Saturday, September 9, 2006

Mohabbat Rog Hoti

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha,


Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha,


Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,


Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha,


Ise Tum Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,


Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,


Mohabbat Mein Khushi Ke Baad Gam Ki Rutt,


Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,


Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil,


Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,


Azal Se Iski Fitrat Hai Zamane Ko,


Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha,


Ye Sar Se Paaon Tak Pas Raakh Kar Degi,


Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha…!!

No comments:

Post a Comment