Tuesday, May 6, 2008

Kash khwabon hi mein aa jao bahut tanaha hun – Nyay Sharma



Kash khwabon hi mein aa jao bahut tanaha hun
ya mere zahan se yadon ke diye gul kar do
mere ehasas ke duniya ko mita do ham-dam
raat tare nahi angare liye aati hai
in barasate huye sholon ko bujha do ham-dam
dil ke dhadakan ko sula jao bahut tanaha hun
andheri raat mein jab chand khilane lagata hai
tumhare pyar ke dipak jalake rota hun
tumhare aane ke jab aas jane lagti hai
main in chiragon ko khud hi bujha ke rota hun
zindagi aisi mita jao bahut tanaha hun
sochate sochate jab soch bhi mar jati hai
waqt ke qadmon ke aahat ko suna karta hun
ashk thamate hain to aahon ka dhuan uthta hai
raat bhar yun hi tadapata hun jala karta hun
bar-e-gam kuch to ghata jao bahut tanaha hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nyay Sharma



No comments:

Post a Comment