kar..!!!



Tuesday, July 8, 2008

Kamar bandhe huye chalne pe yan sab yar baithe hain – Insha Allah Khan Insha



Kamar bandhe huye chalne pe yan sab yar baithe hain
bahut aage gaye, baqi jo hain tayyar baithe hain
na ched ae nikahat bad-e-bahari, reh lag apni
tujhe athakheliyan sujhi hain, hum bezar baithe hain
khayal un ka pare hai arsh-e-azam se kaheen saqi
garaz kuch aur dhun mein is ghadi maikhvar baithe hain
basane naqsh-e-pa-e-raharavan ku-e-tamanna mein
nahi uthane ke taqat kya karen lachar baithe hain


kahen hain sabr kis ko aah nang-o-nam hai kya shai
garaz ro pitakar in sab ko hum yakabar baithe hain


kaheen bose ke mat jurrat dila! kar baithiyo un se
abhi is had ko wo kaifi nahi hoshiyar baithe hain


najibon ka ajab kuch hal hai is daur mein yaron
jise pucho yahi kahate hain hum bekar baithe hain
nai yah vaza sharmane ke sikhi aj hai tum ne
hamare pas sahab warna yun sau bar baithe hain


kahan gardish falak ke chain deti hai suna ‘insha’
ganimat hai ki ham-surat yahan do char baithe hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Insha Allah Khan Insha



Wo Bhi Qiston Me Dikhata Hai Adaein Apni

Wo Bhi Qiston Me Dikhata Hai Adaein Apni
Wo Bhi Hone Nahi Deta Mujhe Sara Pagal...

Wo Bhi Qiston

Har Jurm Meri Zaat Sey Mansoob Hua Hai


Har Jurm Meri Zaat Sey Mansoob Hua Hai,
Kia Mery Siwa Is Shehar Me Masoom Hain Sary....??

By: mobeen shakir
 

Human of Modern time

The Human of Modern time has learnt to fly in air like birds,


To swim in water like fish,


But has forgotten to live on Earth like a Human.

Shikvay Aur Shikayat Bohat Hia



Shikvay Bhi Hazaron Hain Shikayat Bhi Bohat Hai
Is Dil Ko Magar Os Say Mohabbat Bhi Bohat Hai


Aa Jata Hai Milne Woh Tasawer Mein Sar-e-Sham
Ik Shaks Ki Itni Si Enayat Bhi Bohot Hai


Ye Bhi Hai Tammanna K Osay Dil Se Bhola Dein
Is Dil Ko Magar Us Ki Zarorat Bhi Bohat Hai



Para Hai Waasta Mohsin Muhabbat K Yazeedon

Para Hai Waasta Mohsin Muhabbat K Yazeedon Se

Yahan Hum Apni Ankhon Me Bhi Pani Rakh Nahi Sakte...

Para Hai Waasta Mohsin

Khushiyon Ka Taiwar

Aney Wala Har Din


Sab Ke Dilon Mein Ho Sab Ke Liye Pyar,
Aney Wala Har Din Laye Khushiyon Ka Taiwar,


Is Umeed K Sath Aao Bhol Ke Sare Gham,
New Year 2014 Ko Hum Sab Karen Welcome.

Monday, July 7, 2008

Is Love I Will Cherish You




As Long As There Is Love I Will Cherish You


As Long As There Is Life I Will Love You



As Long As The Stars Shine Above I Will Want You


As Long As There Are Waves In The Ocean I Will Need You



As Long As There Is Heaven Above There Will Always Be Our Love





Aaj Ye Kaisi Udaasi Chahyi Hai



Aaj Ye Kaisi Udaasi Chahyi Hai
Tanhai Ke Badal Se Bheegi Judai Hai
Roya Hai Phir Mera Dil
Jaane Aaj Kiski Yaad Aayi Hai.


Bechain Shaam Ko Udaas Raat Ne Aawaaz Lagayi Hai
Koi Bhooli Hui Baat Phir Yaad Aayi Hai
Dard Uthha Hai Aaj Phir Seene Mein Mere
Jaane Kisne Chott Lagayi Hai.

Apna Samajh Kar Har Khushi Uspe Lutayi Hai
Badle Mein Chaha Pyar Toh Mili Bewafai Hai
Hue Iss Kadar Rusva Hum Ki
Aaj Khud Pe Sharam Aayi Hai.


Uske Intezar Mein Baithi Meri Parchhai Hai
Kuch Sochkar Aaj Phir Aankh Bhar Aayi Hai
Jal Rahi Thi Shama Bade Shaan Se
Jaane Kisne Aakar Bujhayi Hai.


