Sunday, March 3, 2013

Raah-e-Muhabbat Main Hai Kon Kisi Ka

Raah-e-Muhabbat Main Hai Kon Kisi Ka Rafiq
Saath Mere Reh Gai Ek Meri Aarzoo...

Raah-e-Muhabbat Main

Saturday, March 2, 2013

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi



Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Larka Hai Khuda Ke Ghar Ka
Larki Hai Nabi Ke Ghar Ki
Woh Arzo Sama Ka Malik
Yeh Malka Behro Barki (Zami Rakhsa) Hai Rakhsa Asma Bhi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Hyder Hai Kulle Ima
Aur Kulle Ismat Zehra
Is Sar Pe Wafa Ka Sehra
Is Sar Pe Haya Ka Sehra (Woh Shezaada) Hai Aur Yeh Shahzaadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Kheti Ne Bichaya Sabza
Suraj Ne Ujale Bante
Khud Dashte Khuda Ne Shaab Ke
Aanchal Pe Sitaare Taanke (Huwi Rangi) Jo Thi Tasviir Saadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Bola Yeh Khuda Har Jaanab
Rehmat Ke Ghata Barse Gi
Jo Bogs Se Banjar Hoo Gi
Bas Woh Hi Zami Tarse Ge (Utho Jibrieel) Yeh Kardo Manadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Dunya Ne Sawara Usko
Andaaz Naye Apnaye
Tahzeeb Ne Zaiwar Badle
Marboot Naye Silwaye (Mehek Uthi) Nasab Ki Paak Waadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Dulha Ke Roop Mei Pyaare
Ali Ibne Abi Talib Hai
Tha Baap Bhi Sab Se Ghalib
Ye Bhi Kulle Ghalib Hai (Ye Damade) Nabi He Or Wo Samdhi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Baraat Chali Haider Ki
Rehmat Ke Saaye Saaye
Baraat Ke Aage Aage
Quran Qaside Gaaye (Nabi Saare) Chale Bankar Baraati


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Tohfe Mai Mile Mehk Aise
Inhe Kausar Or Jannat Ko
Ye Saara Namak Or Paani
Haq Mehr Mila Zehra Ko (Salaami Mei) Mili Marzi Khuda Ki


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Qudrat Ki Taraf Se Inko Abhi Tohfe Or Milenge
Kal Inke Haseen Angan Mei
Do Asli Phool Khilenge (Haseen Shajare) Jinhe Denge Salaami


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Wohh Abh Chahe Koi Bharke
Ab Chahe Koi Tarpe
Ab Meri Bhala Se Chahe
Marjaye Koi Jal Jal Ke (Khushi Ki Baat) Hi Mei Ne Sunadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Keise Ho Bayan Woh Manzar
Jab Khatm Huwi Sab Rasme
Konain Ki Har Sheh Gohar Kehti Thi
Kha Kar Qasme (Mubarak Hai) Mubarak Hai Ye Shaadi


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi



Talkh Itni Thi ke Peene Se Zabaan Jalti Thi

Dard-Aankh-Shayari

2 Line Dard Poetry

Talkh Itni Thi ke Peene Se Zabaan Jalti Thi
Zindagi Aankh Ke Pani Me Mila Li Mein Ne…!

Friday, March 1, 2013

Sabab Rone Ka Wo Poochein To Itna Kehna Qasid

Sabab Rone Ka Wo Poochein To Itna Kehna Qasid,
Mujhe Hansna Nahi Aata, Jahan Par Tum Nahi Hote…

Tears Poetry

Mohabbat Hath Ma Phani Houi Chorri Ki Mannind Ha

Mohabbat Hath Ma Phani Houi Chorri Ki Mannind Ha,
Saawarti Ha Khanakti Ha Khanak Kr Thoot Jati Ha...


Woh Ek Larki Tum Hi To Ho



Woh Aik Larki


Woh Ek Larki Jo Meri Ghazal Hai
Woh Ek Larki Jo Khilti Kanwal Hai
Woh Ek Larki Jo Taj Mehal Hai


Woh Ek Larki Tum Hi To Ho


Woh Us Ki Gasoo Kaali Ghatain
Woh Us Ki Palkon Se lehrti Hawain
Woh Us Ki Yaadain Meri Wafayen


Woh Ek Larki Tum Hi To Ho


Woh us Ki Aankhain Chamaktey Moti
Woh Us Ki Palken Aankhon Ko Chooten
Woh Us Ke Gaal Sehra-e-Moti


Woh Ek Larki Tum Hi Tu Ho


Woh Us Ke Lab Gulab Jaise
Woh Us Ka Maatha Khuli Kitab Jaisa
Woh Us Ki Rangat Shabab Jaisi


Woh Ek Larki Tum He To Ho



Zamana yaad tera ae dil-e-nakam aata hai – Arzoo Lucknowi



Zamana yaad tera ae dil-e-nakam aata hai
tapak padate hain aansu jab wafa ka naam aata hai


wafa tum se karenge dukh sahenge naz uthayenge
jise aata hai dil dena use har kam aata hai
akele karavaten hain raat bhar bistar pe aur hum hain
kahan pehlu ko khali dekh kar aaram aata hai
hasinon mein basar kar di javani ‘arzoo’ hum ne
lagana dil ka sikhe hain yahi ik kam aata hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Arzoo Lucknowi