mana ke un ke nezon pe ab sar nahi koi
kya un ke aastin mein bhi khanjar nahi koi
majaburiyon ne ghar se nikalne na diya
duniya samajh rahi hai mera ghar nahi koi
ab kya karenge hum naye surajki roshani
jab dekhane ke vaste manzar nahi koi
dil ho raha hai der se khamosh jhil sa
kya doston ke hath mein pathar nahi koi
qismat sabhi ke waqt ke hathon mein rahati hai
is daur mein kisi ka muqaddar nahi koi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sagar Azmi