Aaj Wahi Taarikh Lautkar Phir Aayi Hai
Par Wo Nahin Saath Sirf Meri Tanhai Hai
Yahi Sochenge Umr Bhar Ki
Kyon Usne Ki Meri Rusvai Hai.


Roya Hai Phir Mera Dil
Koi Baat Aaj Phir Yaad Aayi Hai



Yaad Ik Doulat

Yaado se badi koi doulat nahi hoti.
Paas rahana hi zarurt nahi hoti.
Duriyan kar deti hai yadon ko zinda.
Warna yadon ki koi kimat nahi hoti.

Agar Tum Gungunao To

Agar Tum Gungunao To Humain B Neend Aajaye
Gazal koi Sunao To Humain B Neend Aajaye,
Suno Yeh Roshni Aankhon Mein Chubhne Si Lagi Hai Ab
Charaghon ko Bujhao To Humain B Neend Aajaye,
Kabhi Fursat Mily To Tum Hamary Sath Kuch Lamhy
Mohabbat k Bitao To Humain B Neend Aajaye,
Sulagti Rat Mein Awaz ka Apni Zara Sa Tum
Agar Jadu Jagao To Humain B Neend Aajaye,
Tum Apne Narm Hathun Se Hamary Sar ko Sehla’o
Mohabbat Se Sulao To Humain B Neend Aajaye,
Hamare Raston Se Khaar Chun Kar Narm Pholun Ka
Agar Bistar Bichao To Humain B Neend Aajaye,
Zara Sa Housla Kar k Nibhao Apne Wadon Ko
Sitary Tor Lao To Humain B Neend Aajaye,
Ajeeb Sa Bojh Hai Dil Par, Agar Yeh Bojh Dil Psr Se
Kisi Din Tum Hatao To Humain B Neend Aajaye..

Height Of Confidence Sms

Confidence!


Teacher to studnt: If U tel me


“Where is ALLAH” I’ll reward U 100Rs.


Stdent: And If U tel me “Where ALLAH is NoT”


I’ll reward U wt U want

Flag of my country

Other might have forgotten
But never can i
the Flag of my country
Furls very high
HAPPY INDEPENDENCE DAY.

Sunday, July 6, 2008

We Always Feel That

We always feel that
we are perfect and
others should be corrected
it is like
cleaning the mirror
instead of
cleaning our face
have a nice day

While Dad Was Polishing His New Car

While Dad Was Polishing His New Car,


His 4 Yr Old Son Picked Stone &
Scratched Lines On The Side Of The Car.
In His Anger, Dad Took The Childs Hand &
Hit It Many Times,


Not Realizing He Was Using A Wrench.
At The Hospital, His Child Said
Dad When Will My Fingers Grow Back?
Dad Was So Hurt.


He Went Back To Car And Kicked It A Lot Of Times.
Sitting Back He Looked At The Scratches,


Child Wrote


I LOVE YOU DAD

Ishq Dard Hai

Sabne kaha ishq dard hai,,


Humne kaha ye dard Kabul hai..


Sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,,


Humne kaha is dard ke saath marna Kabul hai.

Saturday, July 5, 2008

Computer Shairi – Part 1



Tumse Mila Main Kal To , Mere Dil Mein Hua Ek Sound
Lekin Aaj Tum Mili To Kehti Ho , Your File Not Found!


Aisa Bhi Nahin Hai Ke ,I Don’t Like Your Face
Par Dil Ke Computer Mein ,Nahin Hai Enough Disk Space


Ghar Se Nikalti Ho Tum Jab ,Pehen Ke Reshmi Gown
Too Many Requests Se ,Ho Jaata Hai Server Down


Tumhaare Liye Pyaar Ki Application,Create Main Karoonga
Tum Usse Debug Karna,Wait Main Karoonga


Tumhaare Intezaar Mein ,Neend Aayee So Gaya
Yeh Dekho Mera Connection ,Time Out Ho Gaya



When Pride Rolls Me Down

When Pride Rolls Me Down,
Humbleness Pulls Me Up;
When Lie Cracks Me Down,
Truth Builds Me Up;
When Sins Makes Me Dark,
Forgiveness Make Me Light;
When World Push Me Away,
My Allah Pulls Me Near.
Good Morning.

maa baap shayari in hindi sms



Naseeb Mein Tha, Maa Ki Mamta Ki Daolath
Tukhra Diya Tha Maine Us Daolath Ko
Aaj Us Daulat Ki Qimat Maloom Padi
Per
Bouth Der Ho Chuki
Sab Apni Maa Se Gale Miltey Hain
Kushi Kushi Se
Use Dekhti Hi Reh Jathi Hoon Mai
Aankon Mein Aanso Bharey…
Dil Tadap Uttha Hai
Aur Mujse Kehta Hai
Lo Tuje Yehi Saza Hai…



Art of Conversation

The Art of conversation is not only to say


the Right thing at the Right time


But to leave the Wrong thing unsaid at the most tempting Moment.

