Sunday, June 11, 2006

Mah-e-Ramzan

Aye mah-e-ramzan aahista chalna
humen khasa qaraz chukana hai,


kuch khuwab hai jinko likhna hai
aur taaberon ko pana hai,


kuch log hain ujray dil wale
un sab main pyar basana hai,


aur khiza raseda aangan main
ab aman ka beej lagana hai,


or rab ko humen mana’na hai
humen khasa qaraz chukana hai..

No comments:

Post a Comment