We have known each other by chance,
Became friends by choice,
Still friends by decision,
and when we say Friends Forever,
Thats definitely a lifetime Promise
Wednesday, October 6, 2010
We Have Known Each Other
Tuesday, October 5, 2010
2 Lovers In K.F.C
“2 lovers in K.F.C”
Larka:
kia khao gi sweet heart?
larki:
.
.
.
.
“naan tikki” mangva lo.
moral:aur phassao government school ki bachiyaan……….
Zindagi me Kuch
Zindagi me agar kuch hasil karna ho to hamesha apne dimagh ki suno Agar dimagh se koi jawab na aaye to Dil ki suno Wahan se bhi koi jawab na aae to Anhken band kr k socho k “Ya-Allah kahin me
.
.
.
.
PATHAN to nahi?
Monday, October 4, 2010
Jis shakhs ki khta ho usi ko saza mily
Qatra ab ahtjaj kary bhi to kia mily.
Drya jo lg rhe the, Samandr se ja mily..
Hr shakhs dorta hai yahan bhir ki trf
Phr ye bhi chahta hai usy rasta mily
Us aarzo ne tamasha bna dia
JO bhi mily hmari trf daikta mily
Duniya ko dusro ki nazar se na dikhiye…
Chahry na parh ske to katabo mein kia mily…
Es dor-e-monsfi mein zrori nhi hai josh….
Jis shakhs ki khta ho usi ko saza mily…
Kala Billa
Its reaL Agar Ap Kahin Ja Rahe Hain Or
Kala Billa
Ap K Aage Se Guzar Jaye To Iska Matlb Hai K
Kala Billa
B Kahin Ja Raha Hai NO TENSION
Gulaab Aankhen Sharab Ankhen
Gulaab Aankhen Sharab Ankhen,
Yehi To Hein La-jawab Aankhen,
Inhi Me Ulfat
Inhi Me Nafrat
Sawab Aankhen
Azab Aankhen.
Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi
Kbhi Sarapa Hijab Aankhen.
Kbhi Chhupaati Hn Raaz Dil K
Kbhi Hn Dil Ki Kitab Aankhen.
Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi
Kisi Ny Payeen Saraab Aankhen.
Woh Aaye To Log Mujh Se Bolay
Hazoor Aankhen Janab Aankhen.
Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam
Sawal Koi Jawab Aankhen.
Yeh Mast Mast be-Misal Ankhen
Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen.
Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenen
Giren To Kr Dain kamal ankhen.
Koi Hai Inn K Karam Ka Talib
Kisi Ka Shook-e-Wisal Ankhen