Ghalib – Tanhai Faqeer shayari in urdu

Na Kch Rha Jo Pas Apne To Sanmbhal K Rakhi Faqt ‘TANHAi’ Ye Wo Saltanat Hai,,,


“*~ Ghalib ~*” Jis K Badsha B Hm,,,, Faqeer B Hm,,,, 0R Hr Faisly K Wazeer B Hm….

Friday, July 4, 2008

Black Bulb

pathan to dukandar:give me black bulb
dukandar:what is black bulb
pathan:ullu ke pathe jab rat ko andhera hota hai to hum roshni wala bulb istamal kartay hain
mujhe ab andhere wala bulb chahiye takay sabah mein sunay ke liye andhera kar sakoon

Ab To Khayalon K Tabassum Se Bhi Dar Lagta Hai

Ab To Khayalon K Tabassum Se Bhi Dar Lagta Hai,
Muskura K Jo Mila, Zakhm Gehra De Gaya..

Ab To Khayalon K Tabassum Se Bhi Dar Lagta Hai

Us mod se shuru karen phir ye zindagi-Sudarshan Faakir



us mod se shuru karen phir ye zindagi
har shay jahan hasin thi, hum tum the ajanabi
lekar chale the hum jinhen jannat ke khwab the
phoolon ke khwab the wo muhabbat ke khwab the
lekin kahan hai un mein wo pahali si dilakashi
rehte the hum hasin khayalon ke bheed mein
ulajhe hue hain aj sawalon ke bheed mein
aane lagi hai yaad wo fursat ke har ghadi
shayad ye waqt hum se koi chal chal gaya
rishta wafa ka aur hi rangon mein dhal gaya
ashkon ke chandani se thi bahatar wo dhup hi


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faakir



Thursday, July 3, 2008

Laut Ka Anay Wala

Tum Laut k anay ka takalluf mat Karna,
Hum Ek mohabbat ko Do baar Nahi kartay…

Jis Se Ap Pyar Krte Ho

Jis Se Ap Pyar Krte Ho Us Se Shadi K Kitne % Chance Hain.


Koi Ek Select Karen.
A,
B,
S,
N,
E,
F,
T,
Y,
R,
K.


Reply Mst


——


Answer Is


A…00%
B…50%
S…100%
N…90%
E…10%
F…75%
T…05%
Y..60%
R…98%
K…20%.

Interesting Joke

~ 1 intersting
Joke Reply with
YES/NO
Yes.
Kia tmhary ghar walon ko pata hy k tum pagal ho.?
Ans=
Yes No
Reply must

صاف ظاہر ہے نگا ہوں سے کہ ہم مرتے ہیں



صاف ظاہر ہے نگا ہوں سے کہ ہم مرتے ہیں
منھ سے کہتے ہوۓ یہ با ت مگر ڈرتے ہیں


ایک تصو یرِ محبّت ہے جو ا نی گو یا
جس میں رنگوں کےعوض خونِ جگربھرتےہیں


آسماں سے کبھی د یکھی نہ گئ ا پنی خو شی
اب یہ حالت ہے کہ ہم ہنستے ہوۓ ڈ رتے ہیں


شعر کہتے ہو بہت خوب تم اختر ، لیکن
اچھے شاعر یہ سُنا ہے کہ جوا ں مر تے ہیں



Wednesday, July 2, 2008

Nahi Hai Na-Umeed 'Iqbal' - Iqbal Poetry

Iqbal Umeed Poetry

Roman Urdu

Nahi Hai Na-Umeed 'Iqbal' Apni Kasht-e-Wiran Se,
Zara Num Ho To, Ye Mitti Bohat Zarkhaiz Hai Saqi..
by: Allama Iqbal

Urdu

نہیں ہے نا امید اقبال اپنی کشتِ ویراں سے 
ذرا نم ہو تو, یہ مٹی بہت زرخیز ہے ساقی

Betha Raha Wo Paas To Me Sochta Raha

Betha Raha Wo Paas To Me Sochta Raha

Khamoshiyon Ki Apni Bhi Taseer Hai Bohat...

