Monday, February 2, 2015

Suno December Usay Pukaro



Suno December! Usay Pukaro
Suno December! Usay Mila Do


Ab Is Se Pehley K Saal Guzre
Ab Is Se Pehley K Jaan Nikle


Wohi Sitara Meri Lakeeron Mai Qaid Ker Do
Is Akhri Shab K Aakhri Pal Koi Bada Ikhtitam Ker Do


Ye Zindagi Bi Tamam ker Do
Suno December! Usay Bula Do.



Me Yehi Puchta Rehta Hun Zamany Bhar Se

Me Yehi Puchta Rehta Hun Zamany Bhar Se

Jin Ki Taqdeer Bigar Jaye Wo Kya Karte Hain...

Me Yehi Puchta Rehta

Sunday, February 1, 2015

Bina Dekhe Uska Haal Bta Sakta Hu

Bina dekhe uska haal bta sakta hu::
bina dekhe uski tasveer bna sakta hu::
:meri mohobaat me itni taqat hai ki uski
ankhon ke aansu aapni aakh se gira sakta hu

Wo Mera Tha Is Mein Guman Nahi Koi - Sad Poetry

Wo Mera Tha

Sad Poetry

Wo Mera Tha Is Mein Guman Nahi Koi ‘Any’
Kionke Dard Diya Karte Hi Apne Hain Aksar...
By: Any Zafar

Na Rog Tha Na Yadein Thi Or Na Hi Ye Hijar

Na Rog Tha, Na Yadein Thi Or Na Hi Ye Hijar

Mohabbat Se Pehle Ki Neendein B Kamaal Ki Thi...

Na Rog Tha

Khud Hi Wazahat

Har Shaam Tum Se Milne Ki Aadat Si Ho Gai..


Phir Rafta Rafta Tum Se Mohabbat Si Ho Gai..


Shayad Ye Taza Taza Judai Ka Tha Asar..


Har Shakal Yak_Ba_Yak Teri Surat Si Ho Gai..


Ek Naam Jhil’Milane Laga Dil K Taaq Par..


Ek Yaad Jese Baais_E_Rahat Si Ho Gai..


Khud Ko Saja Sanwar K Rakhne Ka Shoq Tha..


Phir Apne Ap Se Mujhe Nafrt Si Ho Gai..


Me Ne Koi Bayan_E_Safai Nhi Dia..


Bs Chup Rahe To Khud Hi Wazahat Si Ho Gai..

Girl: Ya Jo Samne Larka Betha Hain



Girl:


Ya Jo Samne Larka Betha Hain


Is Ka Naam Kya Hain


Waiter:


Yeh Alyas  Shahb Hain


Girl:


Yeh Mjhe 1 Ghantay Sa Pareshan Kar Rahey Hain


Waiter:


Magar Wo To Apke Taraf Dekh Bhi Nahi Rahay?


Girl:


Yahi To Pareshani Hai


Moral:


Dunia Shareefon Ko Jeenay Nahi Deti