Betha Raha Wo

Minar-e-Pakistan

Sardar: ik wari me chota jia hunda C


Me Minar-e-Pakistan to gir gia c.


2nd sardar: Fir mar gia c k bach gia c?


Sardar: Menu ki pata me te chota jiahunda C 😀

Listen to reply

The biggest communication problem


is we do not listen to understand


We listen to reply.

Decent Shayari

  Raat yun khoi hui teri yaad ai,


Jaisy veerany mein chupkay sy bahar ajae.


Jaisy sehraon mein holy sy chaly baad-e-naseem,


Jaisy beemar ko bey waja qarar ajae…….


From: Qamar Saghir ( 03315161307)

Smile Beat Them

Thousands of languages around this world,


But SMILE beats them all.


Becoz Smile is the Language that even a BABY can UNDERSTAND.

tarpana sikha gaya

Dil ki kitaab ka safha le gaya koi.


Ankhon se neend ura le gaya koi.


Kisi ki yaad me trapne ki adat nhi thi mujhe.


Apni yaadon se tarpana sikha gaya koi..!

Tuesday, July 1, 2008

vaqt-e-safar qarib hai bistar samet lun – Ajmal Ajmali



vaqt-e-safar qarib hai bistar samet lun
bikhara hua hayat ka daftar samet lun
phir jane hum milen na milen ik zara ruko
main dil ke aaine mein ye manzar samet lun
gairon ne jo suluk kiye un ka kya gila
phenke hain doston ne jo pathar samet lun
kal jane kaise honge kahan honge ghar ke log
aankhon mein ek bar bhara ghar samet lun
sail-e-nazar bhi gham ke tamazat se khushk ho
wo pyas hai mile to samandar samet lun
‘ajmal’ bhadak rahi hai zamane mein jitani aag
jee chahata hai sine ke andar samet lun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ajmal Ajmali



Logg Shehar mein Jis ke Naam se

Badnaam kerte ha Logg Shehar Mein Jis k Naam Se
Qasam Se Jee Bhar K Aaj tuk Ne Usay Dekha b Nahi.

Manzar Badal gya



Khawb main wo ay thy muj sy kuch kehny.


Khushi main khuli aankh to mnzar bdal gya..


us bazam main sb suna rhy thy aap-beetiya.


Dastan-a-wfa us ny chyri to mnzar bdal gya..


U to is nagar main sb hi diwany hain us k.


Aankh un ki myri janib uthi to mnzar bdal gya..


Zindagi ka Tasawaur mit gya tyri by-rukhi k bad.


Yad I apni zinda dili to mnzar bdal gya..


Hr koi kisi tra kisi na kisi ka ho gya.


“Samar” wfa hm tko na mili to mnzar bdal gya…



Daastaan-E-Gham-E-Dil Unko Sunaii Na Gayi



Daastaan-E-Gham-E-Dil Unko Sunaii Na Gayi
Baat Bigdii Kuchh Aisii Ki Banaii Na Gayi
Sab Ko Ham Bhool Gaye Josh-E-Junoon Mein Lekin
Ek Teri Yaad Thi Aisi Ki Bhulaai Na Gayi
Ishq Par Kuchh Na Chalaa Dida-E-Tar Ka Jaadoo
Usne Jo Aag Lagaa Di Woh Bujhaai Na Gayi



sms punjabi shayari words



Lok puchhde saddi mohabbat baare,
Asin aapni kahani kyon dassiye?
Kahaniyaan taan banangiyaan saddi mout pichhon,
Asin aapni jubani kyon dassiye?
`
Hove supne che tu,te jagave koi na
Sochaan meriyaan che tu ,te bulaave koi na
Tere khayallan de mukaddme che sazaa ho jaye
Hove umraan di kaid,te chhudave koi na.
`
Dosti di dastan jado waqt sunave ga….
Mainu ek shaks jaroor yaad ayuga…
Bhul jan gay jindgi de sare gum…
Jadon tere naal bitaya oh pal yaad ayuga.
`
Akhaan di aadat ban gayi hai gal gal te ron di
Dil ne zidd fari barbaad hon di
Changa hoya yaara tu begaana ho gaya
Muk gayi chinta tainu apnaun di..
`
Mere nerhy ne jehry oh ajnabi ne sare !
Mere toon door rehnde ne mere ghar wale
Meri akhan lal chup chup nashe ch choor
Dekhdy ne mainu haan de munde ghoor ghoor
Ve jehra mere mukable da nehre aa k khange
Na ve Osmana irada nahion changa mere
Mere nerhy ne jehry oh ajnabi ne sare..!